Ek Hadees ki Do shakle ahle biddat ki taraf se pesh ki jati hai:
۩Pahla- “Jo Deen Me Achi Biddat Ejaad Karey Usko Aur Jo Is Par Amal Karenge Unko Bhi Sawab Jabke Ejaad Krne Wale Ko Inke Barabar Sawab Milega Jo Deen Me Buri Biddat Ejaad Kare Usey Gunah Hoga Aur Jitne Log Isko Karenge Unko Aur Unke Barabr Isey Gunah Hoga” [Daleel- Sahih Muslim]
۩Dusra- “Jo Deen Me Acha Kaam Ejaad Karey Usko Aur Jo Is Par Amal Karenge Unko Bhi Sawab Jabke Ejaad Krne Wale Ko Inke Barabar Sawab Milega Jo Deen Me Bura Kaam Ejaad Kare Usey Gunah Hoga Aur Jitne Log Isko Karenge Unko Aur Unke Barabr Isey Gunah Hoga” [Daleel- Sahih Muslim]
Is hadith ko dekar kahte hai ki dekhye is me kaha gaya hai ki Deen me achi biddat kar sakte hai. Aiye dekhte hai is hadith ki haqiqat kya hai:
Jab ap Sahih Muslim se ye hadith padhenge to apko pata chalega ki is hadith ke piche ek waqye ka zikr hai. Aur wo waqya isi hadith me hai. Aiye ham wo waqya jante hai:
Mundhir bin Jarir riwayat karte hai apne walid se, Unhone kaha ki ham RasoolAllah ﷺ ke pas din ke pahle hisse me the. Wo kahte hai Ap ﷺ ke pas kuch log nange paao, nange badan, phate hue ooni chadare ya Sobb pahle hue Talware latkaye hue aaye. Unki Aksaryat Mudar Kabileh se thi balki wo sab ke sab Mudar Kabile se hi the. Un ke garibi ko dekh kar RasoolAllah ﷺ ka chehre mubarak ka rang badal gaya. Aap ﷺ andar Tashreef le gaye fir bahar aye aur Bilal r.a. ko irshad farmaya. Unhone Azan di aur Iqamat kahi. Aap ﷺ ne namaz padhai aur fir khitab farmaya aur farmaya
Ae logo apne us Rab ka taqwa ikhtiyar karo jis ne tumhe ek jaan se paida kiya aur us ka joda banaya aur fir Un dono maise Mardo aur Aurto ko bakasrat faila diya aur Allah se Daro jis ke naam ka wasta de kar tum ek dusre se mangte ho aur Rahmo ke (takazo ka) bhi khyal rakho. Yakeenan Allah tum par Nigraan hai. Aur surah al-Hashr ki ayat tilawat farmayi.
(Is par) ek shaks apne Dinar se sadaqa karta hai, apne Dirham se, Apne kapde se, Apne Gandum ke Saa’ se, Apne Khajur ke Saa’ se. Yaha tak ke farmaya khwah Khujur ke Tukde se. Raawi kahte hai ki Ansar maise ek shaks ek choti si Thaili le kar aya, Kareeb tha ki is ke hatheliya is se ajiz aa jate balki woh aajiz the. Raawi kahte hai ki fir log pe log aane lage yaha tak ke maine Rasool ﷺ ka chehra mubarak damakta hua dekha Goya ki wo sone ka ek Tukda hai. Rasool ﷺ ne farmaya JIS NE ISLAM ME ACHHI SUNNAT QAYAM KI USKO USKA AJAR AUR UNKA AJAR BHI JO US KE BAAD USPAR AMAL KARE BAGAIR ISKE KI UNKE AJAR MAI SE KUCH KAM KIYA JAYE. AUR JIS NE ISLAM ME BURA TARIKA QAYAM KIYA US PAR US KA BOJH HOGA AUR UNKA BOJH JINHO NE US KE BAAD US PAR AMAL KIYA BAGAIR IS KE KI UN KE BOJHO ME SE KUCH KAM KIYA JAYE.
Sahih Muslim, Hadith 2219.
Ye hadith padhne ke baad baat to bilkul wajeh ho jani chaiye ki yaha achi sunnat se kya murad hai. Ahle biddati bhai is hadith ko mis-quote karte hai aur alfaz badal dete hai. Hadith me wazeh achi sunnat ke alfaz hai aur unlog sunnat ko badal kar biddat alfaz rakh dete hai aur kahte hai dekhye hadith kahti hai ki achi biddat se sawab milega. In ko Allah se darna chaiye ki ye Hadith ke alfaz ko badal rahe hai aur awaam ko gumraah karne ki koshish kar rahe hai.
Rasool ﷺ ne farmaya ki jisne mere hawale se wo kaha jo maine nahi kaha to wo apna thikana jahannam me dekh le.
Sahih Muslim, hadith no.1 in Muqaddamah.
Ab in bhaiyo ko jahannam se to kamaskam darna hi chaiye ki wo hame wo bata rahe hai RasoolAllah ﷺ ke hawale se jo RasoolAllah ﷺ ne kabhi nahi kaha. Is hadith se yahi sabit hota hai ki Sunnat ya ache kaam karne ma pahel karna chaiye aur jab ham pahel karenge aur dusre log hame dekh kar wahi ache kaam karenge to unka sawab bhi hame milega bina uske sawab me kami hue. Is hadith se biddat ijaad karne ka sire se hi matlab hi nahi nikalta.
Prepared by:- Faisal Khan.
•٠•●●•٠•
Post a Comment