اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 Jan 2018

Nakhun(Nails) Tarashne Ke Baad Dafan Karna


Sawal:

Kya ye sahih hai ke nakhun tarashne ke baad fenkna haram hai aur kya inhe dafan karna zarury hai?

Jawab:- Nakhun tarashna mashru hai Kyunki nakun tarashna fitrati qhaslat me shamil hota hai aur tarashne ke baad inhe fenkne me koi harj nahi. Aur inhe dafan karna zarory nahi hai. Aur agar wo ise kude-daan (dustbin) me fenk de, ya phir dafan karde to isme koi harj nahi. (fatawa al-lajnah Ad-Daimah Li Buhuth Al-Ilmiyah wal Ifta (5/174).

Aksar hamare India, Pakistan aur inse jude hue mulko me paya jata hai ki nails ya baal ko sirf dafan karna chaiye ise aese hi kahi bhi nai fenkna chaiye. Aur kuch log ye bhi kahte hai ki Magrib ke baad ye chize na kati jaye. Ye mahez ek galat fehmi hai. Deen e Islam me aesa kuch nahi hai. Lekin agar ye dar ho ke ye nakhun ya baal jadugaron ke hatte chadh jayenge to fir inhe waha fenke ya dafan kare jaha se ye unke hath na lage.

(Wallahu alam)

•٠•●●•٠•