Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

7 Jan 2018

15 Shaban Ke Baad Roza Rakhne Ka Hukm


Nabi ﷺ se sabit hai ke Aap ﷺ ne farmaya:

“Nisf shabaan ke baad rozay na rakho”.

Sunan Abu Dawood (3237); Ibn Hibaan (1651). (Sahih)

Lekin is hukm ke kuch surat mustasna (exception) hain, jo niche batayi gai hai,

1۩ Jise roze rakhne ki aadat ho, maslan koi shakhs peer (monday) aur jumeraat (thursday) ka roza rakhnay ka aadi ho to woh nisf shabaan ke baad bhi rozay rakhega, is ki daleel Nabi ﷺ ka ye farmaan hai:

“Ramzan se ek ya do din qabl roza na rakho lekin jo shakhs roza rakhta ho woh rakh le."

Sahih al Bukhari, 1914; Sahih Muslim, 1082.

2۩ Jis ne nisf shabaan se qabl rozay rakhn shuru kardiye aur nisf shabaan se pahlay ko baad waale se milade. Is ki daleel Ayesha r.a. ki hadees hai jis mein woh bayan karti hai ke:

“Nabi ﷺ taqreeban sara shabaan hi rozay rakhtay the sirf thode se ayyaam ke ilawa, baqi pura maheena hi roze rakhtay the.”

Sahih al Bukhari, 1970; Sahih Muslim, 1165. This version narrated by muslim.

۩ Imam Nawawi r.h. kahte hain:

“Nabi ﷺ sara shabaan hi roza rakhtay thay sirf thode ayyaam ke ilawa". Baqi sara maheena hi roza rakhtay the. Dosra jumla pahlay ki tafseer hai aur in ka qaul 'Pure' ka maiene maheena ka aksaryat hai.”

Toh ye hadees nisf shabaan ke baad rozay rakhnay ke jawaz par dalalat karti hai lekin is ke liye pahli nisf ko dusray nisf se milaye.

Note: nisf ka matlab aadha, yaani maheene ke 15 din.

3۩ Ramzan ke qaza roze rakhne.

Imam nawawi r.h. apni kitaab Al-Majmua me kahte hain:

“Hamare ashaab ka kahna hai, 'Bila ikhtilaf ramzan ke 'Yaum al-shak' (day of doubt) ka roza rakhna jaiz nahi. Lekin agar is me qaza ya nazar ya kaffara ka roza rakha toh jayez hoga, is liye ke jab is me nafli roza rakha ja sakta hai toh farz roza rakhna aur zyada jaiz hoga.

Aur is liye bhi ke jab is par guzishta Ramzan ke roza ki qaza baqi ho to is par yeh roza rakhna toh mutayyin ho chuka hai, kyunke is ki qaza ke liye waqt thoda hai.”

Al-majmoo’ (6/399).

Yaum al-shak woh hai jab 30 shabaan ko mutala abar (badal) ya dhuwa hone ki bana par chaand na dekha ja sakta ho, toh tees shabaan ko yaum al-shak qaraar diya jaye ga, is liye ke yeh shak hai ke aaya yeh shabaan ka aakhri din hai ya ke ramzan ka pahla din.

Jawab ka khulasa yeh hai ke:

Shaban ke nisf saani me qaza ke roze rakhne me koi harj nahi, aur aesa karna Nabi ﷺ ki shaban ke aakhir me roza rakhne wali mumaniyat me shamil nahi hota.

•٠•●●•٠•

Read this article in:
۝  Urdu
۝  Hindi
۝  English
Hame Whats App par join karein: +9779868212118