۩ ALLAH TAALA KI NAZAR E RAHMATT, HAM KALAAMI AUR GUNAAHON KI SAFAAI SE MAHROOMI, AUR DARDNAAK AZAAB:
Hazrat Abu Dharr r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Teen qism ke logon se Allah Qayamat ke din na ham'qalaam hoga, na unki taraf nazar (rahmat) farmayega aur na hi unko gunaahon se paak wa saaf karega, aur unke liye dardnaak azaab hoga. Pahla, koi chiz de kar ehsaan Jatanay wala, Dusra apne Libaas ko Takhno se neeche latkane wala, Teesra, Jhooti qasam kha kar apna samaan bechne waala."
Sahih Muslim, Kitabul Eemaan, Hadith- 493.
Toh fir ek momin bande ko ye kaise gawaara hona chahiye ke woh koi aisa amal kare Jisse us se muhabbat karne waala Rabb usse ruth jaaye, usse ham kalaami band kar de, aur gunaaho se bojhal uske kandho ko azaad na kare balke rahmat ki jagah ghazab aur pyar ki jagah nafrat ki nigaah se dekha jaaye.
Hazrat Abu Dharr r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Teen qism ke logon se Allah Qayamat ke din na ham'qalaam hoga, na unki taraf nazar (rahmat) farmayega aur na hi unko gunaahon se paak wa saaf karega, aur unke liye dardnaak azaab hoga. Pahla, koi chiz de kar ehsaan Jatanay wala, Dusra apne Libaas ko Takhno se neeche latkane wala, Teesra, Jhooti qasam kha kar apna samaan bechne waala."
Sahih Muslim, Kitabul Eemaan, Hadith- 493.
Toh fir ek momin bande ko ye kaise gawaara hona chahiye ke woh koi aisa amal kare Jisse us se muhabbat karne waala Rabb usse ruth jaaye, usse ham kalaami band kar de, aur gunaaho se bojhal uske kandho ko azaad na kare balke rahmat ki jagah ghazab aur pyar ki jagah nafrat ki nigaah se dekha jaaye.
Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya Takhno se niche ka izaar aag me hai.
Sahih Al Bukhari, Hadith no. 5787.
۩ Libas Ko Takhno Se Niche Latkane Ke Mutallik Pahli Galat Fehmi:
Aksar log samajhte hai ki Agar Dil me ghamand na ho to apna libas niche latkane me koi harj nahi hai. Lekin ye mahez ek galat fehmi hai Kyuki sirf ghamand wajah nahi hai, aur bhi wajuhaat aur hikmat hai libas to takhne se upar rakhne ki,
۩ Pahli wajah: Libas ko Saaf rakhna
`Amr bin Maimun r.a. riwayat karte hai ki Umar r.a. ne (apne bhai ke bete se) farmaya, "Ae Mere bhai ke bete! Apne libas ko uncha rakho, Ye tumhare libas ko saaf rakhega aur tumhe tumhare Rab ke azaab se mahfuz rakhega.
Sahih al-Bukhari, Kitab Fazail Ashaab an-Nabi ﷺ, Hadith no: 3700.
۩ Dusri wajah: RasoolAllah ﷺ ki itaat karna
Muslim Ummat me har Makatib-e Fikr, chahe wo kisi bhi masklak ya jamaat se ho, wo sab tasleem karte hai ki Takhno se upar libas rakhna sunnat hai. Saare fikr ki dalail dene ki zarurat nahi hai lekin Dawat e Islami ke Ameer Ilyas Qadri ka qawl zarur pesh karunga kyuki isi jamaat me aksar ye confusion paayi jati hai.
Ye clip check kare- Ilyas Qadri Agrees- Libas ko takhno se upar rakhna hi sunnat hai
Imam Tirmidhi ne ek Hadith riwayat ki hai:
Hazrat Ubaid bin Khalid radiAllahu anhu kahte hai, "Mai ek bar Madinah Munawwarah jaa raha tha. Maine apne piche ek shaks ko kahte hue suna, "Apni Lungi ko uchi karo kyuki ye jismani aur roohani najasato (impurities) ko dur karti hai.
Jab mai piche muda dekhne ke liye ki kaun kah raha hai, maine dekha ki wo RasoolAllah ﷺ the. Maine kaha, "Ae" RasoolAllah ﷺ, Ye sirf ek mamuli si chadar (lungi) hai (ek shaks ko isse ghamand kaise ho sakta hai, aur kya is pe dhyan dena zaruri hai)?
RasoolAllah ﷺ ne farmaya, Agar tumhe isme koi bhalai nazar nahi aati, Kya tumhe meri pairwi karna kaafi nahi?
Jab RasoolALlah ﷺ mujhse ye kah rahe the, maine dekha ki unki lungi aadhe pindli (shin) tak pohchi hui thi.
Shama'il Muhammadiyah by Imam Tirmidhi, Kitab no:18, Hadith 120.
Source to Shama'il Muhammadiyah: https://sunnah.com/shamail .
Halanki ye hadith usool e Muhaddiseen ke nazdeek zaif hai lekin ham jiske liye ye hadith pesh kar rahe hai unhe koi mushkil nahi honi chahiye kyuki wo log sahih aur zaif hadith me fark hi nahi karte hai aur unki kitabe zaif hadeeso, kisse-kahaniya se bhari padi hai. Hamare liye to Quran ki wo ek ayat hi kaafi hai jaha par Allah ﷻ farmate hai,
... Aur Jo Kuch Rasool ﷺ De Unhe Lelo Aur Jis Chiz Se Wo Mana Kare Usse Ruk Jao Aur Allah ﷻ Say Darte Raha Karo, Yaqeenan Allah ﷻ sakht azab wala hai.
Qur'an 59:7.
۩ Libas Ko Takhno Se Niche Latkane Ke Mutallik Dusri Galat Fehmi:
Hazrat Abdullah ibn Umar r.a. se riwayat hai ke Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya, "Jisne bhi takabbur ke taur par apne kapde ko zameen me ghaseeta, Allah Qayaamat me uski taraf nahi dekhega", Hazrat Abu Bakr r.a. ne arz Kiya, "Agar main khayal na karun to mere kapde ka ek kona fisal jata hai", Toh Aap ﷺ ne farmaya, "Aye Abu Bakr Tum aisa guroor ke taur par nahi karte."
Sunan an-Nasa'i, hadith-5335, Sahih (Sheikh Zubair Ali Zai).
Kuch log is hadith ka matlab ye samajhte hai ki agar ek shaks ko Gurur nahi hai to wo apna libas takhne se niche latka sakta hai. Is hadith ka matlab bilkul bhi ye nahi hai. Is ka matlab ye hai ki jo insan jaan-bujh kar kapde takhno se niche latkata hai, khwah takabbur ka kasad ho ya nahi, is ke liye ye waeed shareed hai.
Ha! Agar koi aadmi kapda takhno se uper rakhne ki puri koshish karta hai lekin us ke bawujud gair iradah ya gair ikhtiyari taur par kapda niche latak jata hai toh woh is waeed me dakhil nahi hoga, kyuki wo maazur hai, jaisa ki Sayyadna Abu Bakr r.a. farmate hai ki jab mai puri puri muhafizat karta hu toh tahband niche nahi latakta. Kabhi zara si gaflat karu to niche latak jata hai. Hadees me يَسْتَرْخِي ka lafz bhi is baat par Dalalat karta hai ki Tahband khud bakhud niche latak jata tha, wo bhi kabhi kabhar na ki hamesha. Sayydna Abu Bakr r.a. kasratan nahi latkate the. Aap ﷺ bhi samajhte the ki ye Waeed har us insan ko shamil karta hai jo takabbur ke irade se latkata hai ya bagair takabbur ke irade irade se. Tab hi to ye sawal kiya tha ki gair iradai taur par gaflat ki wajah se mera tahband latak jata hai. Kya mai bhi usi Waeed me dakhil hu? Ap ﷺ farmaya, "Nahi".
Ha Agar Sayyadna Abu bakr r.a. ye puchte ki mai khud shalwar takhne se niche latka kar rakhta hu aur mera takabbur ka iradah nahi hota, fir agar Aap ﷺ ijazat de dete to baat sahih hoti. Jabki yaha aesi koi baat nahi hai. Aur hadees me kaha gaya hai ki Allah ki nazar me Apna libas takhne se niche latkana hi takabbur hai aur ye Takabbur ki ek kism hai:
Jaabir ibn Sulaym r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne mujhse farmaya, “Takhne se niche libas latkane se khabardar hona, kyuki ye Ghamand hai aur Allah ghamand ko pasand nahi karta”.
Sunan Abu Dawood, Kitab No : 34, Kitab Al Libas, Hadees-4084, Sahih (Sheikh Albani).
Ek baat aur gaur e Fikr talib hai ki agar libas takhne se upar karne ka hukm sirf takabbur walo ke liye hota to RasoolAllah kabhi bhi apna kapda takhne se upar na rakhte kyuki RasoolAllah ﷺ me takabbur nahi tha. RasoolAllah ﷺ me takabbur nahi tha lekin fir bhi wo apna libas apne takhno se upar rakhte the. Aur is baat par puri ummat ka Ijma hai ki RasoolAllah ﷺ apne libas ko takhne se upar rakhte the aur ye amal sunnat hai. Isi liye hame is amal ko kasrat se karna chaiye kyuki RasoolAllah ﷺ ham sab ke liye ek behtreen misaal hai.
۩ Libas Kaha Tak Uthaya Jaye?
Ibn Umar r.a. kahte hai ki mai RasoolAllah ﷺ ke samne se guzra aur meri chadar latak rahi thi, toh Aap ﷺ ne farmaya ki Ae Abdullah! Apni chadar unchi karo. Maine utha liya toh Aap ﷺ ne farmaya ki aur unchi karo. Maine aur unchi ki. Fir mai (apne tahband ko) uthata raha, yaha tak ke kuch logo ne pucha ki kaha tak uthani chaiye? Ibn Umar r.a. ne kaha ki Nisf Pindli tak.
Sahih Muslim, Kitab al libas wal zinat, hadith no: 5200.
Allah se dua hai ki wo hame qayamat ke din apni rahmat me mahfuz rakhe aur hame gunaho se paak kar de. aameen.
Prepared by:- Faisal Khan
Prepared by:- Faisal Khan
•٠•●●•٠•
Related:- Namaz Padhte Waqt Pant Ko Sametne(Fold Karne) Ka Bayan
Post a Comment