Imam Abu Haneefa Tabayee the ya Tabe-Tabayee the is muamle me hamare ulema e Deen me ikhtilaf hai. Lekin Dalail ke roshni me sahih raaye yahi hai ki Imam Abu Haneefa Tabe-Tabayee the.
۩ Imam Darqutni (rahimahullah) say sawal kiya gaya ki:
۩ ”أبو الحسن الدارقطني وانا اسمع عن سماع أبى حنيفة عن أنس يصح- “
'Kya Abu Haneefa ka Anas (bin Malik) r.a. say sam’a sahih hai?'
Toh Ap ne jawab diya:
۩ ”قال لا ولا رؤيته لم يلحق أبو حنيفة أحدا من الصحابة- “
'Nahi aur na Abu Haneefa ka Anas (r.a.) ko dekhna sabit hai jab kii Abu Haneefa ne toh kise Sahabi say mulaqaat bhi nahi kiye hai.'
Tareekh-e-Bagdad (4/208, no.1896), Sanad Sahih.
Maloom hua Khateeb Bagdadi say bahut pahle Imam Darqutni ne is ka fasela kiya hai aur yeh bhi maloom hua kii wo Anas Bin Malik (radiallahu anhu) wali rewayat ko sahih nahi mante tha warna yeh kabhi nahi kahte.
2 ۩ღ Abu Yahiya Abdul Hameed Bin Abdur Rehman Al-Hamani farmate hai:
۩ ”سمعت أبا حنيفة يقول: ما رأيت أحدًا أكذب من جابر الجعفى ولا أفضل من عطاء بن أبى رباح- “
'Main ne Abu Haneefa ko farmate hue suna: Main ne Jabir Jo’afi say zyadah jhuta koi nahi dekha aur Ata’ah Bin Abi Rabaha say zyadah afzal kisi ko nahi dekha.'
Al-Ilal Al-Sageer Lil Tirmidhi (Safa no.891, Sanad Hasan), Al-Kamil Ibn Aadi (2/537 ya 2/327, Sanad Hasan).
Is se sabit hua Imam Abu Haneefa ne Anas Bin Malik (radiallahu anhu) ko nahi dekha warna wo yeh kabhi na farmate kii “Main ne Aat’ah (Tabi) say afzal koi nahi dekha”. Yeh aam logu ko bhi maloom hai ki har Sahabi har Tabiyee say afzal hai aur jab Imam Sahab ne khud alaan farma diya hai ki Unhu ne Aat’ah say zyada afzal koi insaan nahi dekha toh sabit ho gaya ki Unhu ne kise Sahabi ko nahi dekha.
Rahi baat us riwayat ki jisme ye hai ki Imam Abu Haneefa r.h. ne Anas bin Malik ko dekha toh uski wazahat kuch aesi hai:
۩ Muhammad Bin Sa’id ne kaha:
۩ ”حدثنا أبو الموفق سيف بن جابر قاضي واسط قال: سمعت أبا حنيفة يقول: قدم أنس بن مالك الكوفة ونزل النخع وكان يخضب بالحمرة ، قد رأيته مرارً -“
'Is riwayat ka khulasa yeh hai ki Imam Abu Haneefa ne kaha ki Main ne Anas Bin Malik (radiallahu anhu) ko kufa mein dekha.'
Aqwad Al-Jamaan Fi Manaqib Al-Numan (49), Tazkeratul Huffaz (1/168, No.163), Manaqib-e-Abi Haneefa (7-8).
Wazahat:
Iska bunyadi rawi Sayaf Bin Jabir majhool ul haal hai, Is ki tawsheek kise mustanad kitab mein maujud nahi hai. Dekhye Al-Tankeel Bima Fee Ta'neeb al-Kawthari min al-Abateel lil ma-lami [ Jild 1 Safa 179].
•٠•●●•٠•
- Shaykh Zubair Ali Zai [Mahnama Al Hadith Hazro volume 17, page-17-19 ].
Post a Comment