Gair Moqqida Sunnato me Magrib ki 2 rakat sunnat jo farz se pahle padhi jati hai wo bhi shumar hoti hai. Afsos ki baat hai ki hamare muashre me is sunnat se aksar log mahroom hai wo bhi sirf is liye kyu ki unke fiqh me is sunnat ka zikr nahi hai. Hamare muashre me maghrib ki rakato ki tadad 3 farz, 2 sunnat e Mokkida aur 2 nafl hai. Jab ki Hadees ki kitabo me kuch alag hi milta hai, Hadees ki kitabo me 2 rakat gair mokkida jo ke farz se pahle padhna hota hai, iske baad 3 farz aur 2 sunnat e Mokkida hai.
۩ Abdullah al Maznee r.a. riwayat karte hain Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Maghrib ki (farz) namaz se pahle namaz padho, Aap ne 3 baar farmaya aur teesri baar kaha jiska dil chaahe, ye is liye farmaya ke Aap napasand karte the ke log isko (Mokkada) sunnat banaalei’n.’
Sahih al Bukhari, Abwab al Tahajjud, Hadith- 1183.
۩ Sayyadna Anas r.a. se riwayat hai ke Madeena mein muezzin Maghrib ki azan kahta, ham sab sunnato’n ki taraf daudte aur 2 rakatei’n padhte. Log is kasrat se 2 rakatei’n padhte ke ajnabi ye guman karta ke Maghrib ki jamat ho chuki hai.
Sahih Muslim, Salatul Musafireen, Hadith- 837.
Allah se dua hai ki wo hame RasoolAllah ﷺ ki sunnat par amal karne ki taufeek ata kare. aameen.