اقرأ باسم ربك الذي خلق

5 Jan 2018

Biddati Imam Ke Piche Namaz Padhne Ka Hukm | Salaf Ke Fahm Ke Mutabik


Jaha tak biddati Imam ke piche namaz padhne ka sawal hai to is ke bareme ek bhi riwayat nahi hai jo Usool e Muhaddiseen par sahih ho. Ek bhi RasoolAllah ki hadith nahi hai jisme milta ho ki fula ke piche namaz padho aur fula ke piche namaz na padho. Aur is muamle me aksar sirf ulemao aur buzurgo ke fatwe milte hai, wahi jo hamari purani bimari hai ki fula Buzurg farmate hai, fula Hazraat farmate hai. Musalman hone ke haisiyat se hamara pahla source QalaAllah wa QalaRasoolAllah hona chaiye aur uske baad fir sahabao ka amal dekhna chaiye fir Tabaeen ka aur fir Tabe-Tabaeen ka aur fir ulemao e deen ka. Aur aksar Ulema is hadith ko chupate hai biddati imam ke piche namaz padhne ke mutallik jise ham pesh karenge in shaa Allah.

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Agar Imam ne thik namaz padhai to iska sawab tumhe milega aur agar galti ki to bhi (tumhari namaz ka) sawab tumko milega aur galti ka wabaal un par rahega.

Sahih al-Bukhari, Kitabul Aazan, Vol. 1, Book 10, Hadith-694.

۩ Hasan al Basri (Tabaeen) Farmaye hai,

                                                  صَلِّ وَعَلَيْهِ بِدْعَتُهُ

"Biddati ke piche namaz padhlo, uski biddat ka wabal usi par hoga".

Sahih al Bukhari, Kitab ul Aazan, Baab- Fitno ke Imam aur Biddati ke piche namaz padhne ka hukm, Moallik riwayat.

۩ 'Ubaid-Ullah bin Adi bin Khiyar r.a. riwayat karte hai ke wo Hazrat Usman ghani r.a. ke paas gaye jab ke baghiyon ne unko gher rakha tha. Unhone kaha ke Ap hi aam Musalmano ke imam hain magar Ap par jo musibat hai wo aapko maloom hai. In halaat mein baghiyon ka muqarrah Imam namaz padha raha hai. Ham darte hain ke uske piche namaz padh kar gunehgaar na ho jaein.
Hazrat Usman r.a. ne jawab diya, “Namaz to, jo (un) log kaam karte hain un kaamo mein sabse behtareen kaam hai toh wo jab accha kaam karein toh Tum bhi un ke saath mil kar achcha kaam karo aur jab wo bura kaam karein to tum unki burai se alag raho.”

Sahih al-Bukhari, Vol. 1, Book 10, Hadith-695.

Aur Quran bhi bilkul yahi Hukm deta hai, Allah pak farmate hai  

..Neki aur parhezgari mein aik doosray ki madad karte raho aur gunah aur zulm-o-ziyadti mein madad na karo.

Surah Maida (5) ayat 2.

Ab Quran, Sahaba aur Tabaeen ke wazeh qaul ke baad shak ki koi gunzaish baki nahi rahti aur agar ham in ke muqable me ulemao ya buzurgo ke qaul lene lage to isse bada koi zulm nahi hoga wo kyu na ham apne ap ko ahle sunnat jamaat se hone ki ya salaf ke fahm ke mutabik deen samajhne ka dawa karte rahe. 

Ye to tha Biddati/Baagi Imam ke piche namaz padhne ka hukm Quran aur salaf se. Ab apko ye jaan kar hairani hogi ki Sahabah Abdullah bin Umar (Umar r.a. ke bete) jinhe RasoolAllah ﷺ ne kaha hai ki Abdullah bin Umar Nek Mard hai, wo kahte kahte the ki Jab tak Khwarij ke masjid se Hayyalas-Salaah, Hayyalal Falaah ki awaze ayingi ham inke piche namaze bhi padhenge aur jab ye hame salam karenge ham inke salam ka jawab bhi denge. Puri hadith aesi hai:

۩ Abu Shihaab riwayat karte hai ki Hazrat Ibn Umar r.a. Khasbiya aur Khawarij ko salam kiya karte the jab ki wo apas me jang kiya karte the, aur wo (ibn Umar) kaha karte the ki Jo bhi koi “Hayya Alal Salaah” kahega mai is ka jawab dunga (matlab unke masjid me namaz padhunga) aur jo bhi “Hayya Alal Falaah” kahega mai uska bhi jawab dunga, lekin agar koi kahe ki ham Musalman bhaiyo ka katl kare ya unka maal lute tab ham inka sath nahi denge.

Sunan Kubra Baihaqi, Volume : 3, Hadith Number: 5305. [scan]

SubhanAllah ye hai akhlaq ek sahabi ka jo jhagdo aur fitno aur takfeer ka darwaza band karne ki koshish karte the aur aj ham log hai jo band darwazo ko bhi kholne ki koshish karte hai. 
Khawarji wo log the jo sahabao ko muh par kafir kahte the fir bhi itne bade bade sahaba inke piche namaze padhte the. Aur aj ham log hai jo thode se ikhtilaf me bhi dhed inch ki masjid alag karlete hai. Allah hame salaf ke manhaj par amal karne ki taufeek ata kare.
Imam Bukhari ne jo baab bandha hai hadith no. 695 se pahle: "Fitno ke Imam aur Biddati ke piche namaz padhne ka hukm" aur fir sahabao ke qaul la kar jo result nikala hai isse ye bhi pata chalta hai ki Imam Bukhari ka Aqidah bhi yahi tha ki Fitno ke Imam aur Biddati Imam ke piche namaz padh leni chaiye. Aur aese masjid me sunnat tarike se namaz padhe ne se hame Islah ka mauka bhi milta hai jise hame nahi khona chaiye. Ye alag baat hai ki agar koi behtar Aqide wala Imam maujud hai to behtar aqide wale Imam ko priority deni chaiye. 

Allah se dua hai ki wo hame sidhi raah par chalaye. aameen.

•٠•●●•٠•
Tausiqu said...

Assalam bhai
Mushrik imam ke peeche ka kya hukm hai jbki aksar biddati shirk me mubtila ho hi jaate hain.
Jazak allah khair

Faisal Khan said...

Jayz hai is ayat ke tahet:

..Neki aur parhezgari me ek dusre ki madad karte raho aur gunah aur zulm-o-ziyadti me madad na karo.

Surah Maida (5) ayat 2.