حَدَّثَنَا مَحْمُودُ بْنُ غَيْلاَنَ، حَدَّثَنَا أَبُو أَحْمَدَ الزُّبَيْرِيُّ، حَدَّثَنَا خَالِدُ بْنُ طَهْمَانَ أَبُو الْعَلاَءِ الْخَفَّافُ، حَدَّثَنِي نَافِعُ بْنُ أَبِي نَافِعٍ، عَنْ مَعْقِلِ بْنِ يَسَارٍ، عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ " مَنْ قَالَ حِينَ يُصْبِحُ ثَلاَثَ مَرَّاتٍ أَعُوذُ بِاللَّهِ السَّمِيعِ الْعَلِيمِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ وَقَرَأَ ثَلاَثَ آيَاتٍ مِنْ آخِرِ سُورَةِ الْحَشْرِ وَكَّلَ اللَّهُ بِهِ سَبْعِينَ أَلْفَ مَلَكٍ يُصَلُّونَ عَلَيْهِ حَتَّى يُمْسِيَ وَإِنْ مَاتَ فِي ذَلِكَ الْيَوْمِ مَاتَ شَهِيدًا وَمَنْ قَالَهَا حِينَ يُمْسِي كَانَ بِتِلْكَ الْمَنْزِلَةِ " . قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ غَرِيبٌ لاَ نَعْرِفُهُ إِلاَّ مِنْ هَذَا الْوَجْهِ
Ma’qil ibn Yasar r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya: "Jo shaks bhi teen baar roz subah ‘A’oothu Billah il-samee’ il-‘aleem min al-shaytan il-rajeem (Mai Allah, sunne wala janne wala, se shaitan mardud ki panah mangta hu) kahe aur Surah al-Hashr ki aakhri teen ayat padhe to Allah sattar (70) hazar farishte ko bhejega jo uske liye shaam tak barkat ki dua karenge aur agar wo us din wafat pa jaye to wo shaheed ki wafat payega aur agar jo ise shaam ko bhi padhega to uska bhi yahi darja hoga."
Ise Imam Tirmizi ne kitab fazail al Quran, baab: Jo Quran ka ek harf padhta hai, use.., hadees- 2922 ke tahat riwayat kiya hai. Ise Imam Ahmad ne apni Musnad (19795) me bhi riwayat kiya hai.
۞ Tahkeek:
Is hadith ke isnad me Khalid ibn Tahman hai jise Ibn Hajar farmate hai: Is raawi ko sachha kaha gaya hai lekin is raawi par shia hone ka ilzam hai fir wo raawi ulajh (confused ho) gaya.
Taqreeb al-Tahzeeb, 1644.
Is hadees ki Ayeb (defect) bayan karte hue Imam Tirmizi ne is Hadith ko gareeb karaar diya hai. Muhaddis Zubair Ali Zai ne bhi is hadees ko Zaif karaar diya hai. Al-Albani ne bhi is hadees ko Zaif karaar diya hai. Dekhe Al-Albani ki Zaif Abi Dawood, hadees- 2922.
Lehaza is hadees par amal nahi ho sakta lekin aur bhi sahih hadees hai jisme subah shaam ki dua ka zikr hai aur hame un hadeeso par amal karna chahiye.
•٠•●●•٠•
Post a Comment