Biwi mua'wiza dee kar alahida ho to ise Khula kaha jata hai. Is tarah qhawind mua'wiza lekar apni biwi ko chorde chahe wo ye maher jo ki qhawind ne dia tha wo ho ya isse zyada aur ya fir kam ho.
Iski daleel Allah subhanahu wa ta'alaa ka farmaan hai:
Aur tumhare liye halal nahi ke tum ne jo kuch inhe dia hai is me se kuch wapis le loo magar ye ke wo dono isse khaufzada hoo ke wo Allah ta'ala ki hudood ko qa'im nahi rakh sakenge, to phir in par koi gunah aur jurm nahi ke wo iska fidya dee.
Surah Baqara, ayat-299.
Sunnat e Nabawi me iski daleel Sabit bin Shimaas r.z. ki biwi ki hadees hai:
Sabir bin Shimaas r.z. ki biwi Nabi ﷺ ke paas aayi aur kahne lagi, "Aye Allah ke Rasool mai Sabit ibn Qays par koi dini ya aqhlaqi a'ib nahi lagaty, lekin mai Musalman hone ke baad koi kufr nahi karni chahti. To Nabi ne ise farmaya ke Kya tum inka Baagh wapis karogi? Kyuki Ye Baagh unhone ise maher me diya tha, to wo kehne lagy "Ji haan".
Toh Nabi ﷺ ne farmaya: Apna Baagh Qubool karlo aur ise chhordo.
Sahih al Bukhari, hadith- 5273.
Ulema e karaam ne is qisse se ye istenbaat kiya hai ke jab aurat apne qhawind ke sath rahne ki taqat na rakhe to Wali ul Amr aur Qaazi iske qhawind se khula talab kare balke ise khula ka hukm de.
KHULA KI SURAT YE HAI KE:
Khawind ke iwaz me kuch le ya fir wo kisi iwaz par muttafiq hojaye aur fir khawind apni biwi ko kahe ke mai ne tujhe chordiya ya qula kar liya is tarah ke dusre alfaaz kahe.
Aur talaq Khawind ka haq hai ye is waqt tak waqa'e nahi ho sakti jab tak wo talaq na dee, isliye ke Nabi ﷺ ka farmaan hai, "Talaq iska haq hai jo pindli ko pakadta hai",
(Ya'ani khawind).
Sunan ibn Majah, Hadith-2081.
Allama Albani r.h. ne Irwa’ al-Ghaleel me ise hasan qaraar dia hai,2041.
Is liye Ulema e karam ne ye kaha hai ke: Jise apni biwi ko talaq dene par zulm ke sath majboor kiya jaye aur isne talaq de di to iski ye talaq waq'aee nahi hogy, dekhe al-Mughni- 10/352.
Aur Aap ne jo ye zikr kia hai ke ba'az auqaat biwi hukumaty kawaneen ke mutabiq apne ap ko talaq de de, to iske baare me hum kahenge ke: Agar tu ye kisi aise sabab ki bina par hai jiski bina par talaq mubah hojaty hai, Masalan agar wo khawind ko na pasand karne lage aur iske sath zindagy na guzaar sake ya fir khawind ke fisq wa fujoor aur haram kaam karne ki jur'at karne ke bina par ise Deeni ai'tbaar se na pasand karne lage wagairah, To ise Talaq ka mutaleba karne me koi harj nahi.
Lekin aisi halat me wo khawind se khula karle aut iska diya hua maher wapis karde.
Aur agar wo talaq ka mutaleba kisi sabab ke bagair kare to aisa karna iske liye jayez nahi aur is halat me adaalat ka talaq ke mutalliq faisla sharayi nahi hoga balke aurat badasutoor is admi ki biwi hi rahegy.
To yaha par ek mushkil pesh aati hai ke Kanooni taur par to ye aurat mutliqa(divorcee) shumaar hogi aur id'dat guzarne ke baad aur kahi shadi karle gi lekin haqeeqat me biwi ko talaq hui hi nahi.
Shaykh Muhammad ibn Saalih al-‘Uthaymeen r.h. ne is jaise masle me kuch is tarah kaha hai: "Ab hamare samne ek mushkil hai, iski zaujiyat aur asmath me rahte hue kahi aur shadi karna iske liye haram hai aur zahiri taur par adaalat ke hukm ke mutabiq ise talaq ho chuki hai aur jab iddat khatam hojaye to kahi aur shadi kar sakti hai.
To meri raaye ye hai ki is mushkil se nikalne ke liye zaroory hai ke ahl e khair aur islaah karne wale loog zaroor is masle me dakhal de taa'ke khawind aur biwi ke darmiyaan sulah ho sake, warna wo aurat apne khawind ko i'waz adaa karde ta'ake sharai taur par khula ho sake.
Liqa’ al-baab al-Maftooh by Shaykh Muhammad ibn ‘Uthaymeen, no. 54; 3/174.
Wallahu alam.
•٠•●●•٠•
Source:- Islamqa.info
Post a Comment