Ek aur chiz jo kuch Muslim karte hai wo ye hai ki wo eid ki namaz ke baad kabristaan ya kabr par jaate hai jiska naam o nishaaan na hi Quran me hai aur na hi sunnah me. Kabristan jana RasoolAllah ke sunnah maise hai lekin Eid ki namaz ke baad kabistan jana sunnah maise nahi hai.
Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Mohammad ﷺ ne farmaya ki Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jo usme se nai hai to wo mardud hai.
Sahih al bukhari, had-2697; Sahih Muslim, hadith-1718.
RasoolAllah ne ek aur hadith me farmaya hai
Rasoollallah ﷺ ne farmaya, "Sabse behtareen Kalam Allah ki kitab hai aur sabse behtareen tareeqa Muhammad ﷺ ka tareeqa hai sabse badtareen kaam Deen mein nayee nayee baton ka paida karna hai ..."
Sahih Bukhari: Volume 9, Book 92, Number 382.
Eid ki namaz ke baad kabr par jana na hi RasoolAllah se sabit hai na hi sahabao se na hi kisi salaf se aur na hi char Imam maise kisi ek Imam se. Lihaza ye amal biddat hai.
Aql ki baat hai Eid ka din Khushi ka din hota hai maze karne ka din hota hai. Aur Kabr par jane ka maksad maut ko yaad kar ke fikr mand hona hota hai. To ye amal eid ke maksad aur paigam se hi takrata hai. Isi liye Eid ke din ko khas kar ke kab par jana mana hai kyuki RasoolAllah ﷺ ne kabhi bhi is din ko khas karne ka hukm nahi diya aur na hi khud khas kiya. Yahi baat Sheikh Ibn ‘Uthaymeen apne fatawe "Majmoo’ Fataawa Ibn ‘Uthaymeen, 16/216-223" me bhi kahte hai
Sheikh Ibn ‘Uthaymeen farmate hai
"Kabr par jana Eid ke khas din ko makhsus nahi karna chaiye na hi juma ko na kisi khas din ko. Ye RasoolAllah se sabit hai ki RasoolAllah ﷺ ne raat ko kabr ki ziyarat ki jaise ki Ayesha r.a. riwayat karti hai sahih Muslim ke hadith me. Aur RasoolAllah ﷺ ne farmaya tha, "Kabr pe jaao kyuki ye tumhe aakhirat ki yaad dilayegi".
Kabr par jana ek ibadat hai aur koi bhi ibadat tab tak qubool nahi hoti jab tak ke wo sharai tarike se na ho. RasoolAllah ﷺ ne kabhi bhi Eid ka din khas nahi kiya Kabr par jane ke liye isiliye hame bhi nahi karna chaiye."
Note: Ye ahkaam sirf uske liye hai jo Eid ke din kabr par jaane ko Deen ka hissa ya amal samajhta ho.
Prepared by:- Faisal Khan