اقرأ باسم ربك الذي خلق

2 Jan 2018

Lailatul Qadr


Lailatul Qadr (shab e qadr) ek azeem raat hoti hai jiski fazilat upar bayan ki gai hai. Allah ke taraf se ham ko yahi hukm mila hai ki is raat ibadat kare aur uski magfirat talab kare. Ye Ramzan ke aakhri 10 din ki taak raato me hota hai.

Allah s.w.t. Quran e majeed me farmate hai

Humne is (Quran) ko shab e qadr mei nazil kiya hai. Aur tum kya jano ke shab e qadr kya hai. Shab e qadr hazar maheeno se zyada behtar hai. Farishte aur rooh (Jibrael) us me apne Rabb ke izn se har hukm le kar utarte hai. Woh raat sarasar salamati hai tulu e fajr tak.

Surah Qadr 97, ayat 1-5.

Rasoolullah ﷺ ne farmaya

"Aye logo ye barkat wala mahina tumhare nazdeek aa raha hai aur Allah ne ye hukm diya hai ki tum is mahine me roze rakho. Is mahine me Jannat ke darwaze khol diye jate hai aur jahannam ke darwaze band kar diye jate hai aur shaitano ko jakad diya jata hai. Aur is mahine me ek raat hai jo hazaar mahino se behtar hai. Jo is mahine me Allah ki barkat se mahroom raha wo har bhalaai se mahroom raha."

Musnad Ahmad, hadith- 7148.

۞ Lailatul Qadr Ka Waqt:

۩ Lailatul Qadr Ramzaan ke aakhri ashre ke taak raato me talash karni chaiye.

Ayesha r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Ramzaan ki aankhri ashre ki Taak raato (21, 23, 25, 27, 29) me Lailatul Qadr talash karo.'

Sahih al bukhari, kitab faizal al lailatul qadr (32), hadees- 2017.

Isse ye pata chalta hai ki aakhri 10 taak raato me ahtemam ke sath ibadat karni chaiye aur sirf 27 ko iktifa nai karni chaiye.

۞ Ramzaan ke aakhri ashre me apne ahl o ayal ko ibadat ke liye khususi targeeb dilana masnoon hai:

Iska matlab sirf khud hi nai balki apne bacho ko aur apne ghar walo ko is ke taraf tawajjo dilana chaiye:

Aisha r.a. farmati hai ki Ramzaan ke aakhri ashre me Nabi ﷺ baki dino ki nisbat ibadat me zyada koshish farmate.

Sunan Ibn Majah, Vol. 1, Book 7, Hadith 1767.(sahih)

Aisha r.a. farmati hai ke jab Ramzaan ke aakhri 10 din shuru hote to RasoolAllah ﷺ ibadat ke liye kamar-basta ho jate (kamar kas lete), raato ko jaagte aur apne ahl o ayaal ko bhi jagate.

Sunan Ibn Majah, Vol. 1, Book 7, Hadith 1768. (sahih)

۞ Lailatul qadr me ki jane wali ibadat:

۩ Lailatul Qadr me ibadat guzishta gunaho ki magfirat ka baaes hai:

Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki Rasool Allah ﷺ ne farmaya "Jisne Lailatul Qadr mein Imaan ke saath Sawaab ki Niyyat se Qiyaam kiya, Uske Guzishta Gunah Muaaf kardiye Jaate hai".

Sahih al-Bukhari, hadith 2014.

Lailatul Qadr me saari neki ya ibadat ham karte hai us me se behtreen hai Taweel qayam. Lekin jo ye na kar sake wo baith kar zikr aur azkaar kare.

۩ Lailatul Qadr me ki jane wali dua:

Aisha r.a. se riwayat hai, maine pucha ya RasoolAllah ﷺ agar mai Lailatul Qadr palu to kaun si dua padhu. Nabi ﷺ ne farmaya, Kaho, "Ya Allah tu Muaf farmane wala hai, muaf karna pasand karta hai, Lihaza mujhe muaf farma".

Dua in arabic:

 " اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي "

Dua in Roman English:

'Allahumma innaka 'afuwwun tuhibbul-'afwa, fa'fu 'anni '

Sunan Ibn Majah, hadith-3850.( Sahih)

 ۩ Quran Padhna

Abdullah bin Abbas r.a. farmate hai, "RasoolALlah ﷺ logo ke sath bhalai karne me boht sakhi the lekin Ramzaan me jab Hajrat jibreel a.s. ap se milte to ap aur bhi zyada sakhi ho jate. Ramzaan me jibreel a.s. har raat apse mila karte aur Nabi ﷺramzaan guzarne tak unhe Quran majeed sunate the. Jab jibreel a.s. apse milte to apki sakhawat tez hawao se zyada badh jati.

Sahih al-Bukhari, hadith- 3554.

۞ Haiza aurto ki Lailatul Qadr me ibadat:

Haiza aurte saari ibadat kar sakti hai siwae namaaz, roza, Tawaf e Kaba, aur Itikaaf baithne ke. In char chizo ko chor kar Haiza aurte saari ibadate kar sakti hai.

Ayesha r.a. farmati hai ki ek hajj me mai haiza ho gai, toh RasoolALlah ﷺ ne farmaya, "Baitullah ke tawaf ke alawa baaki har wo kaam karo jo haji karta hai".

Sahih al-Bukhari, hadith- 293.

Umm Atiyya r.a. farmati hai ki RasoolAllah ﷺ ne Haiz wali aurto ko bhi Eid ke roz Eidgah jane ka hukm diya taaki wo logo ke takbiro ke sath takbire kahe aur un ki duae ke sath duae kare lekin namaz na padhe.

Sahih al Bukhari, hadith- 324.

۞ Lailatul Qadr ki Nishaniya:

۩1. Jis raat lailatul Qadr hogi us ke agle din suraj bina kiran (rays) ke niklega.

[Sahih Muslim, 1785]

۩2. Jis raat lailatul Qadr hogi us raat ko chand ek plate ke piece ke tarha niklega.

[Sahih Muslim, 2779]

۩3. Lailatul Qadr ki raat ko na zyada garmi hogi aur na zyada thandi hogi lekin wo shakhawat ki raat hogi aur agle subah suraj kamzor aur laal rang ka niklega.

[Ibn Khuzaima, 2192 | Sahih]

۩4. Laitalul Qadr wale din ko ya Raat ko barish ho sakti hai.

[Sahih al Bukhari, 813]

•٠•●●•٠•