Layt kar Quran ka Mushaf padhne me koi harj ki baat nahi hai.
Allah subhanawatala farmate hai
"Jo Allah Taalaa ka zikr kharay aur baithay aur apni karwaton par letay huye karte hai..."
Surah Imran 3 ayat 191.
Aisha r.a. riwayat karti hai: RasoolAllah ﷺ meri god(lap) me layt kar Quran ki tilawat karte the jab ki mai haiz ke dino me hoti thi.
Al-Bukhaari (7549) and Muslim (301).
Imam Al-Nawawi, Sharh Saheeh Muslim me farmate hai:
"Ye hadith is baat ka ishara karti hai ki Layt kar Quran padhne ki ijazat hai". End quote.
Post a Comment