Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jo shaqs Asr se pahle 4 rakat (sunnat) padhe, Allah is par rahmat kare.’
Sunan Tirmizi, al Salah, hadith- 430 – Abu Dawood: Abwab al Tatwoo 1271) Ise Imam Ibn e Khuzaima, Imam Ibn e Hibban aur Imam Nawawi ne Saheeh kaha.
Namaz Asr se pahle char rakat (sunnat) namaz ada karne wala shaks RasoolAllah ﷺ ki dua apne hisse me sametna hai aur Nabi ﷺ ka amal mubarak bhi yahi tha ki Aap Asr ki farz namaz se pahle char rakat (do-do kar ke) ada farmate:
Ali r.a. se riwayat hai Rasool Allah ﷺ Asr se pahle 4 rakat padhte the aur 2 rakat ke baad tasshahud aur dua padh kar salam pherte the.
Sunan Tirmizi, hadith- 429. Imam Tirmizi ne Hasan kaha.
•٠•●●•٠•
Allah se dua hai ki wo hame is sunnat ko kasrat se padhne ki taufeek ata kare. aameen.
Post a Comment