Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

31 Dec 2017

Taqleed Ka Radd Aur Char(4) Imam


۞ Imam Abu Haneefa (r.h.)

۩ Imam Abu Haneefa (r.h.) Farmate hain , Mere Raae ko Qubul karna Haram hai jab tak Meri Baat ke Dalil Malum Naa Karlo.

(Mezan Al Sharani, Aqeedal jaid Page # 80)

۩  Imam Abu Haneefa farmate hai, "Jab Dekho ke Hamara Raai Quran aur Hadees Ke Khilaf Hai tou Quran aur Hadees par Amal karo aur Hamare Qaul ko Deewar Per dey Maro."

(Mezan Al Sharani, Aqeedal jaid Page # 53)

۩ Imam Abu Haneefa farmate hai: "Jab Tumhe koi Sahih hadith mil jaye to wahi mera Mazhab hai."

Ibn `Aabideen in al-Haashiyah (1/63)

۩ Imam Abu Haneefa farmate hai: "Lanat ho tumpar O Yakub. Har chiz jo mai farmata hu wo na likho, Kyuki ye hota hai ki  agar aj mai ek Raae rakhta hu to kal usi Raae ka inkar kar sakta hu ya mai kal ek Raae rakhta hu aur parsu us se inkar kar sakta hu.

(An Nafi- Al kabir p:135 by Abdul hasanaat al Luqnawi).

Ek dusri riwayat me Imam Abu Haneefa farmate hai: "...Kyuki ham Insan hai: Ham ek chiz ek din kahte hai aur dusre din (apni baat) wapis le lete hai.

۞ Imam Malik (r.h.)

۩ Imam Malik (r.h.) farmate hai:  "Mai Sirf ek Insaan hu, Kabhi meri baat saahi hoti hain aur Kabhi Ghalat to tum meri es baat ko jo Quran aur Hadees ke Mutabik ho le liya karo aur us baat ko jo is ke khilaf ho chor diya karo (yaani meri Taqleed Mat karo).

Ibn `Abdul Barr in Jaami' Bayaan al-'Ilm (2/32)

۩ Ibn Wahb farmate hai: "Maine Malik se (wuzu ke dauran)Panjo ke bich saaf karne ko puchte hua suna. Unhone farmaya logo ko ye nahi karna chaiye. Jab bhid kam hui maine unke pas jaa kar unse kaha ki hame iske bareme ek sunnah pata hai. Unhone farmaya wo kya hai? Maine kaha: "Laith ibn Sa'd, Ibn Lahee'ah aur Amr ibn al-Haarith ne hamse riwayat kiya hai Yazeed ibn Amr al-Ma'aafiri se aur unhone Abu Abdur-Rahman al-Hubuli se aur unhone  Mustawrid ibn Shaddaad al-Qurashi se jinhone farmaya: Maine RasoolAllah (sallallaahu alaihi wa sallam) ko Apni choti ungli se panjo ke bich ragadte hue dekha. Imam MAlik ne farmaya ye hadith sahih hai aur maine abhi tak ye nahi suna tha. Uske baad maine unse yahi sawal puchte hue suna jispar unhone panjo ke bich saaf karne ka hukm diya.

From the Introduction to Al-Jarh wat-Ta'deel of Ibn Abi Haatim, pp. 31-32.

۞ Imam Shafai (r.h.)

۩ Imam Shafi farmate hai: "RasoolAallah ki sunnat ham sab tak pahuchti hai aur faraar(escape) bhi  hoti hai, isliye jab bhi mai apni Raae ya koi Sharai baat tayar karta hu jo ki RasoolAllah ki Ikhtiyar se takraati hai toh fir sahih Raae Rasool Allah ka Ikhtiyar hai aur yahi meri Raae hai.

Related by Haakim with a continuous sanad up to Shaafi'i, as in Taareekh Dimashq of Ibn Asaakir (15/1/3).

۩ Imam Abu Shafi farmate hai: "Jab Tumhe koi Sahih hadith mil jaye to wahi mera Mazhab hai."

Nawawi in Al-Majmoo' (1/63), Sha'raani (1/57), giving its sources as Haakim and Baihaqi, Fulaani (p. 107).

۞ Imam Ahmed Ibn e Hambal (r.h.)

۩ Imam Ahmed imamo ke sabse  pahle imam the sunnah jamah karne wale aur use padke rahne wale, itna ki unhe ye sakht na-pasand tha ki unke Qiyas aur Raae ki kitab likhi jaye.

Ibn al-Jawzi in al-Manaaqib (p. 192)

۩ Imam Ahmed Ibne Hambal (r.h.) Ney Farmaya Hargiz naa meri Raae Naa Malik (r.h.) ke Aur Imam shafai (R.A) ke aur Naa Imam Auzai ke aur naa Imam  Thawri ke , Jaha say yeh Tamam Imam Deen ke Ahkam waa Masail Layte theay (Quran aur Hadees) Tum bhi wahi say hi Leena.

(Aqeedatul Jaid Page # 70)

In Charo Muhtaram Imamo ke qawl se yeh Baat saaf zahir hoti Hai ke Mohammad ﷺ ke hadees ke Mutabik Maa Aana Alaihi Wa Ashabihi kaa Rasta iqtiyar karne ka hukum Farmaya, Yeh sub ke sub Quran aur Hadees par Amal Karte the, Yehi inka Mazhab tha, in charo Buzurgo ney apni Taqleed se mana kiya tha aur kisi ney bhi Alag Mazhab apne naam say mansoob karke Murtib Nahi kiya, Wo koi naya mazhab nahi banane aye the, In imamo ka mazhab wahi tha jo ke Rasoolullah ka mazhab tha.

RasoolAllah ﷺ ne farmaya sub say bahetar Ahle Zamana Mere Hain, Fir woh jo en ke Baad wale hain, apne zamane ke baad Do Zamano ka Zikr Kiya.

Sahih al Bukhari, hadees- 437.

Allah hame Rasool ﷺ ki baat ko imamo ki baat se amalan unchi rakhne ki taufeek ata farmaye aameen.

•٠•●●•٠•

Post a Comment