Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

22 Dec 2017

Taweez Se Shifa Kaise Mil Jati Hai?


ALHAMDULILLAH..

Aj Muslim ummah ke kuch log ka ye haal hai ki wo nafa pahle dekhte hai aur Deen ko baad me. Agar unhe kisi chiz se fayda mil rahi ho to wo hargiz ye nahi dekhenge ki us ke bareme shariah kya kahti hai aur agar kabhi kadaar dekh bhi liya to fatawa shopping karte hai, matlab kuch molvio se puchte hai aur jo molvi un ke haq me fatawa deta hai use qubul kar lete hai aur baaki sabko gumraah karar de dete hai aur khud aashiq e Rasool ka locket pahen lete hai. Aur agar ap kitab o sunnah ka ilm rakhte hai to isme koi hairani ki baat nahi hai kyuki RasoolAllah ﷺ ye farma kar gaye the:

RasoolAllah ﷺ ne farmaya Tum zaroor apne se pehle Logon ke qadam ba qadam pairwi karoge hatta ke agar woh Goh (Chipkali ke mushaba rengne wala aik Janwar) ke suraakh mein gusein honge aur tum bhi is me dakhil hoge. Arz kiya gaya: Ya Rasoolallah! Kya inse Yahood o Nasara murad hain?

RasoolAllah ﷺ ne Irshad farmaya: (Agar ye nahi)To aur Kon?

Narrated by al-Bukhaari, 1397; Muslim, 4822.

Ye hadith isliye pesh ki hai kyuki yahud aur nasara bhi isi tarha ke amal karte the. Wo apne alimo ki baat ko Allah ki baat se zyada darja dete the. Allah swt farmate hai:

“Inn logon ney Allah ko chor ker apney aalimon aur darwishon ko apna Rab banaya hai aur Marium kay betay Maseeh ko halankay unhen sirf aik akelay Allah hi ki ibadat ka hukum diya gaya tha jiss kay siwa koi mabood nahi woh pak hai unn kay shareek muqarrar kerney say.”

[Tawba(9):31].

Aaj yahi haal Muslim Ummah ke kuch logo ka hai, wo apne liye halal kar lete jo unhe nafa de wo chahe kisi bhi shakal me ho jaise sood, taweez, gande, wagaira. Aur isi ki shakal hai Taweez jise kuch logo ne halal samajh liya hai jab ki is par boht sakht hadith hai jiska aage hoga in shaa Allah. [Taweez ke bareme detail se padhne ke liye ye check kare].Lekin fir bhi log kahte hai ki agar ye galat hai to isse shifa kaise ho jata hai. To un becharo ko ye pata hona chaiye ki Allah to unhe bhi rizk aur nafa deta hai jo Pattharo se mangte hai, toh kya ab ham Pathharo se mangna shuru kar de, nauzbillah!!! Ab rahi baat ki taweez se kaise shifa milti hai to ye sawal ka jawab bhi unhe mil jata agar wo quran aur sunnah ka ilm rakhte lekin inlog ko Quran aur sunnah ka ilm kaise ho jab ki ye Deen ko molvi sahab ka halwa samajhte hai ki jo molvi sahab ne kaha bas wahi shariat ho gai, Deen ki samajh unko naseeb hoti hai jo log koshish karte hai. Lekin inhe halwa khane se fursat mile tab na ye koshish kare.

Taweez se kaise shifa ho jata hai darj zel hadith me zikr hai:

Ibn Mas’ud ki biwi Zaynab r.a. riwayat karti hai ki Abdullah ibn Mas’ud ne unke gale me ek dhaga dekha aur pucha ki ye kya hai?

Unhone farmaya, “Ye ek dhaga hai jisme mere liye ruqya kiya gaya hai. Unhone us dhage ko unke gale se tod diya aur kaha: ‘Aap’, Ibn Masud ki khandan ko Shirk ki koi zarurat nahi hai. Beshak, maine RasoolAllah ko ye kahte suna ki Kay Daam(wo Daam Jis Mein Shirkya Alfaz hun ) Taweez Or Tawila ye Sab Shirk Hain.
Zaynab ne farmaya, “Ap ye kya kahte hai? Meri aankho me Tashanj(aithan) tha isliye mai fula fula yahudi aadmi ke pas gai thi aur jab bhi wo ruqye se ilaaj karta, dard kam ho jata.
Ibn Masud r.a. ne farmaya: Ye shaitaan ka kaam hai. Shaitan apne hath se chubhata hai aur jab is par ruqyah kiya jata hai, wo apne hath ko hata leta hai. Ye tumhare liye kaafi hoga agar tum wo kaho jo RasookAllah kaha karte the:
‘Athhib il-ba’s, rabb an-nas, washfi ant ash-shafi, la shifa illa shifa uk, shifaan la yughadiru saqama’
Tarjuma:- Aye Insano ke Rab! Door karde ye bimari aur Shifa de tu hi Shifa dene wala hai, nahi koi Shifa teri Shifa ke siwa aur (aisi shifa jisse) koi takleef baki na rahe.

Recorded by Abu Dawud, hadith-3883; judged hasan by al-Albani (Mishkat ul-Masabih no. 4552).

Is hadith se hame ye pata chalta hai ki Taweez pahenna shirk hai jaise ke khud Ibn Masud r.a. ne farmaya hai upar aur sath hi ye bhi pata chala ki Taweez se shifa kaise mil jati hai aur agar ham par bimari ka asar ho jaye to kya padha jaiy. Par afsos aj ke kuch Muslims Allah se se zyada dhaage, kabr aur murdo par Tawakkal rakhte hai.

Allah se dua hai ki wo hame shirk se bachae aur Tawheed ke upar hame maut ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•

Prepared by:- Faisal Khan

Post a Comment