Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 Jan 2018

Haraam Kamayi Hui Daulat Se Dawat Dene Wale ki Dawat Qubul Karna


  Sawal  

Kya Haraam zarye se kamai hui Daulat wa maal se dawat dene wale ki dawat ko qubul kar liya jaye ya nahi? Islamic shariah ka kya hukm hai is muamle me?

  Jawab  

۩ Shaykh ibn Uthaymeen r.h. farmate hai:

“Kuch ulema ne kaha ki agar kisi shaks ki daulat haraam ho kyuki use haraam tarah se kamaya gaya ho, to us ka Gunah sirf us par hai jo kamata ho, us ki Dawat halal tarah se qubool karne wale par uska gunah nahi.

Ye un Daulat ke tarha nahi hai jo haraam ho khud me hi jese sharab, zabarzasti maal hadap karna aur usi tarha. Is raae ki bunyad mazbut hai kyuki Rasoolullah ﷺ Yahudi ke yaha se apne ayaal ke liye khana laate aur Yahudi aurat ka Khaibar me diya hua Dumbe ko khaye tha (Sahih al Bukhari, hadith-2617.),

aur Rasoolullah ﷺ Yahud ki dawat ko qubul kiya karte the, jab ki ye ache se pata hai ki aksar Yahud sood aur haraam maal ko khate hai (Qur'an,4:161). Shayad Rasoolullah ﷺ ke Ye Alfaaz is baat ki Tayeed me wazeh hai jo Bareerah r.a. ko diya gaya bataur sadqa, Ye Us k liye Sadqa hai aur us ke taraf se humare liye Hadiya hai (Sahih al-Bukhari 5430).”

Al-Qawl al-Mufeed ‘ala Kitaab al-Tawheed, 3/112.

۩ Shaykh ibn Uthaymeen aur wazahat se farmate hai:

“Jaha tak ke haraam ka muamla hai kyuki ye (haraam) tarike se kamaai gai hai jaise ki kisi ko dhoka dekar, ya sood ke zarye se ya jhut ke zarye se ya isi tarha, ye un ke liye haraam hai jo is tarha se (kamaai kar ke) hasil karta hai lekin ye kisi aur ke liye haraam nahi hai agar wo usse halal zarye se hasil kare. Ye is baat ki zahir hai ki Rasoolullah ﷺ Yahudiyo se karobar(deal) kiya karte the [al-Bukhaari (2165) and Muslim (1551)] jab ki wo haraam daulat aur sood khaya karte the. Ye baat zahir karti hai ki ye hasil karne ke alawa kisi aur ke liye haraam nahi hai.”

Tafseer Soorat al-Baqarah, 1/198.

•٠•●●•٠•

Post a Comment