Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

1 Jan 2018

Kya Nabi ﷺ Ko Ilm E Gaib Tha ?


Bismillahir rahmanir raheem

Bhaioo/Behno, waisay to aik hawaala hi kaafi tha sabit kernay ke liay kiunki deen ke muamlay mein humaara rawayya سمعنا و اطعنا “hum nay suna aur hum nay ata’at ki” waala hoona chaaheyay. Aur mukhalifaana aur jhagray waala andaaz ke سمعنا و عصينا “hum nay suna aur hum nahein maantay” waala nahein hoona chaheyay. Jaisa ke Quran mein kitni piyaari ayat hai:

mominon ki baat to yahi hoti hai ke jab unhein Allah aur Uss ke Rasool ﷺ ki taraf bulaaya jaata hai ta-ke wo un ke darmian faisla karay to wo kehtay hein ke hum nay suna aur maan lia aur wohi loog nijaat paanay waalay hein.

[Surah Noor, Ayat#51]

Ghaib ke silsilay mein Rasool Allah ﷺ ke mutalliq main yahaan 2 zamanoon ka zikar karenge jo ke 2 posts per mushtamil ho ga InshAllah:

-- Nabuwwat se pahle ka zamaana

-- Nabi bananay se lay ker faut honay tak ka zamaana

Quran mein in maqamaat per Allah ne farmaaya hai ke Nabi bananay se pahle Rasool Allah ﷺ ko in batoon ka ilm na tha:

"aur issi tarha Hum ne apnay hukam se aik rooh taire taraf bhaije, tujh ko ye bhi maloom nahein tha ke kitaab kia cheez hai aur na emaan maloom tha laikin Hum ne quran ko aik noor banaaya, Hum apnay bandoon mein se jis ko chahatay hein iss quran se rah per laga daitay hein aur bay-shak aap seedhi rah ki taraf rahnumaee kertay hein."

[Surah Shuraa, 42:52]

"aur aap (Aye Nabi!) gharbi jaanib nahien the jab Hum ne Moosa ko hukam bhaija aur na uss waqayay ko daikhanay waalay the laikin Hum ne bohat se naslein paida kein phir un per muddat daraaz guzri aur tu (Aye Nabi!) madyan waloon mein nahein rehta tha ke unhein Humari aayatein sunaata laikin hum rasool bhaijatay rahay aur tu (Aye Nabi!) tuur ke kinaaray per na tha jab Hum ne awaaz di laikin tairay Rab ka yeh in'aam hai takay un logoon ko daraayay jin ke paas tujh se pahle koi daraanay waala nahein aaya, takay wo nasehat hasil karein."

[Surah Qasas, 28:44-46]

"aur tumhein (Aye Nabi!) umeed na thi ke tum per kitaab utaari jayay gi magar tumhaaray Rab ki meharbaani hue phir tum hargiz kafiroon ki taraf-daari na kerna."

[Surah Qasas, 28:86]

yaani tuur per jab Hum ne Moosa a.s. se kalaam kia aur ussay wahi aur risaalat se nawaaza to Aye Mohammad ﷺ ! tu na wahaan mojood tha aur na yeh manzar daikhanay waloon mein se tha balkay ye ghaib ki wo baatein hein jo Hum wahi ke zareyay tujhay batlaa rahay hein jo iss baat ki daleel hein ke tu Allah ka sacha paighambar hai kiunki na tu nay yeh baatein kisi se seekhi hein na khud hi in ka mushaahida kia hai. yeh mazmoon aur bhi kayee jaga bayaan kia gaya hai. (mazeed hawaala-jaat ke liay daikheyay Al-Imran:44 , Yunus:16 , Hood:49 , Yusuf:3'102 , Al-Zuhaa:7) (yaani Aap ﷺ us waqt hazir-o-nazir na the).

Jo Sahih hai Allah uss ko maananay ki tofeeq ata farmayay, aur jo ghalat hai usay humaaray dilon say nikaal day. Aur agar iss post mein koi ghalati hai to Allah usay theek kernay ki tofeeq ata farmaayay, aameen. Alhamdulillaah.BISMI ALLAHI ALRRAHMANI ALRRAHEEMI

-- Nabuwwat se pahle ka zamaana

-- Nabi bananay se lay ker faut honay tak ka zamaana

Allah nay guzashta-o-ainda ke bay-shumaar waqi'aat, barzakh aur qabar ke haalaat, maidaan-e-mahshar ke naqshay, jannat aur dozakh ki kaifiat, al-gharz wo tamaam uloom jo Aap ﷺ ke shayaan-e-shaan the, wo sab Aap ﷺ ko ata kiay aur un ka andaaza Allah ke siwa kisi ko nahein. aur makhlooq ke mehdood ilm ko Allah ke ghair-mehdood ilm ke saath koi nisbat nahein. yahi waja hai ke Quran mein jaga jaga 'aalim-ul-ghaib ka lafz Allah ki khaas sift ke toor per zikar kia gia hai aur bohat si jaga Rasool ﷺ se 'aalim-ul-ghaib honay ki nafi ki gae hai aur yeh lafz Quran-o-Hadeeth mein kahein nahein ayaa ke Rasool Allah ﷺ 'aalim-ul-ghaib hein.

isi tarha bohat se ahadeeth mein bhi yeh mazmoon irshaad hua hai. un ayaat-o-ahadeeth ko naqal kia jayay to uss ke liay aik zakheem kitaab bhi kafi nahein hogi aur ulima-e-haq ka yahi maslak hai ke Allah ke siwa kisi ko 'aalim-ul-ghaib kehna durust nahein:

"keh do ke Allah ke siwa aasmaanoon aur zameen mein koi bhi ghaib ki baat nahein jaanta aur unhein iss ki bhi khabar nahein ke wo kab uthaayay jayein gay."

[Surah Namal, 27:65]

Umm-ul-Mu'mineen Hazrat A'isha Siddiqah (may Allah be please with her) ka irshaad hai ke jo shakhs yeh kahay ke Rasool ﷺ ghaib jante the uss nay Allah per buhtaan baandha. [Sahih Bukhari, Kitaab-ul-Tafseer (Surah wa-Najam), Hadith#4855]

ab Quran aur Sahih Ahadeeth ki kitaaboon se kuch hawalaa-jaat iss silsilay mein darj kiay jaatay hein...

Quran-o-Hadeeth se hawaala-jaat:

-- Hazrat A'isha r.a. per ifk ka muamala, jis ki haqeeqat ka Rasool ﷺ ko wahi se pahle ilm na hua.

[Surah Noor, 24:16-26 ' Bukhari, Kitaab Al-Maghaazi, Hadith#4141]

-- shehed ka waqi'a jis mein Rasool ﷺ ki do bewioon nay mansooba-bandi ki aur us ke natejay mein Rasool ﷺ nay apnay ooper shehed haraam farma lia, baad mein Allah ne Aap ﷺ ko saari baat bata di.

[Surah Tehreem, 66:1-4 ' Sahih Bukhari, Kitab-ul-Tafseer, Hadith#4912'5267'5268]

-- Hum nay kuch paighambaroon ka haal tujh se bayaan kia , kuch ka na kia.

[Surah Nisa, 4:164]y

aad rahay ke Quran mein to sirf 25 anbia-o-rusl ka zikar aur un ki qoomoon ke halaat bayaan kiay gayay hein, jab-ke anbia ki kul taadaad bohat ziada hai.

-- paighambaroon se Allah poochay ga tumhein kia jawaab mila? wo kahein gay humein pata nahein hai.

[Surah Maidah, 5:109]

-- Allah ke siwa kisi ko pata nahein ke wo kab uthaayay jayein gay.

[Surah Namal, 27:65]

-- 5 ghaib Allah ke siwa koi nahein jaanta.

[Surah Luqmaan, 31:34]

-- Qayamat ke waqt ka Rasool Allah ﷺ ko pata nahein.

[Surah Ahzab, 63 ' Surah Shoora, 17 ' Surah A'raaf, 187 ' Surah Ta-Ha, 15 ' Surah Namal, 65 ' Surah Luqman, 34 ' Surah Fussilat, 47 ' Surah Zukhruf, 85 ' Surah Mulk, 25-26]

-- Aap ﷺ nay wafaat se aik mah pahle farmaya qayamat ke waqt ka ilm sirf Allah ko hai.

[Sahih Muslim, Hadith#2538]

-- Allah ke lashkaroon ko Allah ke siwa koi nahein jaanta.

[Surah Muddassir, 74:31]

-- Abdullah bin Umm-Maktoom r.a. naabeena sahabi ka qissa aur wahi.

[Surah 'abasa, 80:1-12]

-- madina aur us ke ird-gird kuch munafiq hein, nifaaq per aray huay, aap un ko nahein jante, Hum jante hein.

[Surah Taubah, 9:101]

-- Rasool Allah ﷺ ka aasmaanoon per tashreef lai jaana aur Jibreal a.s. se baar baar pochna yeh koon hein. paanch dafa poocha yeh koon hein. phir mujhay Jibreal a.s. sidra-tul-muntahaa tak lai gayay jis ke rangon ka mujhay ilm nahin ke kaisay hein.

[Sahih Bukhari, Kitaab As-Salaah, Hadith#349'4233 ' Sahih Muslim, Kitaab Ul-Emaan, Hadith#163]

-- Rasool Allah ﷺ nay farmaaya: "mein nay khuwaab mein daikha ke aik aadmi bait-ullah ka tawaaf ker raha hai. maine poocha yeh koon buzurg hein to farishtoon nay bataaya ke yeh Maseeh ibn Maryam ('alaiha ssalaam) hein phir meine aik shakhs ko tawaaf kertay daikha maine poocha yeh koon hein? farishtoon nay bataaya yeh dajjaal hai."

[Sahih Bukhari, Hadith#6999 ' Sahih Muslim, Kitaab Ul-Emaan, Hadith#169]

-- Hazrat A'isha r.a. nay farmaya ke jo shakhs bhi tum se yeh 3 baatein bayan karay wo jhoota hai ke:1. Rasool Allah ﷺ nay apnay Rab ko daikha2. Rasool Allah ﷺ aanay waalay kal ki bat jante hein aur3. jo kahay ke Rasool Allah ﷺ nay tabligh-e-deen mein koi baat chupaee thi.

[Sahih Bukhari, Kitaab Al-Tafseer (Surah wa-Najam), Hadith#4855 ' Sahih Muslim, Kitaab Al-Emaan, Hadith#177]

-- Rasool Allah ﷺ nay farmaya: "dozakh mein aankray hoon gay, un ke tool-o-arz ko siwayay Allah ke koi nahein janta."

[Sahih Bukhari, Hadith#6573 ' Sahih Muslim, Kitaab Ul-Emaan, Hadith#182]

-- fatah makkah ke moq'ay per Rasool Allah ﷺ ki khidmat mein Hazrat Umm-u-Haani (may Allah be please with her) hazir huein. wo bayan kerti hein ke Aap ﷺ ghusl ker rahay the aur aap ki baiti Hazrat Fatima r.a. parda kiay huay thein, maine Aap ﷺ ko salaam kia. Aap ﷺ nay poocha koon hai? maine bataya ke mein Umm-u-Haani hoon.

[Sahih Bukhari, Kitab Al-Ghusl, Hadith#280]

-- aik safar mein Hazrat A'isha r.a. ka haar gum ho gayay. Rasool Allah ﷺ aur loog Aap ﷺ ke saath thaher gayay. Hazrat A'isha (may Allah be please with her) ke walid-majid bohat khafa huay, baad mein uss oont ko khara kia gaya jis per Hazrat A'isha r.a. sawaar thein to haar usi ke neechay se mil gaya.

[Sahih Bukhari, Hadith#334'3672 ' Sahih Muslim, Kitaab Al-Haiz, Hadith#367]

-- Aap ﷺ ke marz-ul-wafaat mein jab aap ka marz berh gayay to aap baar baar bay-hoosh huay, jab hoosh aata to farmatay kia logoon nay namaaz perh li hai? arz kia jaata nahein, loog Aap ﷺ ka intizaar ker rahay hein. aisa 3 baar hua.

[Sahih Bukari, Kitaab Ul-Azaan, Hadith#687 ' Sahih Muslim, Kitaab Us-Salaah, Hadith#418]

-- Rasool Allah ﷺ nay 40 ya 70 quran ke aalim sahaba ki aik jamat mushrikeen ke paas bhaiji thi, unhoon nay un ko shaheed ker daala. Rasool Allah ﷺ bohat ranjeeda aur ghamgeen huay.

[Sahih Bukhari, Kitaab Ul-Witr, Hadith#1001'1300]

-- Rasool Allah ﷺ soyay rahay, Hazrat Abu Bakar (may Allah be please with him), Hazrat Umar r.a. bhi soyay rahay, sooraj poori tarha nikal aaya aur subh ki namaaz waqt per na perh sakay.

[Sahih Bukhari, Hadith#595 ' Sahih Muslim, Hadith#680'681]

-- Hazrat A'isha r.a. farmati hein ke Rasool Allah ﷺ mairay paas ayay. us waqt aik aurat mairay paas baithi thi. Aap ﷺ nay yeh daryaaft farmaya: "yeh koon hai?" maine arz kia falaa_n aurat hai.

[Bukhari: 1151]

-- Hazrat A'shia r.a. nay bayan kia ke jab Rasool Allah ﷺ badal ka koi aisa tukra daikhtay jis se barish ki umeed hoti to Aap ﷺ ke chehra-e-mubarak ka rang badal jata aur farmaatay mein nahein jaanta mumkin hai yeh badal bhi waisa hi ho jis ke baaray mein qoom-e-'aad ne kaha tha ke yah badal hum per barasnay wala hai, halaankay us mein dard-naak azaab tha.

[Bukhari: 3206]

-- aik dafa sooraj-girehen hua to Aap ﷺ bohat ghabraa ker uthay, iss dar se ke kahein qayamat na qaim ho jayay.

[Bukhari: 1059 ' Muslim: 912]

-- jab Aap ﷺ ki baiti Hazrat Zainab r.a. ki wafaat hue to Aap ﷺ tashreef layay aur farmaya: "ghusl se farigh honay per mujhay khabar daina." phir ghusl se farigh honay ke baad Aap ﷺ ko khabar di gae.

[Bukhari: 1254'1258 ' Muslim:939]

-- aik sahabi ya sahabiah faut ho gae laikin Rasool Allah ﷺ ko uss ki wafaat ki khabar kisi nay na di. aik din Aap ﷺ nay khud yaad farmaya ke wo shakhs dikhae nahein daita. sahaba (may Allah be pleased with them all) nay kaha uss ka to intiqaal ho gaya. Aap ﷺ nay farmaya: "phir tum nay mujhay khabar kiun na di, chalo mujhay uss ki qabar bata do."

[Bukhari: 458 ' Muslim: 956]

-- Hazrat Abu Zar Ghaffari r.a. nay daikha Rasool Allah ﷺ raat ko akailay chal rahay the, Hazrat AbuZar r.a. Rasool Allah ﷺ ke peechay chalnay lagay. uss ke baad Rasool Allah ﷺ muray, AbuZar r.a. ko daikha aur daryaft farmaya: "koon hai?" janab AbuZar r.a. nay arz kia Abu Zar.

[Bukhari: 6443]

-- 2 auratein Aap ﷺ ke darwazay per ayein, un ke saamnay se Hazrat Bilal r.a. guzray. unhoon ne Hazrat Bilal r.a. se kaha humaray liay yeh masala Rasool Allah ﷺ se poochein aur humara naam na laina. Hazrat Bilal r.a. andar gayay aur Rasool Allah ﷺ se arz kia ke 2 auratein yeh masala daryaft kerti hein. to Rasool Allah ﷺ nay farmaya: "yeh donoo koon hein?" Bilal r.a. nay arz kia Zainab naam ki hein. Aap ﷺ nay farmaya: "koon si zainab?".

[Bukhari: 1466 ' Muslim: 1000]

-- Rasool Allah ﷺ nay farmaya: "mein apnay ghar jata hoon, wahaan mujhay mairay bistar per khajoor pari hue milti hai, mein usay khaanay ke liay utha laita hoon laikin phir yeh dar hota hai ke kahein yeh sadqa ki khajoor na ho to mein usay phaink daita hoon."

[Bukhari: 2432 ' Muslim: 1070]

-- Rasool Allah ﷺ ki khidmat mein koi khaanay ki cheez layee jaati to Aap ﷺ daryaft farmatay yeh tuhfa hai ya sadqa. agar kaha jata ke sadqa hai to Aap ﷺ apnay ashaab se farmatay ke khaoo.

[Bukhari: 2576 ' Muslim:1077]

-- Rasool Allah ﷺ nay farmaya: "mujhay laila-tul-qadr dikhae gae laikin phir bhulwa di gae."

[Bukhari: 2016 ' Muslim: 1167]

-- hajj ke moq'ay per Rasool Allah ﷺ makkah mein Hazrat A'isha r.a. j yahaan tashreef layay, wo ro rahi thein. Aap ﷺ nay daryaft farmaya ke kiun ro rahi ho? maine arz kia Allah ki qasam! meine iss saal hajj nahein kia. Aap ﷺ nay poocha shayad ke to haiza ho gae hai? maine kaha haan!.

[Bukhari: 305]

-- hajj ke moq'ay per Rasool Allah ﷺ nay sahaba ikraam (may Allah be pleased with them all) se farmaya: "tum halaal ho jao, agar mujhay wo baat pahle maloom ho jati jo baad mein maloom hue to mein qurbani ka janwar saath na lata." [Bukhari: 1568 ' Muslim: 1216]

-- fatah makkah ke din aik shakhs ne aa ker khabar di ke ibn Khattal ghalaaf-e-kaaba ke pardoon se latak raha hai. Aap ﷺ nay farmaya ke ussay qatal ker do.

[Bukhari: 3044 ' Muslim: 1357]

-- Rasool Allah ﷺ nay Hazrat Abd-ul-Rahman bin ‘Ouf per zardi ka nishaan daikha to poocha ye kiya hai? unhon nay arz kia ke maine nikah kia hai.

[Bukhari: 5155 ' Muslim: 1426]

-- Ghazwa-e-Khaibar ke waqt Rasool Allah ﷺ ke paas Hazrat Dihya r.a. aayay aur arz ki ke mujhay koi baandi inaayat kijeyay. Aap ﷺ nay farmaaya jao baandi lay lo. Unhon nay safiya bint-e-huyayye ko lay liya. Phir aik shakhs Rasool Allah ﷺ ki khidmat mein hazir hua aur arz ki ke Aye Allah ke Rasool! Safiya to sardaar ki baiti hai, unhein Aap ﷺ nay Dihya r.a. ko day diya, wo to sirf aap hi ke liay munaasib thein. Iss per Aap ﷺ nay farmaaya ke Dihya ko safiya ke saath bulao. Wo laayay gayay, jab Rasool Allah ﷺ nay unhein daikha to farmaaya ke qaidyon mein say koi aur baandi lay lo. Phir Aap ﷺ nay Hazrat Safiya r.a. ko azaad ker diya aur unhein apnay nikah mein lay lia.

[Bukhari: 371 ' Muslim:1365]

-- Sahaaba Ikraam (may Allah be pleased with them all) nay qaidi auraton say ‘azl kia phir unhon nay Rasool Allah ﷺ say iss ka hukam poocha to Aap ﷺ nay farmaaya: “kiya tum waqa’e aisa kertay ho?” teen martaba ye farmaaya.

[Bukhari: 5210 ‘ Muslim: 1438]

-- Rasool Allah ﷺ Hazrat Aisha r.a. ke ghar tashreef laayay to wahan aik sahib baithay huay the. Aap ﷺ nay daryaaft farmaaya Aisha! Ye koon hai? mein nay arz kia ye maira razae bhai hai.

[Bukhari: 2647 ‘ Muslim: 1455]

-- Hazrat Jabir bin Abdullaah r.a. nay bayan kia ke mein nay shaadi ki to Rasool Allah ﷺ nay mujh say daryaaft farmaaya ke kis say shaadi ki hai? mein nay arz kia aik baiwa aurat say. Aap ﷺ nay farmaaya kanwaari say kiun na ki? Mein nay arz kia mairay waalid shaheed ho gayay aur unhon nay kae larkian choori hein, iss liay maine ye pasand nahein kia ke un ke paas unhi jaisi larki biyah laoon, iss liay mein nay aik aisi aurat say shaadi ki hai jo un ki daikh-bhaal ker sakay.

[Bukhari: 2097 ‘ Muslim]

-- Rasool Allah ﷺ ke saamnay aik sahaabi nay shikaayat ki ke uss nay apni beewi ko aik ghair mard ke saath tanhai mein paaya aur Rasool Allah ﷺ say arz kia ke iss muamlay ka faisla farma dein. Phir Rasool Allah ﷺ nay dua ki ke Aye Allah! Iss muamlay ko saaf ker day chunaachay uss aurat nay bacha ussi mard ki shakal ka jna jis ke mutalliq shoohar nay dawa kia tha ke ussay unhon nay apni beewi ke saath paaya tha. Rasool Allah ﷺ nay miyaan-beewi ke darmian la’an karaaya.

[Bukhari: 5316 ‘ Muslim: 1497]

-- Hazrat Jabir bin Abdullah r.a. nay bayan kia ke mein aik martaba bemaar para, Rasool Allah ﷺ aur Abu Bakr r.a. paidal mairi ‘ayaadat ko tashreef laayay. Mein nay arz kia Aye Allah ke Rasool! Mein apnay maal mein kiya karon, kis tarha iss ka faisla karon? Rasool Allah ﷺ nay mujhay koi jawab na diya, yahan tak ke meeraas ki ayat nazil hue.

[Bukhari: 4577 ‘ Muslim: 1616]

-- Hazrat Nauman bin Basheer r.a. nay bayan kia ke un ke waalid unhein Rasool Allah ﷺ ki khidmat mein laayay aur arz kia ke mein nay apnay iss baitay ko aik ghulam batoor-e-hiba diya hai. Rasool Allah ﷺ nay daryaaft farmaaya kiya aisa hi ghulam doosray larkon ko bhi diya hai. unhon nay jawab diya ke nahein to Aap nay farmaaya phir wapis lay lay.

[Bukhari: 2586 ‘ Muslim: 1623]

-- Aik qabeelay ke 8 afraad Rasool Allah ﷺ ke paas aayay aur aap say islam per bai’t ki, wo bemaar per gayay to aap nay un say kaha humaaray charwaahay ke saath uunton mein chalay jao, uunton ka doodh aur paishaab piyo. Wo gayay, uunton ka doodh aur paishaab piya aur sehat-mand ho gayay. Phir unhon nay Rasool Allah ﷺ ke charwaahay ko qatal ker diya aur jaanwar bhaga ker lay gayay. Iss ki itlaa’ tab Rasool Allah ﷺ ko pohanchi to aap nay un ki talaash mein aadmi bhaijay, wo pakray gayay aur laayay gayay. Rasool Allah ﷺ nay un ko saza di.

[Bukhari: 3018 ‘ Muslim: 1671]

-- Jang-e-Badar ke din 2 larkon nay apni talwaarein sanbhaalein aur abu-jahl per jhapat paray aur hamla ker ke uss ko qatal ker daala. Iss ke baad Rasool Allah ﷺ ki khidmat mein haazir ho ker Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam_ ko khabar di. Rasool Allah ﷺ nay poocha ke tum donon mein say kis nay usay maara? Donon nojawaanon nay kaha ke maine qatal kia hai to Aap ﷺ nay un say poocha kiya tum nay apni talwaarein saaf ker li hein. unhon nay arz kiya ke nahein, phir Rasool Allah ﷺ nay donon talwaaron ko daikha aur farmaaya ke tum donon hi nay usay maara hai.

[Bukhari: 3141 ‘ Muslim:1752]

-- Jab Rasool Allah ﷺ ghazwa-e-khandaq say wapis huay aur hathyaar rakh ker ghusl kia to Jibreel (‘alaihissalaam) Aap ﷺ ke paas aayay aur wo apnay sar say ghubaar jhaar rahay the. unhon nay Rasool Allah ﷺ say kaha Aap nay hathyaar rakh diyay, Allah ki qasam! Abhi maine hathyaar nahein utaaray, aap ko un per fooj-kashi kerni hai. Rasool Allah ﷺ nay daryaaft farmaaya ke kin per? To unhon nay banu-quraizah ki taraf ishaara kia.

[Bukhari: 4117 ‘ Muslim: 1769]

-- Jang-e-Badar ke din Rasool Allah ﷺ nay farmaaya koon daikh ker aayay ga ke Abu-Jahl ka kiya hue hai? Hazrat Ibn-e-Mas’ood r.a. ma’loom kernay gayay to daikha ke ‘Afraa ke donon larkon nay usay qatal ker diya tha aur uss ka jism thanda para hai.

[Bukhari: 3962 ‘ Muslim: 1800]

-- Rasool Allah ﷺ Hazrat Maimoonah r.a. ke ghar mein daakhil huay, unhon nay bhuna hua saandha aap ki khidmat mein paish kiya, aisa bohat kam hota tha ke aap kisi khaanay ke liay uss waqt tak haath berhaaein jab-tak aap ko uss ke mutalliq bata na diya jaayay ke falaan khaana hai laikin uss din aap nay bhunay huay saandhay ke goosht ki taraf haath berhaaya. Itnay mein wahan mojood auraton mein say aik aurat nay kaha ke Rasool Allah ﷺ ko bata kiun nahein daitein ke iss waqt aap ﷺ ke saamnay jo tum nay paish kia hai wo saandha hai. Aap ﷺ nay apna haath saandhay say hata lia. Khalid bin Waleed r.a. boolay Aye Allah ke Rasool! Kiya saandha haraam hai? aap nay farmaaya: “nahein.”

[Bukhari: 5537 ‘ Muslim: 1946]

-- Rasool Allah ﷺ ki khidmat mein aik sahib bhookay haazir huay, Aap ﷺ nay unhein Azwaaj-e-Mutahharaat ke haa_n bhaija (ta-ke un ko khaana khila dein) Azwaaj-e-Mutahharaat nay kehla bhaija ke humaaray paas paani ke siwa kuch nahein hai. iss per Rasool Allah (sallallah ‘alaihi wasallam) nay farmaaya ke koon in ki mehmaan-nawaazi karay ga? Aik ansaari sahaabi boolay ke mein karon ga.

[Bukhari: 4889’3798 ‘ Muslim: 2054]

-- Hazrat Abu Talha r.a. Rasool Allah ﷺ ki khidmat mein haazir huay aur Aap ﷺ ko waqi’a ki itlaa’ di. Rasool Allah ﷺ nay Hazrat Abu Talha r.a. say daryaaft farmaaya: “tum nay raat ham-bistari bhi ki thi?” unhon nay arz kia je haan! Phir aap nay dua ki to Abu Talha r.a. ke haa_n bacha paida hua, usay Rasool Allah ﷺ ki khidmat mein laaya gaya. Aap ﷺ nay bachay ko lia aur daryaaft farmaaya: “iss ke saath koi cheez bhi hai?” kaha gaya haan khajoorein hein.

[Bukhari: 5470 ‘ Muslim: 2144]

-- Hazrat Jabir r.a. nay bayan kia ke mein Aap ﷺ ki khidmat mein haazir hua. Mein nay darwaaza khatkhataaya. Aap ﷺ nay farmaaya: “koon hai?” mein nay kaha mein. Aap ﷺ nay farmaaya: “mein,mein” jaisay aap ﷺ nay iss ko na-pasand farmaaya.

[Bukhari: 6250 ‘ Muslim: 2155]

-- Aik aadmi Rasool Allah ﷺ ke darwaazay ke sooraakh say andar jhaanknay laga, uss waqt aap ﷺ ke paas loohay ka kanghaa tha, jis say aap ﷺ sar jhaar rahay the. jab Aap ﷺ nay usay daikha to farmaaya: “agar mujhay maloom hota ke tum (jhaanktay huay) maira intizaar ker rahay ho to mein usay tumhaari aankh mein chubho daita.” Phir Aap ﷺ nay farmaaya: “ijaazat lainay ka jo hukam diya gaya wo isi liay hai ke nazar na paray.”

[Bukhari: 6241 ‘ Muslim: 2156]

-- Ek yahoodi aurat Rasool Allah ﷺ ki khidmat mein zehar-mila bakri ka gosht lae, Aap ﷺ nay uss mein say kuch khaay phir jab uss aurat ko laaya gaya to uss nay zehar ka iqraar ker lia to kaha gaya ke kiun na isay qatal ker diya jaaya? Aap ﷺ nay farmaaya: “nahein.” Hazrat Anas r.a. kehtay hein ke uss zehar ka asar mein nay humaisha Rasool Allah ﷺ ke taalo mein mehsoos kiya.

[Bukhari: 2617 ‘ Muslim: 2190]

-- Aap ﷺ ka taweel khuwaab jis mein aap ﷺ nay apna khuwab bayan kertay huay subh sahaaba ikraam (may Allah be pleased with them all) say farmaaya: “raat ko mairay paas do aanay waalay aayay, wo mujhay aik laitay huay shakhs ke paas lay gayay .......... mein nay un dono say poocha: “Subhaan-Allaah! Ye donon kon hein?” mujh say unhon nay kaha aagay berheyay aur hum aik aisay shakhs ke paas pohanchay jo peeth ke bal laita hua tha .......... mein nay kaha: “Subhaan-Allaah! Ye donon kon hein?” unhon nay kaha aagay chaleyay, phir hum aik tanoor-numa garhay per aayay .......... mein nay un donon say poocha: “ye kon loog hein?” unhon nay kaha aagay chaleyay. Phir hum aik nehar per aayay .......... maine un donon say pocha: “ye kon hai?” unhon nay kaha ke aagay chaleyay. Phir hum aik nihaayat bad-soorat aadmi ke paas pohanchay .......... maine un donon say kaha: “ye kiya hai?” unhon nay kaha aagay chaleyay. Phir hum aik baagh mein pohanchay .......... maine poocha: “ye koon hai? ye bachay koon hein?” unhon nay kaha aagay chaleyay. Phir hum aik azeem-u-sshaan baagh mein pohanchay .......... phir unhon nay kaha hum aap ko batayein gay.

[Bukhari: 7047 ‘ Muslim: 2275]

-- Aik raat madina per (aik awaaz sun ker) bara khoof cha gaya. Loog uss awaaz ki taraf berhay laikin Rasool Allah ﷺ sab say aagay the aur aap ﷺ hi nay waqe’a ki tehqeeq ki.

[Bukhari: 2908’2627 ‘ Muslim: 2307]

-- Aik yahoodi Rasool Allah ﷺ ke paas hazir hua aur kaha ke Aap ﷺ ke ashaab mein say aik nay mujhay tamaancha maara hai. Aap ﷺ nay farmaya: “kis nay?” uss nay kaha aik ansaari nay.

[Bukhari: 2412 ‘ Muslim: 2374]

-- Hazrat Abu Hurairah r.a. nay bayan kia ke mein nay Rasool Allah ﷺ say poocha: sab say shareef koon hai? Aap ﷺ nay farmaaya: “jo sab say perhaizgaar hai.” sahaba nay arz kia: hum Aap ﷺ say iss ke mutalliq nahein poochtay. Aap ﷺ nay farmaya: “phir Allah ke Nabi Yusuf bin Nabi ibn-e-Nabi ibn-e-KhaleelilLah.” Sahaba nay kaha: hum iss ke mutalliq nahein poochtay. Aap ﷺ nay farmaaya: “arab ke khaandaanon ke mutalliq poochtay ho? Suno! Jahileyyat mein jo shareef the Islam mein bhi wo shareef hein jab-ke deen ki samajh unhein aa jayay.”

[Bukhari: 3383 ‘ Muslim: 2378]

-- Rasool Allah ﷺ nay hazrat Moosa (‘alaihissalaam) aur hazrat Khizar (‘alaihissalaam) ka taweel qissa bayan kertay huay farmaaya: Allah Moosa per raham farmaayay! Humaari tamanna thi ke Moosa (‘alaihissalaam) kuch dair aur sabar kertay to mazeed waqi’aat un donon ke bayan kiay jaatay.

[Bukhari: 122 ‘ Muslim: 2380]

-- Rasool Allaah ﷺ nay farmaaya: “mein jannat mein gaya, wahan mein nay aik mahal daikha? Maine poocha ye mahal kis ka hai? farishton nay bataaya ye Umar r.a. ka mahal hai.”

[Bukhari: 5226’3679 ‘ Muslim: 2394]

-- Rasool Allah ﷺ Hazrat Fatima r.a. ke ghar tashreef laayay, daikha ke Hazrat Ali r.a. ghar mein mojood nahein hein. aap ﷺ nay daryaaft farmaaya: “tumhaaray chacha ke baitay kahan hein?” Hazrat Fatima r.a. nay bataaya ke un ke darmiaan kuch na-gawaari paish aa gae aur wo mujh say naraaz ho ker kahein bahir chalay gayay hein aur mairay yahan qeloola bhi nahein kia. Uss ke baad Rasool Allaah ﷺ nay aik shakhs say kaha: “Ali r.a. ko talaash karo ke kahan hai?” wo aayay aur bataaya ke masjid mein sooyay huay hein. phir aap ﷺ masjid mein tashreef laayay.

[Bukhari: 441 ‘ Muslim: 2409]

-- Ghazwa-e-Khandaq ke din Rasool Allah ﷺ nay farmaaya: “dushman ke lashkar ki khabar mairay paas koon laa sakta hai?” Hazrat Zubair r.a. nay kaha ke mein.

[Bukhari: 2846’3719’4113 ‘ Muslim: 2415]

-- Rasool Allaah ﷺ Hazrat Fatima r.a. ke ghar ke aangan mein baith gayay aur farmaaya: “wo bacha kahan hai?” Aap ﷺ Hasan r.a. ke mutalliq pooch rahay the.

[Bukhari: 5884’2122 ‘ Muslim:2421]

-- Rasool Allaah ﷺ ki baiti ki wafaat hue (Hazrat umm-e-Klsoom r.a. jo Usman r.a. ki beewi thein aur 9 hijri mein faut huein) aap ﷺ qabar per baithay huay the, Aap ﷺ ki aankhon mein aanso bhair aayay. Aap ﷺ nay farmaaya: “logo! Koi tum mein say aisa bhi hai jo aaj raat aurat ke paas na gaya ho.” Abu Talha r.a. nay kaha mein hazir hoon. Aap ﷺ nay farmaaya: “to phir utro.” Wo un ki qabar mein utray.

[Bukhari: 1342]

-- Hazrat Aisha r.a. per tuhmat ka mukammal qissa aik taweel hadith mein hai. Aap ﷺ nay tuhmat ke baad Hazrat Ali r.a. aur Osaama bin Zaid r.a. say ye sulah ki: “kiya mein Aisha ko choor don.” Aagay jaa ker zikar hai ke Aap ﷺ nay Hazrat Aisha r.a. say farmaaya: “mujhay tairi taraf say aisi aisi khabar pohanchi hai, agar tu paak-daaman hai to Allaah tairi paak-daamni khool day ga aur jo tu phans gae hai to Allah say bakhshish maang, tobah ker.” Ye muamla chalta raha. Aakhir Allaah nay wahi utaar ker Hazrat Aisha r.a. ko paak-daaman qaraar diya.

[Bukhari: 4141]

-- Aik shakhs jo raat ko dafan ker diya gaya, Aap ﷺ apnay sahaaba samait kharay huay aur Aap ﷺ nay poocha: “ye kis ki qabar hai?”

[Bukhari: 1337]

-- Rasool Allah ﷺ nay farmaaya: “qayaamat ke din loog bay-hoosh ho jayein gay, mein bhi bay-hoosh ho jaon ga aur sab say pahle mujh ko hoosh aayay ga, mein kiya daikhon ga ke Moosa (‘alaihissalaam) arsh ka koona thaamay kharay hein. ab mein nahein jaanta ke wo bhi bay-hoosh ho ker mujh say pahle hoosh mein aa jayein gay ya un logon mein say hein jin ko Allah nay bay-hooshi say mustasna rakha hai.”

[Bukhari: 6517]

-- Usman bin Maz’oon r.a. wafaat paa gayay to aap ﷺ nay farmaaya: “Allah ki qasam! Mein Allah ka paighambar hoon magar mein ye nahein jaanta ke mairay saath kiya ho ga aur tumhaara kiya haak ho ga.

[Bukhari: 7018]

-- Rasool Allah ﷺ nay 10 aadmion ko jasoosi ke liay rawaana kia. Un ka sardaar Hazrat Aasim bin Saabit Ansaari r.a. ko banaaya, 7 shaheed ho gayay 3 bach gayay. Unhon nay dua ki ke ya Allaah! Humaari khabar humaaray Paighambar ﷺ ko pohancha day. Baad mein baaqi do bhi shaheed ho gayay aur Hazrat Khubaib r.a. qaidi ban gayay, phir un ko bhi shaheed ker diya gaya.

[Bukhari: 3045]

KUCH SHAK KI WAZAHAT:

Bhaiioon jo baat bata di jae wo Gaib nahi kehlati. or Allah ne Huzoor Ko Bohot si bateen bataen or Wo bateen Huzoor ne Sahaba Ko bataeen

Example: Nabi ﷺ. ka irshad hai 1 Zamana aesa aee ga kay loha (Iron) Asmaan per Fly karay ga

esi taran bohot si Hadeath hain jis me Huzoor ﷺ ne Qurb-e-Qiyamat Kay Halat Sahaba-e-kiram ko batae hain.

to kia Sahaba-e-karam ko bhi Gaib ka ilm tha.

1.Hume ye bhi pata hai kay 1 din Soraj (Sun) maghrib se niklay ga os kay baad tuba kay darwazay Band ho jae gay.

2.Hume ye bhi pata hai kay Kana Dajjal Ae ga or wo kia kia karay ga kahan kahan larai (Jang) ho gi.

3.Hume ye bhi pata hai kay Hazrat Mehdi a.s. ko bhi ana hai

4.Hume ye bhi pata hai kay Yajooj Majooj Aen gay

5.Hume ye bhi pata hai kay Hazrat Eesa a.s. bhi dyuna me tashreef lae gay os kay baad wo yahodioon se jang karay gay

Is taran to Ham Sab ko hi Gaib ka ilm Hua!!!!!!!! .........!!! ???!!!! Mere bhai Gooroo-Fikar Zaroori hai

Behtar yahi hai kay Jo quran w Hadeath me kaha gaya hai us ko man lia jae to Aakhirat me kamyabi hai.

apni logic lara ne ka koi faida nahi....Quran w sunnat pe amal karoo... kia ye ayaats or ye Hadeath hamaray leye kafi nahi....?????

jo in Quran w Hadeath ko nahi man raha Tuba Astgfaaar Karay Kia zamana agaya hai log Quran w Hadeath ko chor kar apni logic Lara rahe hain

Aesa nazar aa raha hai.Baat dil me Zaroor mojod hai Per zaban per lanay me Thori Hichkichahat hai Jese Quran w Hadeath Is zamanay key leye Nakafi hain (Noaaozubillah)

Ae Allah apna karam farma Or reham farma ham jese guanh gaar logo per...

Prepared by:- A.Sayed
Akram Al Hanafi said...

Sura nisha Ayat no. 113 ke bare me aap kya kahte ho.

Faisal Khan said...

Kindly apna sawal clearly puche

Post a Comment