Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 Jan 2018

15 Ramzan ke Mutallik Ek Hadees


Sawal: Ek hadees pesh ki jati hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Ramzan ki 15wi raat ko, jumah ki raat ko ek zor daar awaz ayegi jo ki soye hue shaks ko jaga degi aur jo jage honge usko chauka degi aur Khwateen apne kamre se bahar aa jayengi, aur us saal boht zyada zalzale ayenge. Kya ye hadees sahih h?

Alhamdulillah..

۩  Shaykh Muhammad Saalih al-Munajjid farmate hai,

"Ye Hadees munkar hai aur sahih nahi hai. Ye kisi bhi qabil e aetbar isnaad se nahi riwayat kiya gaya tha aur ye sabit nahi hai ki ye RasoolAllah ke alfaz hai. Haqiqat bhi ye wazeh kar deti hai ki jhut hai aur ise na-manzur karna chiaye."

source:http://islamqa.info/en/132280

۩ Al-‘Aqeeli (may Allah have mercy on him) farmate hai "Kisi bhi siqah (trustworthy) rawi ya siqah isnaad ke hadees se ye hadees ki bunyad nahi hai."

End quote from ad-Du‘afa’ al-Kabeer (3/52).

۩ Ibn al-Jawzi r.h. ne Baab Zuhoor al-Ayaat fi ash-Shuhoor (The Emergence of Signs in Different Months) me kaha: Ye hadees Maudu hai aur RasoolAllah ke taraf jhuti nisbat ki gayi hai.

End quote from al-Mawdoo‘aat (3/191).

۩ Al-‘Allaamah Ibn al-Qayyim apne kitab al-Manaar al-Muneef (p. 98) me dusri gair sahih hadees ke sath is hadees ko naqal karte hue kahte hai jaise ki ye hadees jo kahti hai ki Ramzan me ek zor ka jhatka ayega jisse soye hue jag jayenge...."

۩ Is hadees ko Sheikh al Albani ne maudu kaha hai.

As-Silsilah ad-Da‘eefah (no. 6178 and 6179). 

۩ Shaykh ‘Abd al-‘Azeez ibn Baaz farmate hai Is hadees ki koi sabit bunyad nahi hai; balki ye jhut aur maudu hai.

Majmoo‘ Fataawa Ibn Baaz (26/339-341) .

Ye hadees dusre isnaad se bhi riwayat kiya gaya tha jiska as-Suyooti in al-La’aali(2/387-388) me zikr kiya gaya hai lekin in sab me aeb hai. Kuch hadees lambi hai aur kuch choti hai.  Ek Musalmao ko zaif aur maudu hadees se upar uthna chaiye aur sirf unhi hadees par amal karna chaiye jo sahih ho ya kamaskam Hasan darje par pohchti ho. 

۩ Imam Muslim ne Sahih muslim ke muqadime me ye baat likhi hai jiska khulasa ye hai ke,

"Zaeef aur munqaty riwayat na to aqaid main li jaengi aur na hi targheeb wa fazail main. Is tahqeeq ke baad mai nahin samajhta ke koi apni kitab me koi zaeef hadees bayan kare, siwae uske jo jahil hai."

Reference: Muqaddimah Sahih Muslim Vol 1, Pg 185, 186.

•٠•●●•٠•

Allah hame haq par amal karne ki taufeek ata kare. aameen.

Post a Comment