Shaykh ka ye Qawl unke ek dars (lecture) se liya gaya Jisme wo Imam Nawawi ki 40 hadith ki sharah bayan karte hai. Sheikh, Imam Nawawi ki 40 hadiso maise 28wi Hadith ke sharah me nasihat kar rahe hai. Wo 28wi hadith ye hai,
عَنْ أَبِي نَجِيحٍ الْعِرْبَاضِ بْنِ سَارِيَةَ رَضِيَ اللهُ عَنْهُ قَالَ: "وَعَظَنَا رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه و سلم مَوْعِظَةً وَجِلَتْ مِنْهَا الْقُلُوبُ، وَذَرَفَتْ مِنْهَا الْعُيُونُ، فَقُلْنَا: يَا رَسُولَ اللَّهِ! كَأَنَّهَا مَوْعِظَةُ مُوَدِّعٍ فَأَوْصِنَا، قَالَ: أُوصِيكُمْ بِتَقْوَى اللَّهِ، وَالسَّمْعِ وَالطَّاعَةِ وَإِنْ تَأَمَّرَ عَلَيْكُمْ عَبْدٌ، فَإِنَّهُ مَنْ يَعِشْ مِنْكُمْ فَسَيَرَى اخْتِلَافًا كَثِيرًا، فَعَلَيْكُمْ بِسُنَّتِي وَسُنَّةِ الْخُلَفَاءِ الرَّاشِدِينَ الْمَهْدِيينَ، عَضُّوا عَلَيْهَا بِالنَّوَاجِذِ، وَإِيَّاكُمْ وَمُحْدَثَاتِ الْأُمُورِ؛ فَإِنَّ كُلَّ بِدْعَةٍ ضَلَالَةٌ".
Abu Najih al-Irbad bin Sariyah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool Allah ﷺ ne wa’az (speech) farmaya jis se aankhon se Aansoo bah nikley aur dil kaanp uthey, humne arz kiya Ya RasoolAllah ﷺ ye to rukhsat karney waley ki naseehat hai Aap humse kisi cheez ka ahad le le, Aapney farmaya main tumko aise raste par chorh kar ja raha hu jiski raat bhi din ki tarah (roshan) hain is (raste) sey wo hi hatega jo Halaaq honey wala hoga. Tum mein se jo zinda rahega wo shadeed ikhtilaf dekhega tum par mera tareeqa aur mere hidayat yafta khulafa ka tareeqa lazim hai isko daanton se mazbut pakad lena. Nayi chizo se khabardaar rahna kyuki har Biddat ek gumarahi hai.
Fourty Hadith by Imam Nawawi, Hadith-28. [Rawaah Abu Dawud and Imam Tirmizi]
Ab Mai Sharah Bayan karta hu. Shaykh Ibn Uthaymeen ki Sharah Green Text me hogi aur mere explanatory notes, brackets aur black text me honge.
Sheikh ibn Uthaymeen is hadith ki sharah me farmate hai,
“Unke (RasoolAllah ﷺ ke) Bayan Se,
Jo Koi Tum Maise Zinda Rahega Wo Kafi Ikhtilaf Dekhega. To Mery Sunnat Par Amal Karna.
(Isse) Ye Sikha Jaa Sakta Hai Ki Agar Ummat Ke Andar Badi Taadaad Me Jamaate (groups) Ubhar Kar Samne Aaye. To In Me Khud Ko Kisi Jamat Me Shamil Nahi Karna Chaiye.
Maazi (Past) Me, Bahut Se Aise Jamat Zahir Hue Hai (Jaise): Khawarij, Mutazilah, Jahmiyyah, Shiah, Aur Rafidah Bhi.
Phir Baad Me Zahir Hue: Ikhwanis, Salafi, Tablighi Aur Tamaam Inki Tarah.
In Sab Ko Ek Tarf Rakh De, aur Aage Chale.
Isi Ki Taraf Nabi ﷺ Ne Hidayat Ki Hai Ki: “Meri Sunnat Par Amal Karna, Aur Hidayat Yafta Khalifa Ki Sunnat Par.”
Isme Koi Shak Nahi Ke Tamaam Musalmano Par Farz Hai Ki Wo Salaf As Saleh Ke Mazhab (Tarike) Ko Apna Mazhab (Tarika) Banaye. Ummat E Islamia Ke Liye Farz Hai Ke Wo Salaf Ke Mazhab Ko Apne Mazhab Banaye.
Shiddat-pasandi Se Unlogo Ki Tarafdari Nahi Karni Chaiye Jo Apne Ap Ko Salafi Kahte Hai.
Farq Ki Taraf Tawajjoh De.
Ek Toh Salaf Ka Raasta Hai Aur Dusra Salafio Ke Naam Se Ek Jamaat (Hizb) hai.
(Jamaat banane ka) Maksad Kya Hai?
Salaf Ki Pairwi Karna.
Kyun (Jamaat banana Fir) ? (matlab jamaat banaye bina bhi to pairwi ho sakti hai salaf ki)?
Isme Koi Shak Nahi Ki Salafi Bhai Haq Ke Sabse Zyada Kareeb Hai.
Lekin Inki Problem Bhi Wahi Hai Jo Dusre (Firqo) Ki Problem Hai,
(Wo Yeh) Ki In Maise Kuch Firqe Dusro Ko Gumrah Kahte Hai, Woh Unhe Bid’dati (Innovators) Aur Gunah-Gaar Kahte Hai.
Ham Iski Muzammat Nahi Karte, Agar Wo Iske Mustahik Ho, Lekin Ham Biddat Ko Is Tarah Se Handle Karne Ki Muzammat Karte Hai.
Ye Wajib Hai Ki In Firqo Ke Rehnuma (leaders) Ek Sath Aye Aur Kahe Ki Hamare Darmiyan Allah Ki Kitab Aur Rasool Allah Ki Sunnate Hai. Isliye Ham Iske Zarye Faisla Kare Na Ki Apne Khwahisho Ya Raae Ke Zarye Aur Na Hi Shakshiyato Ke Zarye. Har Shaks Se Galti Hoti Hai Aur Durustgi Bhi Hasil Hoti Hai Wo Kyu Na Wo Ilm Aur Ibadat Ke Hawale Se Kisi Bhi Mukam Par Pahoch Gaya Ho.
Ye Wajib Hai Ki In Firqo Ke Rehnuma (leaders) Ek Sath Aye Aur Kahe Ki Hamare Darmiyan Allah Ki Kitab Aur Rasool Allah Ki Sunnate Hai. Isliye Ham Iske Zarye Faisla Kare Na Ki Apne Khwahisho Ya Raae Ke Zarye Aur Na Hi Shakshiyato Ke Zarye. Har Shaks Se Galti Hoti Hai Aur Durustgi Bhi Hasil Hoti Hai Wo Kyu Na Wo Ilm Aur Ibadat Ke Hawale Se Kisi Bhi Mukam Par Pahoch Gaya Ho.
Deen Islam (Quran, Sunnat) Hi Sirf Galti Se Paak Hai. (Na ki koi shakshiyat)
Hadith Me RasoolAllah Ne Us Raste Ke Taraf Hidayat Di Hai Jisme Ek Shaks Mahfuz Kar Sakta Hai Apne Ap Ko. (Aur Uska Hal Ye Hai Ki) Wo Apne Apko Kisi Bhi Firqe Se Na Milaye. Sirf Salaf As Saleh Ke Aur Nabi ﷺ Ke Tarike Par Aur Khulfa E Rashideen Ke Tarike Par (Chale).” End quote.
•٠•●●•٠•
Allah se dua hai ki wo hame Nabi ﷺ, Hidayat Yafta Khulafa e Rashideen aur salaf as Saaleh ki sunnat par amal karne ki taufeek de. aameen.
Post a Comment