اقرأ باسم ربك الذي خلق

6 Jan 2018

Hadees e Jibreel


حَدَّثَنَا مُسَدَّدٌ، قَالَ حَدَّثَنَا إِسْمَاعِيلُ بْنُ إِبْرَاهِيمَ، أَخْبَرَنَا أَبُو حَيَّانَ التَّيْمِيُّ، عَنْ أَبِي زُرْعَةَ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ كَانَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم بَارِزًا يَوْمًا لِلنَّاسِ، فَأَتَاهُ جِبْرِيلُ فَقَالَ مَا الإِيمَانُ قَالَ ‏"‏ الإِيمَانُ أَنْ تُؤْمِنَ بِاللَّهِ وَمَلاَئِكَتِهِ وَبِلِقَائِهِ وَرُسُلِهِ، وَتُؤْمِنَ بِالْبَعْثِ ‏"‏‏.‏ قَالَ مَا الإِسْلاَمُ قَالَ ‏"‏ الإِسْلاَمُ أَنْ تَعْبُدَ اللَّهَ وَلاَ تُشْرِكَ بِهِ، وَتُقِيمَ الصَّلاَةَ، وَتُؤَدِّيَ الزَّكَاةَ الْمَفْرُوضَةَ، وَتَصُومَ رَمَضَانَ ‏"‏‏.‏ قَالَ مَا الإِحْسَانُ قَالَ ‏"‏ أَنْ تَعْبُدَ اللَّهَ كَأَنَّكَ تَرَاهُ، فَإِنْ لَمْ تَكُنْ تَرَاهُ فَإِنَّهُ يَرَاكَ ‏"‏‏.‏ قَالَ مَتَى السَّاعَةُ قَالَ ‏"‏ مَا الْمَسْئُولُ عَنْهَا بِأَعْلَمَ مِنَ السَّائِلِ، وَسَأُخْبِرُكَ عَنْ أَشْرَاطِهَا إِذَا وَلَدَتِ الأَمَةُ رَبَّهَا، وَإِذَا تَطَاوَلَ رُعَاةُ الإِبِلِ الْبُهْمُ فِي الْبُنْيَانِ، فِي خَمْسٍ لاَ يَعْلَمُهُنَّ إِلاَّ اللَّهُ ‏"‏‏.‏ ثُمَّ تَلاَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم ‏{‏إِنَّ اللَّهَ عِنْدَهُ عِلْمُ السَّاعَةِ‏}‏ الآيَةَ‏.‏ ثُمَّ أَدْبَرَ فَقَالَ ‏"‏ رُدُّوهُ ‏"‏‏.‏ فَلَمْ يَرَوْا شَيْئًا‏.‏ فَقَالَ ‏"‏ هَذَا جِبْرِيلُ جَاءَ يُعَلِّمُ النَّاسَ دِينَهُمْ ‏"‏‏.‏ قَالَ أَبُو عَبْدِ اللَّهِ جَعَلَ ذَلِكَ كُلَّهُ مِنَ الإِيمَانِ‏.‏

Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai, Nabi e akram ﷺ logo ke saamne tashrif farma the ke achanak ek shakhs aapki khidmat me hazir hua aur puchne laga, 'Eeman kya hai?'

Aap ne farmaya: 'Eeman ye hai ke tum Allah par, aur uske farishto par aur roz e hashar Allah ke huzur pesh hone par aur Allah ke rasoolo par eeman lao aur qayamat ka yaqeen karo.'

Unhone mazeed sawal kiya, Islam kya hai?

Aap ne farmaya, 'Islam ye hai ke tum mahez Allah ki ibadat karo aur uske saath kisi ko shareek na karo, namaz thik taur pe ada karo aur farz zakat ada karo aur ramzan ke roze rakho.'

Fir unhone pucha, 'Ahsaan kya hai? Aap ne farmaya, 'Ahsaan ye hai ke tum Allah ki ibadat is tarha karo goya tum use dekh rahe ho, agarche tum use nahi dekh rahe ho lekin wo to tumhe dekh raha hai.”

Unhone kaha, Qayamat kab barpa hogi?

Aap ﷺ ne farmaya: 'Jis se sawal kiya gaya wo bhi sawal karne wale se zyada nahi jaanta, albatta mai tumhe qayamat barpa hone ki kuch nishaniya bata deta hu, jab laondi apni malik ko janegi aur jab siyah oonto (camel) ke charane wale (deehati log tarakki karte karte) maqanat ki taameer me ek dusre se bazi le jaynge (toh qayamat karib hogi). Darasal qayamat un paanch baato me se hai jinko Allah ke siwa aur koi nahi jaanta.'

Fir aapne ye ayat tilawat farmai, 'Beshak Allah hi ko qayamat ka ilm hai..' iske baad wo shakhs wapas chala gaya, toh aapne farmaya, use mere pass laao. Chunanche logo ne use talash kiya lekin uska koi surag na mila toh Aap ﷺ ne faramaya, “Ye Jibreel the jo tumhe tumhara Deen sikhane aaye the.”

Imam bukhari r.h. kahte hai, 'Rasoolullah ﷺ ne in tamam chizo ko eeman karaar diya tha.'

Sahih al bukhari, kitab al eeman (2), hadees- 50.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame eemaan e kaamil ata kare. aameen.