Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

28 Dec 2017

Wuzu ke dauran Gardan ka Masah karna


Wuzu ke dauran Gardan ka Masah karna Sunnat e Rasool ﷺ se sabit nahi hai, lehaza ye biddat hai. Allah pak Quran me wuzu ka mukhtasar tareeka batate hai.

Aye eman walo! Jab tum namaz kay liye utho to apney muh ko aur apney haathon ko kohniyon samet dho lo aur apney siron ka masah kero aur apney paon ko takhnon samet dho lo aur agar tum janabat ki halat mein ho to ghusul kerlo haan agar tum beemar ho ya safar ki halat mein ho ya tum mein say koi hajat zaroori say farigh ho ker aaya ho ya tum aurton say milay ho aur tumhen pani na milay to tum pak mitti say tayammum kerlo issay apney chehron per aur haathon per mal lo Allah Taalaa tum per kissi qisam ki tangi nahi daalna chahata bulkay uss ka irada tumhen pak kerney ka aur tumhen apni bharpoor nemat denay ka hai takay tum shukar ada kertay raho.

SURAH MAIDAH(5), AYAT-6.

Is ayat me Allah pak ne sar tak ka masah karne ka hukm diya hai na ki gardan tak ka .Lihaza Wazu ke Dauran Gardan ka Masah karna Biddat Hai. Iska koi Subut nahi.

Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Mohammad s.a.w. ne farmaya ki Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jo usme se nai hai to wo mardud hai.

Sahih al bukhari, had-2697. Sahih Muslim, had-1718.

۞ Gardan pe masah karne ke bareme Ulma e Deen ka farman : 

۩ Imaam an-Nawawi:

“Gardan pe Masah karna ye sunnat mese nahi hai balki ye biddat hai.”

[al-Badar al-Muneer v. 2 p. 221]

۩ Ibn al-Qayyim:

“Wuzu ke Dauran apne Gardan ka Masah ke bareme RasoolAllah s.a.w. se koi bhi subut nahi hai.” 

[Zaad al-Maad v. 1 p. 195]

۩ Shaikh Ibn Baaz:

“Apne Gardan ka Masah Karna sabit nahi hai, sirf sar aur kaan ka masah karna chahiye wuzu ke dauran jese ki quran aur sunnat me kaha gaya hai.” 

[Majmoo fataawa v. 10 p. 102]

۩ Shaikh al-Albani:

“Hame ye nahi lagta ki Wuzu ke dauran Gardan masah karne ki ijazat hai, bashart uske koi koi daleel faraham(provide) kare jo ke sahih ho, jo ke shariat(qanun) me ho lekin aisa kuch bhi nahi hai so nahi kiye jana chahiye .”

[Tamaam al-Minnah p. 98]

LIHAZA SUNNAT SE MOHABBAT KARE AUR ISSE PARHEJ KARE.

Post a Comment