RasoolAllah ﷺ apni Nawasi 'Umaamah' r.a. ko Utha kar namaz padhte the, Jab ruku aur sajda karte toh unhe utaar dete aur jab Qiyaam karte to use dobara utha lete .
Narrated by al-Bukhaari, no. 486, and Muslim, no. 844.
Is hadith se ye malum hua ki Agar ap apne bache ko uthate hai ya use niche utarte hai to apki namaz me koi fark nai padega.
‘Abd-Allaah ibn Shaddaad apne walid se riwayat karte hai : RasoolAllah ﷺ ek raat hame Magrib ya Isha (raawi ko shak hai) ki namaz padhane ke liye aaye aur wo Hasan ya Husayn ko uthae hue the. RasoolAllah ﷺ aage aaye aur Bache ko niche utara, Takbeer kaha aur Namaz ki shuruat ki. Namaz me unhone sajda kiya aur apne sajde ko lamba kiya, Mere walid ne kaha, "Maine apna sar (sajde se) uthaya aur maine us bache ko RasoolALlah ki peeth par dekha aur wo sajde me the toh mai wapis se sajde me chala gaya. Jab RasoolAllah ﷺ ne namaz khatm kiya, logo ne kaha, ' Ae Allah ke Rasool apne namaz me itta lamba sajda kiya hamlogo ko laga ki kuch ho gaya hai apko ya fir ap par wahee aa rahi hai.' RasoolALlah ﷺ ne farmaya. "Kuch bhi nahi hua , lekin mera beta mere peeth par chadha tha aur mai use pareshan(disturb) nai karna chahta tha jab tak ke use kafi na ho jata(matlab ache se wo bacha khel chuka ho pith par).
(Narrated by al-Nisaa’i, no. 1192; classed as saheeh by al-Albaani – may Allaah have mercy on him – in Saheeh Sunan al-Nisaa’i, 1/246).
SubhanAllah Islam kitna khubsurat Deen hai aur utna hi aasaan bhi. Allah hamlogo ko marte dam tak Islam pe qayam rakhe. aameen.
Post a Comment