اقرأ باسم ربك الذي خلق

6 Jan 2018

Kya Zill Hijja Ke Das Din Jis Mein Eid Bhi Hai, Roze Rakhna MustahabHai?​


 Sawal 

Maine ap ki website se Youm e Arfa ke roze ki fazeelat ke mutalliq padha hai, lekin maine Ashra Zill Hijja ke Rozon ki fazeelat bhi padhi hai to kya ye sahih hai?
Agar ye sahih hai to kya ye mumkin hai ke Aap mujhe ye bataye ke ham Nou(9)din ke Roze rakhen ya daas(10) youm ke kyunki daswe roz to Eid-ul-Azha ka din hai?

 Jawab 

Alhmdulilah..

Zill Hijja ke Nau (9) Ayyam ke Roze rakhna mustahab hain iski daleel Nabi kareem ﷺ ka farman hai:
Abdullah Bin Abbas Radiallahu anhu bayan karte hain ke Rasool kareem ﷺ ne farmaya:
"In Ayam (yani Zill Hijja) ke alawa koi aur Ayyam aise nahi jin mein kiye gaye amal-e-saliha Allah Tala ko zyada mahboob hon. Sahaba ne arz kiya Jihad fii Sabeel Lillah bhi nahi?
Rasool kareem ﷺ ne farmaya: Na hi Jihad fii Sabeel Lillah haan siwae wo shaks jo apna maal aur jaan lekar nikle aur isme se kuch wapis na laye."

Sahih al Bukhari, hadees- 969.

Hunaydah ibn Khaalid apni biwi se aur wo Nabi ﷺ ki Azwaj-e-Mutaharat se riwayat karti hai ki unhone kaha, "Rasool kareem Nou(9) Zill Hijja aur Youm-e-Ashoura aur har maah mein teen pahli somwar(monday) aur do Jumerat(thursday) ke Roze rakhte the."

Narrated by Imam Ahmad, 21829; Abu Dawood, 2437; classed as da’eef in Nasab al-Raayah, 2/180, but classed as saheeh by al-Albani. 

Abu Saeed Khudri Radiallahu anhu se marfooan bayan karte hain, "Rasool kareem ﷺ ne Eid-ul-Fitr aur Youm-ul-Nahr {Eid-ul-Azha} ka Roza rakhne se Mana farmaya."

Sahih al Bukhari Hadees No. 1992. Sahih Muslim Hadees No. 827.

Aur Ulema karam ka bhi is par Ijma hai ke dono Eidon ka Roza rakhna Haraam hai.  Lihaza in das ayyam mein kiye gaye Amal-e-Saliha dusre ayyam ke Amal se afzal hain. Lekin in ayyam mein sirf Roze Nou(9) din ke rakhe jaenge aur daswe din jo ke Eid Qurban ka din hai is din Roza rakhna haraam hai .

To Is bina par Ashraa Zill Hijja ke Roze rakhne ki fazeelat se murad ye huwa ke Nou(9) din ke Roze rakhe jaenge. Das ka itlaq aglabiyat (اغلبيت ) ki bina par kiya gaya hai.

[Translation: Based on this, what is meant by the virtue of the ten days of Dhu’l-Hijjah is fasting nine days only, even though they are called ten days.]

Dekhei: Imam Nawawi ki Sharh Muslim hadees- 1176.

Wallahu Alam.

Shaykh Muhammad Saalih al-Munajjid

•٠•●●•٠•

read this article in:

۩ Urdu
۩ English
۩ Arabic