Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

3 Jan 2018

Imam Mahdi


Imam Mahdi a.s. nekokaar maise honge jo RasoolAllah ﷺ ke aal maise honge  jo aakhri waqt me zahir honge jiske zarye Allah insani muamlat ko sidha karenge aur dunya ko achai aur insaf se bhar denge.

Imam Mahdi ka naam "Muhammad ibn ‘Abd-Allaah al-Mahdi, ya Ahmad ibn ‘Abd-Allaah al-Mahdi hoga jo Nabi ﷺ ke ahle bayt me se sayyada Fatima r.a. ke bete sayyadna Hasan bin Ali r.a. ki aulad me se honge.

Hazrat Abdulla bin Masood r.t.a. bayan karte hain ke RasulAllah ﷺ ne farmaya, "Ager dunya ka ek roz bhi baki hoga to Allah taala us din ko taweel kardega hatta ke is me ek aise shakhs ko maboos farmayega jo mujh se hoga ya Aap ﷺ ne farmaya ke jo mere Ahle bayt se hoga. Us ka naam mere naam aur us ke walid ka naam mere walid ke naam ke mutabik hoga".

(Jamia Tirmizi Hadith- 2230).

۞ IMAM MAHDI a.s. KI SIFAT :

Hazrat Abu Saeed Khudri r.t.a. bayan karte hain ke RasulAllah ﷺ ne farmaya, "Mahdi mujhse hoga yani meri nasal se hoga. Fir Aap ﷺ ne un ki jismani sifat bayan ki aur farmaya,

"Wo chaudi peshani aur lambi naak wala hoga. Wo zameen ko adl o insaf se isi tarah bhardega jaise wo zulm o zor se bhari huwi thi. Us ki hukumat 7 baras tak rahegi".

Sunan Abu Dawud, Hadith- 4285.

Abu Sa’eed al-Khudri r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Wo(Imam Mehdi) ham maise honge jiske piche ‘Eesaa ibn Maryam namaz padhenge".

(Reported by Abi Na’eem in Akhbaar al-Mahdi. Al-Albaani said it is saheeh; see al-Jaami’ al-Sagheer, 5/219, hadeeth 5796).

۞ IMAM MAHDI a.s. KA ZAHOOR KA WAQT:

Quran aur sunnah se exactly ye nahi pata chalta hai ki Mahdi a.s. ka zahoor kab hoga lekin wo aakhri waqt me ayenge. Unka nuzool Qayamat ki choti nishanio maise aakhri nishani hogi. Mahdi a.s. ka Zuhoor jo Dajjal se pahle aur ‘Eesa ibn Maryam ke nuzul hone se pahle honge. Ye in hadith se pata chalta hai. 

Jabir r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya Eesaa ibn Maryam nazil honge aur inke Imam, Mahdi farmaenge, "Aaiye aur hamari namaz ki Imamat karye", lekin wo farmayenge, "Nahi", Ap logo maise koi Imamat kare, ye Allah ke taraf se is ummah ke liye izzat hai.

Narrated by Muslim, 225.

‘Abdullaah ibn Mas’ood r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, " Dunya us waqt tak khatm nahi hogi jab tak mere ahle bait maise ek shaks jo mere naam ka hoga Arab ka Hukmaran na ban jaye.

Musnad Ahmad, 5/199, hadeeth 3573.

Kuch log Imam Mahdi ko jhutlane ke liye ek hadith pesh karte hai jisme RasoolAllah ﷺ ne farmaya hai," ‘Eesa ibn Maryam se alag koi Mahdi nahi hai." (matlab Eesa a.s. ke alawa aur koi nahi ayega is ummat me)

Lekin Is hadith ko Sheikh Albani ne Daif karar diya hai. Dalail ke liye dekhye:- al-Silsilah al-Da’eefah, 1/175, by al-Albaani .

Agar apko Mehdi a.s. ke bareme Full Detail se janna hai to in authentic kitabo ko refer kare:

1. Al-Mahdi Haqeeqah wa laa Khuraafah by Shaykh Muhammad ibn Ismaa’eel.
2. Al-Mahdi al-Muntazar by Dr. ‘Abd al-‘Aleem al-bastawi.
3. Ashraat al-Saa’ah by Yoosuf al-Waabil.

Post a Comment