Allah pak Quran me farmate hai,
Beshak Jo Log Hamari Nazil Ki Huyi Wazeh Ayaat Aur Hidayat Ko Chipaate Hai, Ba-wajood Ye Ke Hum Ne Use Apni Kitaab Mein Logo Ke Liye Khoob Bayan Kar Diya Hai, Toh Un Logo Par Allah Ki Laanat Aur Tamaam Laanat Karne Waalo Ki Laanat Hai.
Magar Wo Log Jo Tauba Karle Aur Islah Karle Aur (Us Chupaye Hue Ilm Ko) Bayaan Karde, To Main Un Ki Tauba Qubool Kar Leta Hoon Aur Main Tauba Qubool Karne Wala Aur Rahem Wa Karam Karne Waala Hoon.
Surah Baqara, Ayat : 159 And 160.
۩ Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne irshad farmaya, "Jis shaks se koi ilm ki baat puchi gai jo us shaks ko malum thi fir bhi usne us (ilm) ki baat ko chupa liya to aese shaks ko qayamat ke din (Allah ki taraf se saza ke taur pe) aag ki lagaam dali jayegi."
Jamia tirmidhi, hadith: 2649; Sunan abu Dawud, hadith-3658. Classed as sahih by Shaykh Zubair ali zai and Shaykh Albani.
۩ Imam Muslim (apne shagird ka zikr karte hue) farmate hai:
"Allah taala tumko hidayat de ke tumne us baat ka iradah zahir kiya hai ke mai is qism ki tamam ahadith ka ek majmua tayar kar ke ikhtisaar ke sath tumare liye jama kardu. Allah taala tumhe izzat ata farmaye jab maine tumhari is farmaish par gaur kiya aur is ke anjaam ki taraf tawajjah ki aur Allah kare iska anjaam achha ho toh mujhe ye andaza hua ke aur logo se pahle khud mujhe bhi ye majmua tayar karne ka fayda hoga.
Mazbuti aur sehat ke sath thodi si ahadith ko yad rakhna zyada aasan hai khas taur pe awamun-naas ke liye jinhe sahih aur gair-sahih ahadith me tameez hasil hi nahi ho sakti jab tak ke dusre log unko bata na de. Pas aisi surat e haal me thodi tadad me sahih riwayaat jama karne ka iradah karna boht zyada tadad me zaif riwayaat jama karne se zyada behtar aur mufeed hoga."
Muqaddamah Sahih Muslim (introduction). [muqammal muqaddamah padhe]
۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai aur kahte hai ki, log kahte hai ke Abu Hurairah bohot haadeese bayaan karte hai. (aur mai kahta hu ke) Quran me 2 aayate na hoti to mai ek bhi hadith bayan na karta. [fir ye aayat padhi, (tarjuma)].. "Jo log Allah ki naazil ki hui daleelo aur aayato ko chupate hai...( aakhir aayat, رحيم) tak." [Surah baqara, ayat- 159 and 160].
(Waqya ye hai ke) humare Muhajireen bhai to bazaar ki khareed o farokht me lage rahte the aur Ansaar bhai apni jaidado me mashgool rahte the lekin mai (Abu Huraira) Rasool ﷺ ke sath jee bhar kar rahta aur un majliso me hazir rahta jinme dusre haazir na hote aur wo baate mahfooz rakhta jo dusre mahfoz nahi rakh sakte the."
Sahih al Bukhari, hadith-118.
Note: Hikmat e Tabligh ke tahat kuch waqt ke liye haq baat ko pohchane par taakheer (delay) kar dena haq ko chupana nahi hai:
Hazrat Anas r.a. se riwayat hai, unhone farmaya: Ek dafa Hazrat Ma’az r.a. ne Rasool Allah ﷺ ke humraah sawaari par pichhe baithe the, Aapne farmaya : “Aye Ma’az Ibn-e-Jabal !” Unhone arz kiya : Ya Rasool Allah ! Sa’adat mandi ke saath haazir hun. Phir Aapne farmaya : “Aye Ma’az !” Unhone phir arz kiya : Ya Rasool Allah ! Mai haazir hun. Teen (3) martaba aisa hua. Phir Aapne farmaya : “Jo koi sachche dil se yeh gawaahi de ke Allah ke siwa koi Mabood-e-Haqeeqi nahi aur Muhammad (ﷺ) uske Rasool hain to Allah us par dojakh ki aag haraam kar deta hai.” Hazrat Ma’az ne arz kiya : Ya Rasool Allah ! Kya mai logon mein iski tash’heer na kar dun taake wo khush ho jaayen ? Aapne farmaya : “Aisa karega to unhe isi baat par bharosa ho jaayega.” Fir hazrat Ma’az r.a. ne apni wafaat ke qareeb (hadees chupane ke) gunaah se bachne ke liye yeh hadees logon ko bayaan ki.
Sahih al-Bukhari, kitab al ilm, hadith- 128.
•٠•●●•٠•
Allah ham sab ko haq chupane se mahfooz rakhe. aameen.
Post a Comment