Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

6 Jan 2018

Khutba

Arabic Text:




(click the above image to zoom the text)


Arabic transliteration in English:


Al-hamdu Lillaahi nasta’eenahu wa nastaghfiruhu, wa na’oodhu billaahi min shuroori anfusinaa wa sayi’aati a’maalinaa. Man yahdih Illaahu falaa mudilla lahu wa man yudlil falaa haadiya lahu. Wa ashhadu an laa ilaaha ill-Allaah wa ashhadu anna Muhammadan ‘abduhu wa rasooluhu, Amma ba'ad:

Fa-inna Khairal Hadeesi Kitabullahi Wa Khairal Hadyi-hadyu Muhammadin ﷺ. Wa-shar-ral Umoori Muh-dasaa-tuha Wa-kulla-muh-da-satin Bid-at Wa-kul-lu Bid-atun Zala-la- Wa-kul-lu Zala-la-tin Fin-naar.

Yaa ayyuha’n-naas uttaqu rabbakum alladhi khalaqakum min nafsin waahidatin wa khalaqa minhaa zawjahaa wa baththa minhumaa rijaalan katheeran wa nisaa’an wa’ttaqu-Llaah alladhi tasaa’aloona bihi wa’l-arhaama inna Allaaha kaana ‘alaykum raqeeban'

Yaa ayyuha’lladheena aamanu-ttaqu’Llaaha haqqa tuqaatihi wa laa tamootunna illaa wa antum muslimoon'

Yaa ayyahu’lladheena aamanu-ttaqu’Llaaha wa qooloo qawlan sadeedan'. Yuslih lakum aAAmalakumwayaghfir lakum thunoobakum waman yutiAAi Allahawarasoolahu faqad faza fawzan AAatheema.

                               leafy_divider-iloveimg-compressed

Roman Urdu Tranlation:


Bila Shuba Sab Ta’arifei’n Allah Ke Liey Hain, Ham Iski Ta’areef Karte Hain, Isi Se Madad Maangtehain Aur Ham Is Se Apne Gunaho’n Ki Baqhshih Chaahte Hain, Ham Apne Nafs Ki Sharato’n Se Aur Nafs Ki Buraiyo’n Se Allah Ki Panah Talab Karte Hain. Jise Allah Raah
Dikhae Ise Koi Gumrah Nahi Karsakta Aur Jise Wo Apne Dar Se Dhutkar De Iske Liey Koi Rahbar Nahi Hosakta Aur Main Gawahi Deta Hu’n Ke Ma’abood Barhaq Sirf Allah Ta’ala Hai Wo Akela Hai Iska Koi Shareek Nahi Aur Main Gawahi Deta Hu’n Ke Muhammad ﷺ (Allah Ke) Bande Aur Uske Rasool Hain, Hamd O Salat Ke Ba’ad:

Yaqeenan Tamam Bato’n Se Behtar Baat Allah Ki Baat Hai Aur Tamam Tareeqo’n Se Behtar Tareeqa Muhammad ﷺ Ka Hai Aur Tamam Kamo’n Me Badtareen Kaam Wo Hain Jo ( Deen Me) Naye Nikale Jaaei’n; Har Nayi Chiz Ek biddat Hai Aur Har Bida’at (deen Me Naya Kaam) Gumrahi Hai Aur Har Gumrahi Ka Thekana Jahannam Hai.(Sunan an-Nasa'i, hadith-1578, Classed as Sahih by Sheikh Zubair Ali Zai.)

Aey Logo! Apne Raab Se Daro Jis Ne Tumhei’n Ek Jaan Se Paida Kiya Aur (phir) Is Jaan Se Iski Biwi Ko Banaya Aur (phir) In Do’no Se Bahot Se Mard Aur Auratei’n Padia Keei’n Aur Inhei’n (zameen Par) Phailaya, Allah Se Darte Raho Jiske Naam Par Tum Ek Doosre Se Sawal Karte Ho Aur Rishto’n (ko Qata’a Karne) (t: Breaking Relations) Se Daro Beshak Allah Tumhari Nigrani Kar Raha Hai.(Surah Nisa, ayat-1)

Aey Eman Walo! Allah Se Daro Jaisa Ke Is Se Darne Ka Haq Hai Aur Tumhei’n Maut Na Aae Magar Is Haal Me Ke Tum Muslim Ho.(Surah Ale Imran, ayat-102)

Aey Eman Walo! Allah Se Daro Aur Aisi Baat Kaho Jo Mohkam (seedhi Aur Sacchi) Ho, Allah Tumhare Aamaal Ki Islah Karega Aur Tumhare Gunaho’n Ko Muaaf Farmae Ga Aur Jis Shaqs Ne Allah Aur Iske Rasool Ki Ataa‐at Ki To Isne Badi Kaamyabi Haasil Ki.(Surah al Ahzaab: Ayat-70 & 71)

Sunan Abu Dawood, an Nikaah, Hadith- 2118, Classed as Sahih by Albani;  Sunan Ibn e Majah, Hadith-1892; Musnad Imam Ahmad, 3/371 ; Sunan an-Nasa'i, hadith-1578, Classed as Sahih by Sheikh Zubair Ali Zai.

Notes: 

۩1. Ye Khutba Nikah, Juma aur aam waa’az o irshad, Dars o Tadrees ke mauqe par padha jaata hai. Ise Khutba e haajat bhi kahte hain, ise padh kar aadmi apni haajat aur zaroorat bhi bayan kar sakta hai

Sunan Daarmi: an Nikah, baab fee Qhutabin Nikah, Hadith- 2198.

۩2. Kuch ahadeeso me muqammal Khutbe ke alfaz nahi milte is liye saari hadeeso ko jama kar ke Muqammal Khutbah Tayar kiya gaya hai. Isi liye Jo upar Arabic text hai usme kuch alfaz nahi hai lekin muqammal alfaz English transliteration aur Roman Urdu Translation me daala gaya hai.

•٠•●●•٠•

Post a Comment