Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

28 Dec 2017

Surah Kahf Ki Fazilat Aur Padhne Ke Aukaat(Timing)


۞ Surah Kahf Padhne Ki Fazilat

۩ Abu Sa’eed al-Khudri ne kaha: “Jo bhi Surah al-Kahf padhega jumua ki raat ko, uske paas ek roshni hogi jo failegi(will stretch) uske aur Purane Ghar(Ka’bah) ke bich me.”

Sunan Ad-Darimi (Hadith 3312).


۩ Abu Sa’eed Al-Khudri ne bayan kiya: RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Jo shaks Jumua ke din surah Kahf padhega uske pas ek roshni hogi jo ek Jumua se dusre Jumua ke bich rahegi.”

Sunan Kubra Baihaqi (Hadith 5856).


۩ Abu Hisham ne bayan kiya: RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Jo shaks gufa(cave) ki surat (surah Kahf) ko tilawat karega, jis tarah se wo nazil hui thi, uske paas Qayamat ke din Roshni hogi.”


Sunan Kubra Baihaqi (Hadith 5856).


۩ Abu Darda’ ne bayan kiya ki Allah ke Rasool ne kaha: Agar koi shaks Surah al-Kahf ki shuru ki das aayate yaad kar leta hai toh wo Dajjal se mahfooz rahega.


Sahih Muslim (Book 4, Hadith 1766).


۩ Ye riwayat ki gai hai ki Ibn Umar ne farmaya: “RasoolAllah ﷺ ne kaha jo shaks bhi Jumua ke din Surah kahf padhega, ek roshni chamkegi us ke pair ke tale se aasma ke badalo tak, jo uske liye Qayamat ke din chamkegi, aur uske do Jumua ke bich ke gunah muaf kar diye jayenge


Tafseer Ibn Kathir;
source: http://www.islamweb.net/newlibrary/display_book.php?flag=1&bk_no=49&ID=1055

۩ Al-Mundhiri Ne Kaha:-

Yeh Abu Bakr ibn Mardawayh se unki tafseer me riwayat ki gai thi, un isnad ke sath jisme koi galti nahi thi.

Al-targheeb Wa’l-tarheeb, 1/298.


۞ Surah Kahf Padhne Ke Aukaat (Timing)

Is Surah ko jumua ke din ya jumua ki raat ko padha ja sakta hai. Jumua ki raat jum’eh’raat(thursday) ki suraj guroob hone ke baad shuru hoti hai, aur jumua ka din suraj dhalne ke baad khatm ho jati hai. Is wajah se surah padhne ka waqt jum’eh’raat(thursday) ko suraj guroob hone se leke jumua ko suraj dhalne tak ka hai.


۩ Al-Mannaawi Ne Kaha:-


Al-Hafiz ibn Hajar ne apne Amaali me kaha tha: “Kuch riwayato me Jumua ka din kaha gaya hai aur kuch riwayato me jumua ki raat kahi gayi hai. Unko is tarah milai ja sakti hai ki jo samjhaya gaya hai wo din hai jisme raat bhi shumaar hai aur iske barak se bhi hai(vice-versa).


(Fayd Al-Qadeer, 6/199).

۩ Al-Manani Ne Yeh Bhi Kaha:-

“Ye mustahab hai Jumua ki raat ya din ko padha jaye, jaisa ki al-Shaafa’I r.a. ne farmaya”


(Fayd Al-Qadeer, 6/198).



•٠•●●•٠•

Post a Comment