Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

3 Jan 2018

Masjid E Nabawi Ki Ziyarat Ke Waqt Ki Jane Wali Galtiya


۩ Pahli Galti: Rasool ﷺ ko pukarna aur unse madad magna ya un se taaun talab karna, jis tarha ki baaz ye kahte hain ya rasulAllah! Mere marz ko shifa nawaz dey, ya rasulAllah! Mera qarz ada kar de, Ay mere waseele, ay meri zarurt ke darwaze khol dey, ya is tarha ke dusre shirqiya alfaz o kalimat jo aisi khalis Tauheed ke munafi hain jo bando par Allah tala ka haq hain.

۩ Dusri Galti: Namaz ki halat ki tarha kabr ke samne khade hona wo is tarha ke daya haath apne baye haath par rakh kar sine ya usse niche bandhna, Ye faeil haraam hain, kyuki ye halat dil o ibadat ki halat hain aur ibadat Allah tala ke alawa kisi ki jaiz nahi.

۩ Tesri Galti: Kabr ke nazdik jhukna ya sajda karna ya iske alawa koi aur kaam karna jo Allah tala ke alawa kisi aur ke liye karna jaiz nahi. Anas razi allahu tala anha bayan karte hain ke rasul ﷺ ne farmaya, "Kisi bashar ke liye jaiz nahi ki wo kisi bashar ko sajda kare.
Munsad Ahamd (158\ 3), Albani sahih al-targib ( 1936-1937),  Arwa al Galil (1998) main isy sahih karar diya hain.

۩ Chauthi Galti : Kabr ke nazdik Allah tala ko pukar kar ye aetkad rakhna ke kabr ke nazdik dua kabul hoti hain aesa faeil bhi haraam hain isliye ki ye shirk ke asbab main se hain , aur agar kabro ke pass ya Nabi ﷺ ki kabr ke nazdik dua Afzal ya bhetar aur sahih aur Allah tala ko zada mahboob hoti, ye manna. Agar ye amal sunnah ya behtar ya jayz hota toh Nabi ﷺ bhi hume iski targib dete isliye ki Nabi ne jannat ke karib karne wali kisi bhi chiz ko nahi chora balki us per apni ummat ko targib di hain , lihaza jab Nabi ne ye kaam nahi kiya toh isse ye ilm hua ki ye faeil haraam aur mamnu hain.  Mohammad ﷺ ne farmaya: ”Maine tumhare paas kuch nahin chhora jo tumhe Allah ke aur kareeb le aye siwaaye jo maine tumhe hukm kiya hai.”

[Reported by at-Tabaraani, authentic, refer to Asl Sifatis-Salaati n-Nabee, vol. 3, p. 942][Musnad Ahmad, Silsilah Sahiha 1803, Sahih by Albani].

Abu Yali aur Hafiz Ziya ne al mukhtarat main Ali bin Husain razi allhu anha se bayan kiya hain ki unhone ek shaksh ko dekha ke wo Nabi ﷺ ki kabr ke karib ek takche ke paas ata aur us main dakhil hokar dua karta toh unhone usey mana kar diya aur kahne lage Kya main tumhe wo hadis na bayan karu jo maine apne walid se aur unhone mere Dada se suni. Wo Rasool ﷺ se bayan karte hai ki Rasool e akram ﷺ ne farmaya ki tum meri kabr ko mela(fair) na banao aur na hi apne gharo ko kabr banao, aur tum jaha bhi ho mujh par durud padha karo kyuki tumhara salam mujh tak pahunchaya jata hain.

Abu Dawood (2042), Sheikh Albani rahmatullahi alaihe ne ise Sahih Abu Daud  (1796 ) me isey sahih karar diya hain.

۩ Panchwi Galti : Jo sakhsh Madina nahi ja sakta wo kisi dusre ke haath Nabi ﷺ ko salam bhej deta hain aur kuch zaireen ye salam pahuchate bhi hain, ye fail man-gadant hain. Salam bhejne wale aur pahuchane wale is kaam se ruk jao. Aap dono ko Nabi ﷺ ka ye farman kafi hona chahiye.
RasoolAllah ﷺ ne farmaya,"Mujh par Durud bheja karo kyuki tum jaha kahi bhi ho mujh tak tumhara salam pahuchaya jata hain aur Nabiﷺ ne farmaya: "Yakinan zamin main Allah tala ke fariste ghum rahe hai jo meri ummat ka salam mujh tak phuchate hain.
Munsad ahmad, 441|1, Sunan Nasai hadis number (1282). Allama Albani rehmatullah ne sahih jaame (2170) me isse sahi karar diya hain.

۩ Chati Galti : Nabi ﷺ ki kabr ko kasrat aur takrar se ziyarat karna, jese ki har farz namaz ke baad ya phir rozana kisi muaiyan namaz ke baad kabr ki ziyarat karna, is main Nabi ﷺ ki mukhalfat hoti hain kyuki Abu Huraira r.a. se riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ka farman hai ki meri kabr ko tyohar ki jagah(a place of festivity) na banao.
Sunan Abu Dawood, Kitab Al-Manasik Wal-Hajj, hadith- 2037.

Ibne hajr baitmi rahmatullah alaihe ne Mishkat ki sharah main kaha hain ki hadis main mazkura " eid", iyad main se ism hain , kaha jata hain : " adata wa adata wa tauda sarlah adat " yani us ki adat ban gyi , aur hadis ke mane ye ke meri qabr ko takrar aur barbar ane wali jagha na banao ki waha kasrat se aao isilye Nabi ﷺ ne farmaya ki Mujh per durud padha karo kyuki tum jaha bhi ho tumhara salam mujh tak pahuch jata hain. Lihaza is me bhi aesa karne se kifayat hain." - Ibne Hajar rahimaullah ki kalam khatam hua.

Aur Ibne Rushd ki kitab "al Jamiya al bayan" main hain ke Imam Malik rahimullah se kisi ajnabi ke bare main pucha gya jo rozana Nabi ﷺ ki kabr par hazri deta tha toh wo kahne lage, "Iska hukum nahi diya gaya aur unhone ye hadis ka zikr kiya jisme RasoolAllah ﷺ ne farmaya ki  Aye Allah meri kabr ko aesa mat banana jis ki ibadat ki jane lage.
[Muwatta Imaam Malik 9:88]

Albani rahimullah ne ise Tahzeer al sajid min atkhad ul kabur masajid " safa (24-26) me sahih karar diya hain. Ibne Rasad kahte hain : "Lihaza kabr par kasrat se jana aur salam kahna, aur rozana kabr par ana makru hain taaki kabr bhi masjid ki tarah hi na ban jaye jaha rozana namaz ki adaygi ke liye log jate hai aur Nabi ﷺ ne is se mana karte hue farmaya hain, "Ay allah meri kabr ko aesa But(idol) na banana jiski ibadat ki jaye. Ibne Rasad rahimullah ki kalam khatam hui.
Dekhye albayan wal tahsil laabin Rasad ( 444/18-445).

Kazi Ayaz rahimullah se madina ke un logo ke bare main sawal kiya gaya jo rozana ek ya do baar Nabi ﷺ ki kabr par khade hokar salam pesh karte hain aur kuch der Dua karte hain toh unhone jawab diya: "Mujhe aesi koi baat kisi bhi ahle fiqh ki janib se nahi mili, aur is ummat ke akhri hisse ki islah usi tarha mumkin hain jaise pahle logo ki hui thi. Aur ummat me ibtidai logo main se kisi ke bary main ye nahi milta ki wo aesa kaam kiya karte thy.
Dekhye- "al-shafa batarif haququl-mustafai, 2\676".

۩ Satwi Galti:-  Masjid ki kisi bhi janib se kabr ki janib mutawajje hona, aur jab bhi masjid main dakhil ho ya namaz se farig ho toh kabr ki janib rukh kar lena aur apne haat bilkul sidhe kar lena aur salam padhte hue apne sar ko jhuka lena ye muntashar biddat hain aur mukhalfat main se hain.

Allah ke bando Allah tala ka takwa ikhtiyar karte hue Allah se daro aur un sab biddat aur mukhalfat se bach jao, aur khwahisat aur andhi takleed se ijtenab karo aur apne mamlat main hadat aur dalail pe qayam raho Allah subhano tala ka farman hain, "Afaman kana ala bainati min rabbihi kaman lahu sua alamihi wa attabiu aeh wahum", Kya wo sakhsh jo apne parwar digar ki taraf se dalail par ho us sakhsh jesa ho sakta hain, jis shaksh ke liye uska bura kaam mazin kar diya gya ho aur wo apni nafasati khwahisat ka pairokar ho?
Surah Muhammad ﷺ. Ayat-14.

Hum Allah taala se dua go hai ki wo hume hidayat yafta aur hidayat dene walo aur sayadul mursalin ki sunnat par chalne wala banaye. aameen.

•٠•●●•٠•

Post a Comment