hi |
۩ Hazrat Uqaba Bin Aamir RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram ﷺ Ne Farmaya,
Agar waqai Shirk khatm ho gaya tha to yaha par Aap ﷺ ko shart lagane ki kya zarurat thi.
ALlAh sE DuA HaI Ki wO HaMe sHiRk sE BaChAyE AuR TaUhEeD PaR MaUt aTa kArE. aAmEeN.
'Mujhe Tumhare Mut’alliq Is Baat Ka To Dar Hee Nahin Hai Ki Tum Mere Baad Shirk Karoge Balki Mujhe Dar Hai Ki Tum Duniya Ke liye mukabla shuru kar doge.'
Al-Bukhari (1344) and Muslim (2296).
Is hadees ko utha kar baaz log kahte hai ki Muslim Ummah shirk nahi kar sakti hai. Halanke ye siwae Ilm ke kami ke kuch nahi hai. Boht si Dusri hadith hai jo kahti hai ki Muslim Ummah maise kuch log shirk karenge.
Ye hadees puri Ummat ke liye nahi hai balki Ummat ke kuch logo ke liye hai. Wo log Jinhe RasoolAllah ne kaha hai ki Ek Jamaat Qayamat tak Haq par rahegi jo sahaba ke nakshe qadam par chale.
۩ Thawban Riwayat Karte Hai Ki Rasoolallah ﷺ Ne Farmaya, "Meri Ummat Me Ek Jamaat Humesha Haq Par Aur Galib Rahegi, Aur Jo Unke Mukhalif Hai Wo Unka Kuch Nahi Bigad Payenge, Jab Tak Ke Allah Ka Hukm (qayamat) Na Aa Jaye."
Sunan Ibn Majah » The Book of the Sunnah, Vol. 1, Book 1, Hadith 10.
Toh RasoolAllah ﷺ ne isi Jamaat ki khabar di hai ki ye shirk nahi karegi Qayamat tak.
Ab Dekhte hai ki kya Kalma Goh Muslim Shirk kar sakta hai:
Bismillahirrahmanirrahim
۩ Wo Log Jo Eeman Laye, Aur Eeman Lane Ke Baad Apne Eeman Me Zulm (shirk) Shamil Nahi Kiya, Wahi Log (qayamat Wale Din) Aman Me Honge Aur Hidayat Yafta Honge.
Surah Al-Anaam, Ayat- 82.
Is ayat ka shan e Nuzul:
۩ Jab Ye Ayat Nazil Hui To Muslimo Ne Apne Upar Boht Mushkil Mahsus Ki Aur Pucha Ae Allah Ke Rasool ﷺ Ham Maise Kaun Hai Jisne Apne Upar Zulm (gunah) Na Kiya Ho. Unhone Farmmaya, "is Ayat Ka Matlab Ye Nahi Hai Balki Iska Matlab Allah Ki Ibadat Me Auro Ko Shareek Karna Hai. Kya Tumne Nahi Suna Jo Luqman Ne Apne Bete Ko Nasihat Karte Hue Kaha Tha. Fir Unhone Quran Ki Surah 31 Ayat 13 Padhi Jisme Ye Hai Ki, "ae Mere Bete Allah Ki Ibadat Me Kisi Ko Shareek Na Karna. Beshak Allah Ki Ibadat Me Auro Ko Shareek Karne Ek Boht Bada Zulm Hai."
Sahih al-Bukhari, hadith- 3429.
۩ Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya: ‘jis Musalman Ke Janaaza Mein Aise 40 Aadmi Shaamil Ho Jo Allah Ke Sath Shirk Na Karte Ho’n To Allah Ta’ala Is (maiyyat Ke Haq) Mein Inki Sifaarish Qubool Karta Hai.’
Sahih Muslim: al Janaaez, Hadith- 948.
To agar shirk khatam ho gaya hai Muslim Ummah se to Nabi ﷺ ko ye kahne ki zarurat hi nahi thi. Ab janazah to Musalman hi padhne aata hai koi aur nahi.
۩ Rasoolallah ﷺ Ne Farmaya Tum Zaroor Apne Se Pehle Logon Ke Qadam Ba Qadam Pairwi Karoge Hatta Ke Agar Woh Goh (chipkali Ke Mushaba Rengne Wala Aik Janwar) Ke Suraakh Mein Gusein Honge Toh Tum Bhi Is Me Dakhil Hoge. Arz Kiya Gaya: Ya Rasoolallah! Kya Inse Yahood O Nasara Murad Hain?
Rasoolallah ﷺ Ne Irshad Farmaya: (agar Ye Nahi)to Aur Kon?
Narrated by al-Bukhaari, 1397; Muslim, 4822.
Is hadith ka matlab bilkul wazeh hua ki jo jo kharabi Yahood aur Nasara me aayi thi wo saare is Ummah me ayengi. Aur shirk bhi ayegi is ummat me ahle kitabo ki tarah. Hadith isko aur zyada wazeh karti hai:
۩ Abu Waqid Al-laithi R.a. Riwayat Karte Hai Ki Jab Rasoollallah Ѕαℓℓαℓℓαнυ Αℓαyнє wαѕαℓℓαм Gazwa E Hunain Tashrif Le Ja Rahe They, Raaste Me Aapka Guzar Mushkireen Ke Ek Ped(tree) Ke Paas Se Huwa Jo "Zaat E Anwaat" Ke Naam Se Mashoor Tha, We Log Us Par (barqat Haasil Karne Ke Liye) Apne Hathyar Latkaya Karte They, Kuch Musalmano Ne Arz Kiya: Ya Rasoollullah ﷺ! Jis Tarah Unka Ye "zaat E Anwaat" Hai Usi Tarah Hamare Liye Bhi Koi Ped(tree) Farma Dijiye, Nabi Akram ﷺ Ne Farmaya:-
"Subhanallah (Allah Pak Hai Us Shirk Se Jo Log Karte Hai)! Yeh To Aisi Hi Baat Hai Jis Tarah Moosa(as) Ki Qaum Ne Kaha Tha: Jis Tarah In Logon Ke But(idol) Hain Hamari Liye Bhi Ek But Bana Dijiye, (fir Rasoolallah Ne Farmaya) Qasam Hai Us Zaat Ki Jiske Haath Me Meri Jaan Hai, Tum Zaroor Apne Se Pahlon Ke Tareeqo Par Chaloge".
Sunan Tirmizi, kitabul Fitan, hadith-2180, Imam Tirmizi aur Allama Albani ne sahih kaha hai.
Is hadith me Aap ﷺ ne us Darakh ko But (Idol) ke sath Tashbeeh di. Aur aaj bhi yahi ho raha hai ki Kuch Mazaaraat jo hote hai waha Darakht bhi hote hai jis par dhaage bandhe hue hote hai.
۩ Aisha r.a. Riwayat Karti Hai Ki Ek Martaba Um Habiba Aur Umm Salamah R.a. Ne Rasoolallah ﷺ Se Ek Girja(church) Jo Ke Ethiopia Me Tha Uska Zikr Kiya Jisme Tasweere Thi (deewaro Par) .ye Sun Kar Ap ﷺ Ne Farmaya,
"in Log Aese Hai Ke Jab In Logo Mese Koi Nek Banda Mar Jata Hai, To Ye Log Uski Kabr Par Ibadat Ki Jagah Bana Lete Hai Aur Rang Dete Hai Usko Kuch Taswiro Se. Qayamat Ke Din Yeh Allah Ke Nazdeek Sabse Badtareen Makhluq Honge."
Sahih al-Bukhari 3873, Sahih Muslim-1076 .
۩ Hazrat Ayesha r.a. Se Riwayat Hai Ke Nabi ﷺ Ki Jis Bimari Me Maut Hui, us me Aap ne Farmaya, “Yahood Aur Nasara Par Allah Ki Laanat Ho, Unho Ne Apne Ambiya Ki Qabron Ko Ibadat Gaah Banaliya."
Is hadith ke baad Hazrat Ayesha r.a. ne tashreeh ki hai. Wo Farmati hai, “RasoolAllah hame daraya karte the aisa karne se.”
Sahih Muslim, hadith-1082.
Isi hadith ke baad Hazrat Ayesha ki dusri tashreeh hai is hadith par:
۩ Hazrat Ayesha r.a. Fir Farmati Hai Ke Agar Aisa Dar Na Hota Ke Log Rasoolallah Ke Kabr Par Sajde Shuru Kar Denge To Ham Aap ﷺ Ki Qabar Ko Ziyarat Ke Liye Khuli Chhor Dete.
Sahi Bukhari, hadith-1330.
Wazahat: Hazrat Ayesha ko 1400 saal pahle bhi Shirk ka Dar tha jabki wo behtreen zamane me thi lekin yaha aj kal ke molvio ko koi dar hi nahi hai shirk ka isiliye wo kahte firte hai ki Muslim shirk nahi kar sakte. Hazrat Ayesha se zyada Nabi ﷺм ki Baato ka Faham rakhne wala kaun tha?
۩ Nabi ﷺ Ne Farmaya:- “Ya Allah! Meri Qabar Ko ‘but’ Na Banney Dena Ke Log Usko Pujna Shuru Kar De."
Related by Ahmad (no. 7352,), Mawatta Book 9, Number 9.24.88.
Is hadith se ye bhi pata chala ki jisko bhi puja jayega wo But hoga chahe kabr ho ya pathhar ho ya darakh ho.
۩ Rasoolallah ﷺ Ne Farmaya:
“Meri Tareef Me Izafa Mat Karna Jese Ki Eesayo Ne Eesa Ibn Maryam Ki Kari Thi. Beshak Mai Allah Ka Banda Hu, Isi Liye Mujhe Abdullah Wa Rasoolallah Kah Kar Pukara Karo (Allah Ka Banda Aur Rasool).”
Sahih al Bukhari, hadees- 654.
Ap ﷺ ko kyu tension thi. Ye Aaj pata chal raha hai hame Jab hame Masjid se sunne ko milta hai- "noor un min noor Allah", "Allah ke Noor maise nikla hua Noor" Jab ki Allah kah raha hai lam yalid walam yulad- "Allah maise na koi nikla na Allah kisi maise nikla".
۩ Hazrat Abu Huraira Radhi Allah Anha Kehte Hain Rasool ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya, Har Nabi Ke Liye Ek Dua Aisi Hai Jo Zaroor Qabool Hoti Hai Tamam Ambiya Ne Woh Dua Dunia Main Hi Maang Li, Lekin Main Ne Apni Dua Qayamat Ke Din Apni Ummat Ki Shafa’at Ke Liye Mehfooz Kar Rakhi Hai, Meri Shafa’at In shaa Allah Har Us Shakhs Ke Liye Hogi Jo Is Haal Main Mara Ke Usne Kisi Ko Allah SWT Ke Sath Shareek Nahin Kiya.
Sahih Muslim, Kitab Al-Imaan, Hadith-399.
Agar waqai Shirk khatm ho gaya tha to yaha par Aap ﷺ ko shart lagane ki kya zarurat thi.
Aur agar Allah ne bata hi diya tha Nabi ko ki ummat me shirk nahi ho sakta hai fir Nabi ﷺ ko itni tension kyu thi ki wo bar bar dara rahe the ummat ko shirk karne se. Kya Nabi ﷺ ko Allah ke upar Yakeen nai tha Naudhbillah.
۞ Ummat me Shirk hona Qayamat ki nishani hai:
۩ Thawban R.a. Riwayat Karte Hai Ki Nabi ﷺ Ne Farmaya Ke Qayamat Us Waqt Tak Nahi Aaegi Jab Tak Meri Ummat Ke Kuch Kabile Mushrikeen Ke Saath Na Mil Jaye Aur Wo But Ki Ibaadat Na Karne Lage.
۞ Ummat me Shirk hona Qayamat ki nishani hai:
۩ Thawban R.a. Riwayat Karte Hai Ki Nabi ﷺ Ne Farmaya Ke Qayamat Us Waqt Tak Nahi Aaegi Jab Tak Meri Ummat Ke Kuch Kabile Mushrikeen Ke Saath Na Mil Jaye Aur Wo But Ki Ibaadat Na Karne Lage.
Jami` at-Tirmidhi, hadith-2219, Sahih (Darussalaam).
•٠•●●•٠•
ALlAh sE DuA HaI Ki wO HaMe sHiRk sE BaChAyE AuR TaUhEeD PaR MaUt aTa kArE. aAmEeN.
Post a Comment