Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

1 Jan 2018

Gumbad-e-khizra - Iske Ahkaam Aur Isko Tabah Na Karne Ki Wajah


RasoolAllah ﷺ ke kabr ke upar bani hui imarat ko GUMBAD-E-KHIZRA kahte hai. Ye Gumbad saatwi (7wi) sadi me banai gayi thi. Is gumbad ko badshah al-Zaahir al-Mansoor Qalawoon al-Saalihi ne 678 AH me banai thi. Aur sabse pahle ye lakdi ke rang ka tha, fir ye safed rang ka hua aur fir nila aur fir ye sabz(green) rang ka hua aur ab tak wo isi rang ka hi hai.

۞ IS GUMBAD KE AHKAAM:

Ulema e kiraam maazi aur jadeed dono me is Gumbad ko banane me aur isko rangne ki tankeed(criticize) karte hai. Is sabki wajeh yahi hai ki kahi ye shirk ke darwaze na khol de.

Hafiz al-San'aani (raheemaullah) Ta-theer al-I’tiqaad me kahte hai:

"فإن قلت : هذا قبرُ الرسولِ صلى اللهُ عليه وسلم قد عُمرت عليه قبةٌ عظيمةٌ انفقت فيها الأموالُ . قلتُ : هذا جهلٌ عظيمٌ بحقيقةِ الحالِ ، فإن هذه القبةَ ليس بناؤها منهُ صلى اللهُ عليه وسلم ، ولا من أصحابهِ ، ولا من تابعيهم ، ولا من تابعِ التابعين ، ولا علماء الأمةِ وأئمة ملتهِ ، بل هذه القبةُ المعمولةُ على قبرهِ صلى اللهُ عليه وسلم من أبنيةِ بعضِ ملوكِ مصر المتأخرين ، وهو قلاوون الصالحي المعروف بالملكِ المنصورِ في سنةِ ثمانٍ وسبعين وست مئة ، ذكرهُ في " تحقيقِ النصرةِ بتلخيصِ معالمِ دارِ الهجرةِ " ، فهذه أمورٌ دولية لا دليليةٌ -

"Agar ap kahte hai ki ek azeem gumbad ko banaya gaya tha RasoolAllah ki kabr ke upar kafi paise lagate hue to mai ye kahta hu ki ye soorat e haal ki boht badi jahilyat hai, kyuki ye Gumbad RasoolAllah ne nahi banaya tha na hi sahabao ne aur na hi jinhone unki pairwi ki thi aur na hi tabaeen ki pairwi karne walo ne aur na hi Ummah ke Ulemao ne ya fir Imamo ne. Balki RasoolALlah ke kabr ke upar ke gumbad ko Egypt ke baadshah ke hukm pe banaya gaya tha, jo baad me aye the jinka naam Sultan Qalawoon al-Saalihi tha aur inko Mansoor ke Baadshah ke naam se bhi jana jata tha, 678 AH me. Aur inka zikr Tahqeeq al-Nasrah bi Talkhees Ma’aalim Dar al-Hijrah me bhi kiya gaya tha. Ye sari chize Mulk ke hukm se kiya gaya tha na ki Sharai dalail se.   End quote.

Standing Committee ke Ulema farmate hai: 

“Aisa kahi se bhi saabit nahi hai ki Aap ﷺ ke qabr par gumbad banayi gayi thi, jo Allah ke Auliya aur nek bando ki qabar ke upar gumbad banane ka bahana karte hai, kyuki ye aap ﷺ ki hidayat nahi hai ki unke qabr par gumbad banayi jaye aur yeh gumbad kisi sahaba, taabaeen, ya hidayat wale Imaam jo ke ibtidai zamane ke the unlogo ne ne nahi banayi thi jinlogo ki acchai ki gawahi khud RasoolAllah ne di thi. Balki yeh biddati log ne kiya tha. Aur aap ﷺ ne kaha ki jo bhi Hamare muamlat me koi aisi baat shamil kare jo is maise nahi hai to woh namanzur hai...aur yeh bhi sabit hua hai ki Ali r.a. ne  Abu’l-Hayaaj se kaha ki kya mai tumhe usi maksad ke liye na bheju jaise ki aap ﷺ ne mujhe bheja hai ki har tasveer mita do aur har unchi qabar ko barabar krdo (rawaah Muslim). Aur yeh kahi se bhi sabit nahi hai ki aap ﷺ ne qabar par gumbad banayi thi aur na hi Maaroof Imam se ye sabit hai. Balki jo sabit hai wo ye batati hai ki ye amal galat hai. aur kisi Muslim ko bhi biddatio ki kisi amal se tal-luk nahi rakhna chaiye jinhone RasoolAllah ke kabr ke upar gumbad banayi thi.” End quote.

Shaykh ‘Abd al-‘Azzez ibn Baaz, Shaykh ‘Abd al-Razzaaq ‘Afeefi, Shaykh ‘Abd-Allaah ibn Ghadyaan, Shaykh ‘Abd-Allaah ibn Qa’ood.

Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah (2/264, 265).

۩ Jabir r.a. riwayat karte hai ki Nabi ﷺ ne kabro par baithna, kabr ka PAKKA karwana aur kabr par imarat banwana mana farmaya tha.

Sahih Muslim, kitab al Janaaez, hadees-2245.

۩ Abu'l-Hayyaj al-Asadi r.a. ne kaha ki Ali r.a. ne unko kaha ki kya mai tumhe usi maqsad ke liye na bheju jis maqsad ke tahet RasoolAllah ﷺ ne mujhe bheja tha. (Wo ye hai) ki tum kisi tasweer ko na chorna magar use mita dena ya kisi unchi kabr ko na chorna magar use (zameen ke) barabar kar dena.

Sahih Muslim: kitab al Janaaez, hadees- 2243.

۩ Ayesha r.a. kahti hai ke jab Nabi ﷺ bimaar pad gaye toh Aap ﷺ ki baaz biwion (umme Salma aur umme Habiba) ne ek Girje ka zikr kya jise unhone Habsha me dekha tha jis ka naam Mariya tha. Umm Salma aur Umm habiba r.a. dono Habsha ke mulk me gayi thi. Unhone iski khubsurti aur is me rakhi hui tasveer ka bhi zikr kiya. Is par aa huzoor ﷺ ne sar mubarak utha kar farmaya, 'Yeh woh log hai ke jab un mein koi nek shakhs mar jata to uski kabr par ibadatgaah bana lete aur fir uski Tasveer usme rakh dete the, Allah ke nazdeek ye log saare makhluk me bad-tareen (bure) makhluk hai.'

Sahih al Bukhari, kitab al Janaaez, hadees- 1341.

۞ IS GUMBAD KO TABAH NA KARNE KI WAZAH:

Gumbad e khizra ko tabah na karne ki wajah Fitna ko dur karna hai. Matlab isko tabah karne se fitne paida ho sakte hai. Aur ye dar hai ki agar isko tabah kiya gaya to Muslim Ummah ke aam logo aur jahilo me afra-tafri aajayegi. Badkismati se kuch aam logo ne jo is gumbad ko izzat dena shuru kar diya hai wo gumrah ulemao aur biddati Imamo ki kayadat(leadership) ke wajah se hai. In hi logo ki wajeh se aam logo ke dilo me in do mukaddas jagah, is jagah ke logo ke aqida aur manhaj ke khilaf soch hai. In logo ki soch hai ki is jagah ke logo ka aqida aur manhaj sahi nahi hai aur jo wo karte hai wo galat hai wo kyu na Quran wa sunnah se sabit hi ho.

Aur is tarha ka fitna dur karna bilkul sunnat se sabit hai,

۩ Hazrat Ayesha siddiqa r.a. ne bayan kiya ke maine RasoolAllah ﷺ se pucha ke kya Hateem (Kabah ke pas ki gol diwar) bhi baitullah me dakhil tha?
Aap ﷺ ne farmaya ke Haan! . Fir maine pucha ke logon ne isey Kabe mein kyun nahin shaamil kiya? Aap ﷺ ne jawab diya ke Tumhari qaum ke paas kharch ki kami pad gai thi. Fir maine pucha ki ye darwaza kyu uncha banaya? Aap ﷺ ne farmaya ke ye bhi tumhari hi qaum ne kiya takay jise chahein andar aane dein aur jise chahein rok dein. Agar tumhari qaum ki jahiliyat ka zamana taaza taaza na hota aur mujhe iska khauf na hota ke un k dil bigad jayenge to us Hateem ko bhi mai Kabe mein shamil kar deta aur kaba ka darwaza zameen ke barabar kar deta.

Sahih al-Bukhari, Kitabul Hajj, Book 25, Hadith-1584.

Khair.. Islamic shariah waazeh hai is baat se. Aur gumbad e khijra nahi tabah kiya gaya hai iska matlab ye nahi ki kabr ke upar imarat banwana jayz hai. Kyuki Islam ko janne ke liye Quran wa sunnah ko dekhna chaiye na ki Musalmano ko.

۩ Shaykh Saalih al-‘Uthaymeen (raheemaullah) farmate hai:

“Agar ye gumbad 8 sadi tak rahi hai to iska matlab ye nahi ki iski ijazat hai aur is muamle me khamosh rahne ka matlab ye nahi hai ki iski manzuri hai aur iski ijazat hai. Balki Muslim Hukmaraan ko is gumbad ko hata dena chaiye  aur usko wapis usi tarha rakhna chaiye jis tarha wo Rasool Allah ke zamane me tha.  Unlogo ko gumbad, zeb wa zinat aur Kandah kaari(engravings) jo masjid me payi jati hai usko hata dena chaiye jab tak ke wo kisi bade fitne me mubtila na kar de. Lekin Agar ye koi bade fitne ke taraf le jati ho to hukmaraan ko sahi mauka pane tak taal dena chaiye.” End quote.

Bida’ al-Quboor, Anwaa’uha wa ahkaamuha (p. 253).

•٠•●●•٠•

Allah hame RasoolAllah ﷺ ke hukm aur unke tarike par chalne ki taufeek de..aameen