Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 Jan 2018

Galat Samjhi Jane Wali Ek Hadees e Qudsi


۩ Abu Huraira r.a. se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya ki Allah Subhanahu farmata hai,

“Jisne mere kisi wali se dushmani ki use meri taraf se aelan e jang hai aur Mera banda jin jin Ibadato se mera qurb hasil karta hai (unme se) koi ibaadat mujhko isse zyada pasand nahi hai jo maine us par farz ki hai.

Aur mera banda farz ada karne ke baad Nawafil ibadat kar ke mujhse itna zyada nazdeek ho jata hai ki mai us se muhabbat karne lag jata hu, fir jab mai us se muhabbat karne lag jata hu toh mai uska kaan (ear) ban jata hu jis se wo sunta hai, uski aankh ban jata hu jis se wo dekhta hai, uska haath ban jata hu jis se wo pakadta hai, uska paao (leg) ban jata hu jis se wo chalta hai.

Aur agar mujhse maangta hai to mai use deta hu, agar wo kisi dushman ya shaitan se meri panaah ka talib hota hai toh mai use mahfooz rakhta hu aur mai jo kaam karna chahta hu us me mujhe itna taraddud (hesitation) nahi hota jitna ki mujhe apne momin bande ki jaan nikalne me hota hai wo toh maut ko pasand nahi karta aur mujhe bhi usko takleef dena achcha nahi lagta.”

Sahih al Bukhari, kitab ar riqaq (81), hadees-  6502.

Hamare muashre me is hadees ko intehai galat maqasid ke liye istemaal kia jaate hai.
Is hadees ki badaulat kuch log auliya parasti aur qabar parasty ko Durust sabit karne ki koshish karte hai. Aur is hadees ko galat istemaal karte hue bohot saare log wali Allah hone ka daawa karte hai aur logo ko shirk e akbar me mubtila kardete hai,yahan tak ke inse sajdeh karwate hai, aur apne mureedon se khuub paise luut te hai.

Is hadees e qudsi ka asal mafhoom ye hai ke wo nek muttaqi shaqs jo shariyat ka paband hota hai, Allah ke faraiz ko baqhubi adaa karta hai,Allah aur Rasool ﷺ ki mukammil pairwi karta hai ,iske alawa jab wo nafli ibadat karta hai, nafli rooze rakhta hai Allah ki raah me sadqa wa khairaat karta hai, Hajj, zakaat adaa karta hai to aisa muttaqi shaqs Allah ka wali ban jaata hai. Jab wo shaqs Allah ka wali ban jaata hai to Allah uska kaan ban jaata hai matlab wo apne kaan ko sirf achi cheeze sunne ke liye istemaal karta hai, gair sharayi chize sunne se gareez karta hai, fir Allah us wali ki aankh ban jaata hai, ya'ani wo shaqs un chizo ko dekhta hai jinhe dekhne ka hukm Allah ne diya hai aur in chizo ko nahi dekhta jinhe dekhna haraam qaraar diya hai, aur Allah us shaqs ka hath aur paaon ban jaata hai,

Matlab wo apne hathon ko Allah ke kaamon ke liye istemaal karta hai, Aur bure kaamo se ijtenaab karta hai,

Aur apne qadmo ko Allah ki raah me chalne ke liye istemaal karta hai aur un jagahon par jaane se gareez karta hai jin jagahon par jaana Allah ne haraam qaraar diya hai.

•٠•●●•٠•

Post a Comment