اقرأ باسم ربك الذي خلق

9 Jan 2018

Ilm Ki Pahli Manzil

hi   -
Mai jab logo ko dekhta hu, mashriq-maghrib me unse milta hu to mujhe ye mahsoos hota hai ke in ki zyada dilchaspi ka ba-is ilmi mabaahis (ilmi debates) ban kar rah gai hai.
Ye apni jaga badi qeemti cheez ha lekin jab ham qayamat mein apne Rabb ki barghaah mein uthaye jayenge toh sawalaat is ke mutalliq nahi honge yaani Allah taala ye nahi puchenge ke (acha tum) ye batao tum meraj ko jismaani maante the ya roohani, ye nahi puchenge ke batao Quran majeed ki fulaan ayat se tumne ye matlab nikaala tha ya wo matlab samjha tha.
Wahaan jo cheez zer e bahas aane wali hai Deen me aslan us par nigaah rahni chahiye. Ye sab ilm ko hasil karne ki cheezen hain. Is se insaan taa'subaat ko khatam karta hai. Uske ilm me izaafa hota hai. Nayi nayi dunyaa'en daryaaft karta hai. Isko ek qalbi itmenaan hasil hota hai.

Ye badi qeemti cheez hai. Ilm ka safar koi mamuli safar nahi hai. Lekin asal cheez jis ke uper nigaah rahni chahye wo ye hai ke mai apni zaat mein, apni shakshiyat mein pakeezgi ka safar taye kar raha hoon ya nahi. Ye sawaal har waqat saamne rahna chahiye. Ye mai thodi der baad bataunga ki pakeezgi se Quran kya murad leta hai.

Kyon ke Quran e majeed se yahi maloom hota hai ke Allah taala ne jis imtehaan mein hamko mubtala kiya hai, is imtehaan mein hadaf (aim, goal) ki kaifiyat yahi hai ke ham kitna pakeeza ho kar uski baargah mein jaate hain.
Main aage chal kar wazaahat karunga ke pakeezgi ka content kya hai.. Lekin is waqat jis cheez ki taraf asal mein tawajjoh dilaani maqsood hai wo ye hai ke is hadaf ko kabhi nigaah se ojhal nahi hona chahiye.

Ilmi bahsen (debates) kare, cheezon ko samjhe, nayi nayi pahlu saamne aaye. Un se faida uthaaye. In main se koi cheez esi nahi ke jisko ghalat kaha ja sake. Lekin agar yahi tamaan chize hadaf (maksad) ho kar reh gai hai to ye samajhle ki Deen mehaz ilm nahi hai wo as'lan ek badi manzil hai jiski taraf hamari reh'numaai karne ke liye nazil kiya gaya hai. Aur jaisa ke maine bataya hai ke wo tazkiya (purification of oneself) hai aur ye qQran-e-majeed ne bilkul wazeh bata diya ke:

"Qad aflaha man tazakka"

"Jis ne apny apko pakeeza kar liya, wohi falaah payega"

Quran, 87:14.

Aur pakeezgi ke liye Allah ne pura amal bhi bata diya hai ke hame kya karna chahye. Main is par bhi guftgu karunga aage chal kar

Is me choo'ki ilm se baat shuru hui hai toh agar ap khalis nasb-ul-ain (maksad) ke hawaale se dekhain to jo "Rawaiyya" is se wajood main aata hai wo hai jis k baare mein ham qayamat mein jawaab-deh hongay. Yaani nateeja (result of our research) nahi balki wo rawaiyya (attitude) jo humny ikhtyaar kiya. Ilm ka tazkiya (purification) bhi usi tarah matloob (zarurat) hai jis tarha amal ka tazkiya matloob hai.

Lekin ilm ke tazkiye me hadaf (aim) kya hai ?

Yaani hamara "Attitude towards knowledge" kya hai ?

Yaani humne ilm ke muamle main rawaiyya kya ikhtiyaar kiya hai ?

Kya humne apne apko taa'subaat (badgumani ya bina-tahkeek ke kisi natije par pohchna) se pak karne ki koshish ki hai? Dekhain mainy lafz bola pak karna yahi tazkiyaa hai.

Kya hum ab bhi jazbaat main beh jate hein?

Kya ab bhi hum usi jagah par kharay hain ke pahly agar ek shakhs ki aqeedat (andhi-takleed ; blind-following) me mubtala the toh ab kisi dusre shakhs ki aqeedat me mubtala ho gaye hain? Kya Quran aur sunnat se agar koi baat sabit ho jati hai to kya fir bhi ham ye dekhte hai ki hamare ulema ya muhaddis ki raaye kya hai? Kya apne ulema aur muhaddis ko ham quran aur sunnat se zyada priority dete hai ?

Ye wo jaiza hai jo ham mai se har shakhs ko har waqt lete rehna chahiye yaani agar apne koi neyi tah'teeq jaan li yaa koi nayi raaye maloom kar li to is se ap faida uthayenge. Toh wo apko itmenaan-e-qalb degi lekin jis cheez ke liye ap Allah taala ke huzoor jawaab-deh hain wo ye ke jab ye cheez ap ke saamne ayi ya is say mukhtalif koi cheez apke saamne ayi to apne rawaiyya kya ikhtyaar kiya?

To jis cheez ki islah ilm ki duniya me bhi pesh e nazar rehni chahiye wo ye hai ke ham har tarah ke taa'subaat, har tarah ke jazbaat, aqeedaton se bala'tar (alag) ho ke cheezon ko samjhnae ki tarbi'yat kar le. Yaani is deen ki raah main tarbi'yat ka pahla mar'hala yahi hai ke hamara maqsad yahi ho ke ham apna jaiza lete rahe.

Har raat jab ham bistar par jaye to sone se pahle ek bar khud se puchen ke kya waqayi ham taa'subaat (bad-gumani; apne se alag raaye rakhne wale ke liye bad-gumani) se bala'tar ho gaye hain? Aur is main hamesha ye cheez pesh'nazar rakhain ke taa'sub ek aisi bimaari hai ke ye baaz auqaat aadmi ko ehsaas bhi nahi hota ke yeh is ko lahaq ho chuki hai (lag gai hai). Khud ko jazbaat ke hawale kar dena, insan ki aisi kamzori hai ke bade se bade aadmi ko ye andaza nahi hota kay wo is kamzori main mubtala ho chuka hai. Toh apna postmortem karte rahna chahiye, yaani jaizaa lete rahna chahye ke:

Kya is ilm k safar main waqayi ab hum khalis daleel ki bunyaad par cheezo ko samjhte hain ?
Agar koi hamari maani hui raa'ye se mukhtalif cheez ki taraf humain bulaye to hamara response gair tassubana hota hai?
Kya hum aj bhi poori tawajjoh se uski bat sun'nay ke liye amaa'da hojaty hain?
Kya hamary andar ye cheez moujood hai ke agar hamari galti ham par waa'zeh ki jayegi toh hum haq ko maan lenge?
Toh iska jaiza lete rahna chahiye.

Ye pahli cheez hai jo mein apki khidmat main arz karna chahta tha ke jab ap ilm ka safar karein to aam tor par insan nata'ij fikr (conclusion of a research) me mubtala hojata hai ke yeh ek tehqeeq ho gai, ek nuqta-nazar wazeh ho gya. Ye tahkeek ka natiza boht badi bat hai. Mein iski nafi nahi kar raha lekin misaal ke taur par badi jiddo-jahad ke bawjood apki tahkeek galat ho gai toh ye saza ka zarya nahi banega..

Asal cheez ye hai k galat nuqta e nazar ke maam'le me bhi apka rawaiyya kya raha ?
Yaani ye galti kya taassub ke wajah se hui ?
Ya ye galti jazbaat me mubtala hone ke wajah se hui ?
Ya ye galti kisi ki aqeedat (blind-following) ki wajah se hui ?
Ya ye galati insaan ki fitri kamzoriyan jo hain uske lehaaz se hui?

To jo shuru ki cheezen jo hain wo qabil-e-muafi nahi hai lekin aakhri chiz kabil e muafi hai. Iska poori tarah ehsaas bhi hona chaiye aur is par har lehza sochte bhi rehna chaiye.
Main iski zaroorat is zamane mein boht zyada mahsoos karne laga hoon kyon ki maine yeh dekha hai ke ye chiz hamari ummat me boht aam hoti ja rahi hain.
Ek chiz wo jiski taraf maine ishaara kiya wo nata'ij fikr nikalne me hi shab-o-roz masroof rahte hai aur dusri yeh ke is se ek khaas tarah ka ehsaas-e-bartari (feeling of superiority ; khud ko dusre se behtar samajhna) inki guftgu me, inki baat-chit main, labb-o-lehja main aana shuru hojata hai.Yaani inke lahje me, baat cheet me (ilm ka) ghamand jhalakna shuru ho jata hai.

In dono se khuda ki panaah maangni chahiye. Allah taala ko sab se zyda jo cheez na'pasand hai wo ap jaante hai ke wo ghamand hai aur ghamand ya taqabbur ke baare me farmaya gaya hai ke oont (camel) suyi (needle) ke naake main dakhil ho sakta hai, lekin koi ghamand karne wala shaks jannat me dakhil nahi ho sakta. (for reference see, quran, 7:40.)

Apne andar sacchi aaziz (humbleness) paida karna chahiye aur hamesha sacche ilm ka musafir ban kar rahna chahiye. Is me khaas taur par apna tazkiya karte hue ek usooli baat ko palle baandh lein aur wo yeh hai kay kisi dar'jay mein bhi ibaadat khuda ke siwa kisi ki na ho aur adeeqat (blind-following) Muhammad ﷺ ke siwa kisi se na ho. Baaki jo kuch bhi hai wo zyada se zyada kya hai? Jaisay ap apne bade ka, mu'allim ka ehtraam karte hain.

Agar ehtaraam, adeeqat (blind-follwing) me badalna shuru hojaye toh iska matlab ye hai ke nafs alooda (impure) hona shuru hogaya hai. Jahaan se ap nikle the ab wapis wahi ja rahe hein, jis safar ki apne shuruat ki thi. Ap fir wapis wahi laut rahe hai. Ye ek bada U-turn hoga, jis se har Muslmaan ko, har sacchay ilm ke musafir ko Allah ki panaah maangni chahiye.

Asal cheez jiska qayamat ke hawaale se hame apne andar paida karna hai wo be-taa'subi hai. Wo ilm ki sacchi talab hai.. Wo sahih bat jan'nay ke liye zahni tayaari hai.. Wo aqeedato (blind-following) se hat kar cheezon (ilm) ko dekhna hai..

Iska ek laazmi takaaza ye hai ke jahaan kahee bhi ilm payaa jata hai, ap usse ikhtilaf kare lekin kabhi kisi sahab-e-ilm ke baare main be-ehtraami (disrespect) ka rawaiyya ikhtyaar na karen. Sab ki dil se respect kare. Yahi hamare sahaba ka tarika tha ki wo ikhtilaf to karte the lekin ekdusre ki izzat karte the. Wo ikhtilaf me ek dusre ko gustakh e rasool ya manhajless, etc nahi kahte the.

Kisi shakhs ke baare main raa'ye dete waqat uske mahaa'sin (bhalaiyo) ko kabhi nazar andaaz mat kare. Aapne dekha hoga ke mai apne baaz jaleel-ul-qadr buzurgo se, jin ke saya me maine sha'oor ki aankh kholi hai, bada shadeed ikhtilaaf karta hoon lekin kabhi unki azmat (respect) ke maam'le me mere yahaan koi bura tas'sur apko nahi milega. Main unki badi izzat karta hoon aur unke mahaa'sim (bhalaiyo) par logo ko hamesha tawajjo dilata hu aur batata hu ke wo kaise bade log the aur unko Allah taala ne kaisa behtareen akhlak ata kiya tha.

Ilm me galti hojati hai, us galti ke baare me hum guftgu karenge, islah bhi karenge. Is liye ke kisi ki azmat apko yahaan tak na le jaye ke aap unki galti ki ta'eed (defence) karne lag jaye aur galti par tanqeed (criticize) yahaan tak na le jaye kay aap us shakhs ka waajibi ehtraam karna bhi chor dein. Ye cheez agar paida ho jaye to ap main aur baaki logo mein koi farq nahi reh jayega.
Ye jitne is waqt firqe aur groh bane huye hain ye asal me wo cheez hai jiska lehaaz na rakhne se bane hain. Agar in ke jo rahnuma hain, ulema hain wo har mauqa par inko ye tawajjo dilaate ke hum Muhammad RasoolAllah ﷺ ke pairo (follower) hain [naahi, kisi buzurg ya imam ya muhaddiseen ke]. Koi agar galti se pak hasti hai to wo Allah ka Rasool ﷺ hai, baaki saare ke saare ulema, khawaa wo bade bade aaima hon wo insaan hai. In se galti ho sakti hai aur khud ke baare me bhi ye yahi kahte hain ke ham apni tahqeeq apko bata rahe hain aur khud bhi ham ilm ke safar main har lehza masroof hain.

Koi haqeeqat hum par waa'zeh hojaegi to ham apko bata denge, agar koi galti samajh mein aa jaegi to usko sudhar lenge. Ap par agar kisi dusre shaks ki baat zyada wazeh ho jaye aur agar ap mahsoos kare ke us main haq hai to apko usi ki pairwi karni chahiye. Allah taala ne kisi ek shakhs ke saath apko nahi bandhaa hai aur ye bilkul ek haqeeqat aur ek waqya hai, jo hamare bade bazurg hain, jin se tareekh roshan hai, unki zindgi aur amal se maloom ho jata hai ke un me se kisi ke baare me ye nahi kaha ja sakta hai ke wo 100% darust hai. Yaani ba-haisiyat e majmooi (altogether) hum ahle ilm ki qadr bhi karte hain aur unse koi achhi bat hoti hai toh ise apnaate bhi hain, aur agar koi baat quran aur sunnat ke mutabik na samajh aye to usse ikhtilaf bhi karte hai. To yeh wo rawaiyya hai iske liye hum jawaab-deh hain Allah ke yahan. Yaani hamara yahi rawaiyya hona chahye, ye siraat-e-mustaqeem (sidha rasta) hai.

Ye siraat-e-mustqeem hai. Is par hum ko chalna hai ke ham taa'subaat se bala'tar ho kar zindagi basar kare. Toh ilm ke muamle mein mai ye samjhta hu ke is ki hamko bar-bar yaad-dihani karani chahiye. Ham apni majalis mein, apni study circle mein, jahaan kahee baithen, logon ko hamesha ye bataye ke ye ilm ka safar hai, ye aakhri nataij ka bayan nahi hai.
Is mein ye nahi honi chahiye ke ham par nubuwat khatam ho rahi hai, nubuwat khatam ho gai jis par honi thi. Hum sab ke sab huzur ﷺ ki baat ko samjhne mein masroof hain. Aur aiye ap bhi sath shamil hojaiye.

Is main jab ap dusron ke saath baat karte hain, to apka dawat ka tarika yeh nahi hona chahiye ke ab ye haq ham par nazil ho gaya hai aur hum iski khabar dene ke liye aaye hain. Nahi! balki Ye hona chahiye ke jaisa ek saccha talib-ilm karta hai ke dekho bhai baat ye hai ke mai bhi tumhari tarah ilm ka musafir hoon, mere ilm main ek nayi baat ayi hai, yeh mujhe appeal karti hai. Tum bhi is par gaur kar lo.
Aaiye mil kar is par gaur kar lete hain. Mil kar iska mutala kar lete hain, mil kar isko dekh lete hain. Toh ye jo attitude aur rawaiyya hai yeh ilm ke tazqiye (purification) ki pahli manzil hai iska hamesha khayal rakhna chahiye.

                                                                •٠•●●•٠•

From a series that was started on Iqra' Whats App broadcast Service: 009779868212118 .

Wama Alaina Illal Balagul Mubeen - Aur Mera Kaam To Nahi Hai Lekin Sirf Pohcha Dena.