Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

8 Jan 2018

Aurto Ka Make-up Karna


Bunyadi Usool ye hai ki har tarah ka banao-singar karna jayz hai jab tak ke wo shariat ke kisi hukm se na takraati ho. Aur agar khud ko apne shauhar ke samne khubsurat banane ki niyat se make-up kiya jaye to ye mustahab amal hai. Toh Make-up ya cosmetics ka use karne ki ijazat di hai shariyat na bas niche di hui baat ka khyal rakhe:

۝ Ara'ish (beautification) na-mehram ke liye nahi hona chaiye kyuki Quran aur sunnat ke mutabik usool ye hai ki use na-mehram ke samne pure badan ko dhakna hai siwae jin chizo ko dikhane ki ijazat hai.

۝ Jis chiz se wo cosmetic bani ho wo murdaar ka gosht (ya Fat), Najis (Impure) aur Haraam chiz se nahi honi chahiye.

۝ Jis chiz se cosmetic bani ho wo jism ke liye nuksan-dayak nahi honi chahiye kyuki Islam is baat ki ijazat nahi deta ki khud ke jism ko nuksan pohchaya jaye.

۝ Cosmetic ka asar Aarzi (Temporary) hona chahiye, mustaqil (permanent) nahi hona chahiye. Cosmetic ka istemal Allah ki qudrat ko badalne ke liye nahi hona chahiye. 

Cosmetic-surgery ka masala alag hai. Agar ye isliye kiya ja raha hai taaki jism ki khubsurti jo kisi wajah se chali gayi ho wo wapis usi haal me aajaye to iski ijazat hai lekin agar ye isliye kiya ja raha ho ki aur mazeed khubsurti aa jaye jab ki uske jisme me koi abnormalities nahi thi to ye haraam hai. Iska matlab ki jism ko normal karna ke liye cosmetic surgery ki ijazat hai lekin jo jism pahle se normal ho uske liye cosmetic surgery ki ijazat nahi hai jiska maksad khubsurti me izafa karna hota hai. Misaal ke taur par Daanto me braces lagane ki ijazat shariyat se milti hai kyuki iska maqsad Daanto ko Aam (Normal) shape me laana hota hai.

In chizo ko nazar me rakh kar make-up karne me koi harj nahi hai.

Aur Allah sab se behtar janta hai.

•٠•●●•٠•

Related Articles:
۩ Make-Up Kar Ke Namaz Ada Karna