اقرأ باسم ربك الذي خلق

2 Jan 2018

Kasam Todne Ka Kaffara


Allah pak Quran e majeed me farmate hai:


لا يُؤَاخِذُكُمْ اللَّهُ بِاللَّغْوِ فِي أَيْمَانِكُمْ وَلَكِنْ يُؤَاخِذُكُمْ بِمَا عَقَّدْتُمْ الأَيْمَانَ فَكَفَّارَتُهُ إِطْعَامُ عَشَرَةِ مَسَاكِينَ مِنْ أَوْسَطِ مَا تُطْعِمُونَ أَهْلِيكُمْ أَوْ كِسْوَتُهُمْ أَوْ تَحْرِيرُ رَقَبَةٍ فَمَنْ لَمْ يَجِدْ فَصِيَامُ ثَلاثَةِ أَيَّامٍ ذَلِكَ كَفَّارَةُ أَيْمَانِكُمْ إِذَا حَلَفْتُمْ ۔

Tum log jo bagair soche samjhe kasam kha lete ho un par to Allah tumhari girift nahi karega magar jo kasam tum jaan bujh kar khate ho un par wo zauru tumse muwakhza karega. (Aisi kasm todne ka) Kaffara ye hai ki tum das(10) miskeen ko ausatan darje ka wo khana khilao jo tum apne baal-bachho ko khilate ho ya unhe libas faraham karo ya fir (ek) gulaam aazaad kardo. Jise ye muyasar na ho wo teen din ke roze rakhe. Yeh tumhari kasmo ka kaffara hai. 

Surah Maida, ayat- 89.

Is ayat se pata chalta hai ki agar kasam ka kaffara ada karna hai to use 3 chizo ki choice hai:

1. Das(10) miskeen(gareeb) ko ausatan us jaisa khana khilana jo ham apne bacho ko khilate hai. Un 10 logo ko agar jama kar ke lunch ya dinner ke liye bulaya jaye to kaafi hoga.

2. Un das logo ko kapde dena. Kapde aese hone chaiye ki ek shaks aaram ke sath usme namaz padh ke ya padhne ja sake. Agar aurat ko dena ho to aese kapde hone chaiye jo us k badan ko poshida rakh sake aur head cover bhi dena chaiye. Mard ke liye upar aur niche dono ka kapda dena chaiye (Upper and lower garment).

3. Ek Gulaam ko aazad karna.

Jo in chizo ko na kar sake wo 3 din ke roze rakhe.

Aksar ulema is baat se mataffik hai ki kaffara ki adaegi paiso (cash) me nai ho sakti.

Ibn Qudaamah r.h. farmate hai: "Ye kafi nahi hai ki khane ya kapde ki keemat ki keemat ada ki jaye kyuki Allah ne khane ka zikr kiya hai isliye kaffara kisi aur zariye se ada nahi ho sakta kyuki Allah ne hame teen chizo ki choice di hai aur agar keemat ada karne ki ijazat hoti to sirf teen chiz tak choice mahdud na rahti".

Al-Mughni by Ibn Qudaamah, 11/256 .

Shaykh Ibn ‘Uthaymeen farmate hai:

"Agar kisi shaks ko azaad karne ke liye gulam na mile, ya kapde dene ke liye, ya khana khilane ke liye, toh use teen din lagataar roze rahne padenge bina koi darmiyan me waqf ke sath".

Fataawa Manaar al-Islam, 3/667.

•٠•●●•٠•