Dua ki qubuliyat ki shart maise ye bhi hai ki ek banda halal zarye ne kamaye. Par ham maise aksar log sood aur digar haraam zarye se rozi hasil karte hai. Aur fir shikayat karte hai ki Allah hamari dua kyu nahi qubul farmata.
۩ Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya tha, "Logo par ek aesa zamana ayega ki admi is baat ki parwah nahi karega ki wo halal tarike se kama raha hai ya haraam tarike se."
Sahih al-Bukhari, Kitab al Buyu', Hadith- 2059.
۩ Abu Huraira r.a. se riwayat hai ke unhone ne kaha RasoolAllah ﷺ ne farmaya,
"Aye logo Allah Paak hai aur paak (maal) ke siwa koi maal qubool nahi karta. Allah ne momino ko bhi isi baat ka hukm diya hai jiska Rasoolon ko hukam diya hai. Allah ne farmaya, "Aye paigambaraan e karaam! Paak cheezen khaao aur nek kaam karo. Jo amal tum karte ho mai usay achi tarah janne wala hu. Aur farmaaya Jo pak rizq hamne tumhe inayat farmaya hai us maise khaao.
Fir Aap ﷺ ne ek aadmi ka zikr kia "Jo taweel safar karta hai, Baal pur-agard aur jism ghubaar-alood hai wo ( dua ke liye) aasmaan ki taraf apne haath uthata hai, (aur kahta hai) "Aye mere Rab! Aye mere Rab". Jab ke iska khana haraam ka hai, iska peena haraam ka hai, iska libaas haraam ka hai aur isko ghizaa haraam ki mili hai, fir iski Dua kaise qubool ho sakti hai."
Sahih Muslim, Kitab ul Zakat, Hadith no- 1015.
Allah ham sab ko halal rizk ata kare. aameen.
Post a Comment