Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

2 Jan 2018

Halat e Haiz Me Quran Padhne Aur Zikr Karne Ke Ahkaam


Halat e Haiz me Quran padhna un muamlo maise hai jisme hamare Ulema e Deen ne ikhtilaf kiya. Aksar fuqahaa ki ye raae hai ki Haiz me Quran padhna haraam hai jab tak ke wo pak na hojaye. Sirf ek riayat(exception) hai aur wo Zikr karne ke muamle me hai, jaise “Bismillaahi’r-Rahmaani’r-Raheem” ya “Innaa Lillaahi wa innaa ilayhi raaji’oon”, ya fir quran mese koi dusra jumla jo aam taur par dohraya jata hai.

Aur Kuch ulema kahte hai ki Haiz ke dauran Quran padhne ki ijazat hai. Ye raae hai Imam Maalik aur ek raae jo ki Imam Ahmad se riwayat hai, jise Shaikh Ibn Taymiya ne tarjih di hai aur jise Shaykh Shawkaani durust mante hai aur Sheikh Muhammed Salih Al-Munajjid  bhi isi raae ke qayal hai . Ye ulema apne nukhte is raae par rakhte hai:

Usool ye hai ki har chiz ki ijazat hai siwae jab us chiz se mana farmaya gaya ho. Aur aisi koi dalai kitab wa sunnah se nahi hai jo kahti hai ki haiza ko Quran padhne ki ijazat nahi hai. Sheikh Ibn Taymiyyah farmate hai:

"Koi bhi saaf, sahih alfaz nahi hai jisse ye sabit hota ho ki Haiz me Aurto ko Quran padhna mana hai.... Ye malum hai ki RasoolAllah ke zamane me aurte haiz se hoti thi, aur RasoolAllah ﷺ ne unhe mana nahi farmaya Quran padhne se ya Allah ke zikr se ya Dua karne se. Balki RasoolAllah ﷺ ne haiza aurto ko ye hukm diya tha ki wo Eid ke liye jaye aur Takbeer padhe Musalmao ke sath." End quote

Majmoo al fatawa 21/460.

Allah subhanahuwatala Quran padhne ka hukm deta hai. Aur wo unlogo ki taareef karte hai jo aisa karte hai, aur wada karta hai bade ajar ki. Koi bhi isse mahrum nahi ho sakta siwae jis pe pukhta dalail ho. Lekin aisi koi pukhta dalail nahi hai.

۩ Hazrat Ayesha r.a. farmati hai ki ek hajj me mai haiza ho gai, toh RasoolALlah ﷺ ωαѕαℓℓαм ne farmaya, “Baitullah ke tawaf ke alawa baaki har wo kaam karo jo haji karta hai."

Sahih al-Bukhari, hadith- 293.

۩ Umme Atiyya r.a. farmati hai ki RasoolAllah ﷺ ne Haiz wali aurto ko bhi Eid ke roz Eidgah jane ka hukm diya taaki wo logo ke takbiro ke sath takbire kahe aur un ki duae ke sath duae kare lekin namaz na padhe.

Sahih al Bukhari, hadith- 324.

۩ Shaykh Muhammed Salih Al-Munajjid farmate hai ki Haiz me aurto ko Quran padhne ki ijazat dene ki raae hi mazbut raae hai.


Lekin ek chiz ki ahtiyat karni chaiye ki Haiz me ulema Quran chune ki ijazat nahi dete. Is halat me Quran ko kisi kapde ya kisi sheet ke zarye se chuna chaiye, directly nahi.

Upar ke dalailo se hame ye baat pata chali:

1. Ulema e Deen ki  Raae me ikhtilaf hai is muamle me.

2. Aksar Fuqaha ki ye raae hai ki Haiz ke Halat me Quran padhne ki ijazat nahi hai.

3. Imam Maalik, Imam Ahmad,  Shaikh Ibn Taymiya, Sheikh Shawkaani aur  Sheikh Muhammed Salih Al-Munajjid ki raae ye hai ki Haiz me Quran padhne ki ijazat hai.

4.  Sheikh Muhammed Salih Al-Munajjid Haiz ke halat me Quran padhne ki raae ko mazbut raae batate hai.

5. Haalat e Haiz me Zikr karne ki ijazat hai.

Aur Allah sab se behtar janta hai.

•٠•●●•٠•