Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

6 Jan 2018

Biddat Ke Mutallik Deen Ka Ek Usool


Kuch logo ko jab Biddat ke mutallik samjhaya jata hai to wo kam-ilmi me ye kahte hai ki Ham log boht se kaam karte hai jise RasoolAllah ya sahabao ne nahi kiya tha ya fir ham log boht se wo kaam karte hai jo sahabao ke zamane me nahi hua tha. Misaal ke taur par phone use krna, biryani khana, flight me safar karna, wagaira. Log ye sirf isliye kahte hai kyuki unhe Deen ke Bunyadi Usoolo ka ilm nahi hota. Deen ke usoolon mein ek bunyadi usool ye hai ki:
"Dunyawi muamlat ya Dunyadaari me har chiz halal hai siwaye uske jise shariyat (Quran aur Sunnah) ne mana kiya ho. Aur Deen me har chiz haraam hai siwaye wo jo shariat se sabit ho."
Toh is Usool e Deen ke bina par faisla kiya jayega ki nayi chize wo Deen ki hai ya Dunya ki. Phone use krna, biryani khana, flight me safar karna ye sab Dunyawi muamlat me aate hai. Isliye yaha par Dunyawi muamlat ke usool ke tahat faisla kiya jayega. Aur ye isliye bhi kyuki RasoolAllah hame Biryani khilane ke liye nahi aaye the wo hame Allah ka Deen sikhane ke liye aye the. To isliye Deen ko samajhne ke liye aql ka istemal lazim hai, lekin hamara muashra kuch aesa hai ke lagta hai ki Molvi sahab ke liye Aql ka istemal hi haraam hai. 

Is Usool ki Dalail sunnat ki roshni me ye hai,

۩ حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ الرُّومِيِّ الْيَمَامِيُّ، وَعَبَّاسُ بْنُ عَبْدِ الْعَظِيمِ الْعَنْبَرِيُّ، وَأَحْمَدُ بْنُ، جَعْفَرٍ الْمَعْقِرِيُّ قَالُوا حَدَّثَنَا النَّضْرُ بْنُ مُحَمَّدٍ، حَدَّثَنَا عِكْرِمَةُ، - وَهُوَ ابْنُ عَمَّارٍ - حَدَّثَنَا أَبُو النَّجَاشِيِّ، حَدَّثَنِي رَافِعُ بْنُ خَدِيجٍ، قَالَ قَدِمَ نَبِيُّ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم الْمَدِينَةَ وَهُمْ يَأْبُرُونَ النَّخْلَ يَقُولُونَ يُلَقِّحُونَ النَّخْلَ فَقَالَ ‏"‏ مَا تَصْنَعُونَ ‏"‏ ‏.‏ قَالُوا كُنَّا نَصْنَعُهُ قَالَ ‏"‏ لَعَلَّكُمْ لَوْ لَمْ تَفْعَلُوا كَانَ خَيْرًا ‏"‏ ‏.‏ فَتَرَكُوهُ فَنَفَضَتْ أَوْ فَنَقَصَتْ - قَالَ - فَذَكَرُوا ذَلِكَ لَهُ فَقَالَ ‏"‏ إِنَّمَا أَنَا بَشَرٌ إِذَا أَمَرْتُكُمْ بِشَىْءٍ مِنْ دِينِكُمْ فَخُذُوا بِهِ وَإِذَا أَمَرْتُكُمْ بِشَىْءٍ مِنْ رَأْىٍ فَإِنَّمَا أَنَا بَشَرٌ ‏"‏ ‏.‏ قَالَ عِكْرِمَةُ أَوْ نَحْوَ هَذَا ‏.‏ قَالَ الْمَعْقِرِيُّ فَنَفَضَتْ ‏.‏ وَلَمْ يَشُكَّ ‏.‏

Hazrat Rafi' bin Khadij r.a. Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Jis Waqt Madina Me Tashreef Laiy To Sahabah Khajoroon Main Qalm Lagate The (Pollination), Ap ﷺ Ne Farmya: Ye Tum Kyun Karte Ho? Unhoon Ne Kaha: Hum Isi Tarha Karte Hain, Ap ﷺ Ne Farmya: Shayad Tum Na Karo To Is Me Zyada Behtri Ho, Unlogo Ne Isko Chor Diya To Khajure Kam Ho Gain, Unhone Is Baat Ka Zikr Ap ﷺ Se Kiya, Aap ﷺ Ne Farmya: Main Ek Bashar (Insan) Hu, Jab Mai Tumhain Tumhare Deen Ke Bare Main Kisi Cheez Ka Hukam Du To Us Par Amal Karo Aur Jab Kisi Main Tum Ko Apni Zaati Raaye Se Koi Hukam Doon To Is Baat Ka Dhyan Rakho Ki Mai Ek Bashar Hu.

Sahih Muslim, Kitabul Fazaail, Hadith- 2362.

۩ حَدَّثَنَا يَعْقُوبُ، حَدَّثَنَا إِبْرَاهِيمُ بْنُ سَعْدٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنِ الْقَاسِمِ بْنِ مُحَمَّدٍ، عَنْ عَائِشَةَ ـ رضى الله عنها ـ قَالَتْ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ مَنْ أَحْدَثَ فِي أَمْرِنَا هَذَا مَا لَيْسَ فِيهِ فَهُوَ رَدٌّ ‏"‏‏.‏ رَوَاهُ عَبْدُ اللَّهِ بْنُ جَعْفَرٍ الْمَخْرَمِيُّ وَعَبْدُ الْوَاحِدِ بْنُ أَبِي عَوْنٍ عَنْ سَعْدِ بْنِ إِبْرَاهِيمَ‏.‏

Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Muhammad ﷺ ne farmaya ki Jisne hamare is Deen me koi aisi baat shamil ki jo usme se nai hai to wo mardud hai.

Sahih al bukhari, hadith-2697; Sahih Muslim, hadith-1718.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame Deen sikhne aur sikhane ki Taufeek ata kare. aameen.

Prepared by:- Faisal Khan.

Post a Comment