اقرأ باسم ربك الذي خلق

7 Jan 2018

Ibn Abbas Aur Khwarij Ka Munazra


Abdullah Ibn Abbaas r.a. Bayan Karte Hain Ki Jab Haruriyyah (Khwarij) Ka Zahur Hua Toh Unhone Ek Alag Jagah Ko Apna Maskan Bana Liya Aur Unki Tadad 6000 Thi. Main Ne Ameerul-Momineen Ali Ibn Abi Talib r.a. Se Arz Kiya Ke Aap Namaz (Zuhar) Thodi Thandi (Yani Mo'akhir) Kar De Taaki Mai Un Logo (Khwarij) Se Guft-o-shaneed Kar Saku. Ali Ibn Abi Talib r.a. Ne Farmaya: Mujhe Khauf Hai Ki Wo Tumhe Koi Nukhsan Na Pohnchain. Main Ne Arz Kiya Ke Kat'an Aesa Koi Imkaan Nahi! Chunache Maine Achcha Libaas Zaib Tan Kiya Aur Baal Saware Aur Unke Paas Pohonch Gaya. Ain Dophar Ka Waqt Tha Aur Wo Khana Kha Rahe The. Unhone Mujhe Dekh Kar Kaha: "Marhaba Ae Ibn Abbaas! Kaho Kese Aana Hua?"

Toh Maine Jawab Diya: Main Apke Paas Muhajir Wa Ansar Sahaba, Rasool Allah ﷺ Ke Chacha Zaad Aur Damaad (Syyedina Ali Ibn Abi Talib r.a.) Ki Taraf Se Aaya Hu. Un (Ke Halat) Par Qur'an Utra, Lihaza Wo Quraan Ki Tafseer Tumse Kahee Behtar Jante Hain Aur Tum Me Un Jaisa (Faziliyat Wala) Koi Bhi Maujud Nahi. (Mere Aane Ki Gharz Ye Hai Ki) Mai Tumhe Unka Mauquf Pohancha Dun Aur Tumhara Mauquf Un Tak Pohcha Dun. Chunache (Ye Baat Sunkar) Un Maise Bohot Se Log Mere Paas Aa Baithe. Mai (Abudullah Ibn Abbaas) Ne Unse (Khwarij) Se Sawal Kiya Ki Mujhe Is Baat Ki Daleel Do Ki Kis Daleel Ki Roshni Me Tum Logo Ne Sahaba Aur Rasool Allah ﷺ Ke Chacha Zaad Aur Damaad (Ali Ibn Abi Talib) Se Dushmani Mol Li Hai?
Unhone Kaha: Is Ikhtelaf Ke Teen (3) Wajuhaat Hain. Main Ne Kaha: Teen Wajuhaat Kaun Si Hain? Un Maise Ek Ne Kaha: Pahli Baat Toh Ye Hai Ke Unhone (Syyedina Ali Ibn Abi Talib r.a. ne) Allah Ke Muamle Main Insaano Ko Qaazi Thehra Liya Hai. Halanki Allah Ka Farman Hai, "Faisle Ka Ikhteyar Sirf Allah Ko Hasil Hai"(Al-Anaam:57) Lihaza Is Muamle Main Insaano Ke Faisle Se Kya Sarokaar?

Main Ne Kaha Ye Ek Aitraaz Hua (Yani Agla Aitraaz Batao?)

Unhone Dusra Sabab Ye Bataya Ke Unhone (Syyedina Ali Ibn Abi Talib r.a.) Ne (Syyeda Aisha r.a. Ke Giroh Ke Sath Jang E Jamal Aur Hazrat Muawiya r.a. Ke Giroh Ke Sath Jang E Siffeen Me) Jang Ki, Magar Na Toh Unke Qaidiyo Ko Londi Aur Gulam Banaya Aur Na Hi Maal E Ganimat Jama Kiya. Agar Wo Kafir The Toh Unhe Qaidi Banana Bhi Durust Tha Aur Agar Wo Momineen The Toh Sire Se Unke Sath Qitaal Karna Bhi Galat Hua.

Main Ne Kaha: Ye Do Batain Ho Gain, Ab Teesra Aitraaz Batao?

Unhone Kaha: Unhone (Ali Ibn Abi Talib r.a. ne) (Hazrat Muawiya r.a. Ke Sath Muhaide Ki Tahreer Main) Apne Naam Se Lafz "Ameerul Momineen" Mitwa Diya Hai, Lihaza Agar Wo Ameerul Momineen Nahi Hain Toh Kya Ameerul Kafireen Hain?

Main Ne Kaha In Teen Ishkaal Ke Alawa Aur Koi Aitraaz Bhi Hai? Unhone Kaha: Nahi! Yahi Teen Kaafi Hain. Maine Kaha: Agar Tumhe Allah Talah Ki Kitaab Aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasllam Ki Sunnat Se Kuch Paish Karun Jis Se Tumhare Ashkalaar Hal Ho Jayen Toh Maan Loge? Unhone Kaha: Ji Haan Bikul!

Maine Kaha: Tumhara Ye Aitraaz Ke Ali Ibn Abi Talib r.a. Ne Allah Talah Ke Muamle Me Insaano Ko Qaazi Thehra Liya Hai. (Aur Yun Kufr Ka Irtekaab Kia Hai), Toh Mai Tumhe Allah Talah Ki Kitab Main Se Hi Dikha Deta Hun Ki Allah Talah Ne Ek-chauthai (1/4) Dirham Ki Milkiyat (Jesi Haqeer Raqam) Par Faisla Insaano Ke Supurd Farmaya Hai Ke Woh Iska Faisla Kar De, Dekho Allah Talah Farmata Hai: "Aye Imaan Walo"! Haalate Ehraam Main Shikaar Mat Karo Aur Tum Maise Jo Jaan Bujh Kar Aisa Kar Baithe Toh (Us Shikaar) Ke Barabar Kisi Janwar Ko Bataur Kaffara Pesh Kare: Jiska Faisla Tum Maise Do Muattabir Afraad Karenge"(Al-Maida:95).
Ab Dekh Lo Ke Ye Mamuli Aur Chota Sa Faisla Allah Talah Ne Bando Ke Supurd Farmaya Jab Ki Wo Khud Hi Faisla Kar Sakta Tha Magar Fir Bhi Usne Insaani Faisle Ko Ja'eez Rakha.
Mai Tumhe Allah Ka Wasta Dekar Puchta Hun Ke (Insaani Faisle Se) Umoor E Muslimeen Ki Islah Karna Aur Aman Ke Khatir Bahmi Khoon Rezi Rokna Zyada Aham Aur Afzal Hai Ya (Halaate Ehraam Main Shikaar Kiya Gaye) Khargoash Ka Muamla Zyada Zaruri Hai?
Unn (Khuwarij) Ne Jawab Diya: Kyu Nahi! Yahi (Musalmano Ke Darmiyan Sulah Karwana Hi) Zyada Afzal Hai.

(Fir Maine Dusri Daleel Dete Hue Kaha): Allah Talah Ne Aurat Aur Uske Shohar Ke Bare Main Farmaya: "Agar Tumhe Unke Ma'baen Judai (Breach) Ka Khauf Ho Toh Us (Mard) Ki Taraf Se Ek Salis (Qazi, judge) Aur Us (Aurat) Ki Taraf Se Ek Salis Muqarar Kar Lo"(An-Nisa:35). Main Tumhe Allah Talah Ka Wasta Dekar Puchta Hu Ki (Insaani Faisle Se) Umoor E Muslimeen Ki Islah Karna Aur Aman Ki Khatir Bahmi Khoon Rezi Rokna Zyada Aham Aur Afzal Hai Ya Mahaz Ek Aurat Ke Izdawazi Muamle Ko Sawarna Zyada Afzal Hai? Unhone Kaha: Bilkul Theek!

Fir Maine Kaha Tumhara Aetraz Ki Ali Ibn Abi Talib r.a. Ne Qitaal Toh Kiya Magar (Fareeq e Mukhalif Ko) Jangi Qaidi Nahi Banaya Aur Na (Unke Maal Se) Ghanimat Hasil Ki. Mujhe Ye Batao Ki Kya Tum Apni Maa Ummul Momineen Aiysha r.a. Ko Jangi Qaidi Banana Chahte Ho? Aur Digar Jangi Qaidi Khuwateen Ki Tarahn Unko Bhi Apne Liye Halal Karna Chahte Ho? Jabki Wo Tumhari Maa Hain! Agar Tumhara Jawab Ye Ho Ke Hum Unhe Bhi Digar Qaidi Aurto Ki Tarah Halal Jante Hain Toh Tum Kafir Ho Jaoge Aur Agar Tum Ye Kaho Ki Wo Tumhari Maa Hi Nahi Toh Fir Bhi Ye Kufr Hoga Kyuki Allah Talah Ne Farmaya Hai, "Nabi ﷺ Momineen Par Unki Jaano Se Badh Kar Haq Rakhten Hain Aur Unki Biwiyan Un (Momineen) Ki Maa'ain Hain"(Al-Ahzab:6).
Is Tarhan Tum Do Badi Gumrahiyo Me Fans Gaye Ho Aur Mujhe Inse Nikal Kar Dikhao? Dusre Aitraaz Ka Jawab Mil Gaya? Unhone Kaha: Ji Haan!

Tumhara Ye Aitraaz Ki (Chouki Hazrat Muawiya r.a. Ke Aitraaz Karne Par, Hazrat Muawiya r.a. Syyedina Ali Ibn Abi Talib R.a. Ko Khalifa Nahi Tasleem Karte The Is Liye) Sayyedina Ali Ibn Abi Talib r.a. Ne Khud Apni Marzi Se Lafz Ameerul Momineen Mitwa Diya Tha Toh Iska Jawab Wo Dunga Jo Tumhe Pasand Hoga. Dekho! Rasool Allah ﷺ Ne Sulah Hudaybiya Me Tahreer Karate Waqt Apna Naam, "Muhammad RasoolAllah" Likhwaya Tha Jis Par Kuffar Ne Aitraaz Kiya Ke Saara Jhagda Hi Isi Baat Ka Hai Ke Hum Aap ﷺ Ko Allah Ka Rasool Nahi Mante, Chunache Aap ﷺ Ne Syyedina Ali Ibn Abi Talib r.a. Se (Jo Ye Tahreer Likh Rahe The) Irshaad Farmaya Ki Aye Ali! Ye Lafz Mita Do! Aye Allah Talah Tujhe Maloom Hai Ki Main Tera Rasool Hun, Aye Ali, Ye Likh Do: "Muhammad Bin Abdullah"". Allah Talah Ki Qasam! Rasool Allah ﷺ, Syyedina Ali Ibn Abi Talib r.a. Se Kahin Ziyada Behtar Hain Fir bhi Unhone Lafz "Rasool Allah " Khud Kah Kar Mitwa Diya Jisse Aap ﷺ Ki Shaan E Nubuwat Main Koi Farq Nahi Pada. Teesre Aitraaz Ka Jawab Bhi Mil Gaya?

Ji Haan! Chunache (Iss Ilmi Muba'ise Se) Unme Se 2000 Afraad Usi Waqt Tauba Kar Ke Wapis Laut Aaye Jabki Baaqi 4000 Khwarij Muhajir Wa Ansaar Sahaba r.a. Ajmaeen Ke Hatho Gumrahi Ki Halat Main Maare Gaye

Sunan Nasai Al Kubra, Hadith-8575. Sanad Sahih.

•٠•●●•٠•