Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

2 Jan 2018

Namaaz e Janaaza


۩ Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Eeman ki haalat mein aur sawab ki niyat se jo kisi Musalmaan ke Janaaza ke sath jaata, iske saath rahta, iska janaaza padhta aur isko dafan karke faarig hota hai to iske liey 2 qiraat sawaab hai. Har qiraat ohad pahaad ke baraabar hai aur jo (sirf) janaaza padh kar waapas aajaata hai iske liye (sirf) 1 qiraat hai.’

Sahih al Bukhari: al Eeman, hadith- 47 – Sahih Muslim: al Janaaez, hadith- 945.

۩ Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jis Musalman ke janaaza me aise 40 aadmi shaamil ho’n jo Allah ke sath shirk na karte ho’n to Allah Ta’ala is (maiyyat ke haq) mein inki sifaarish qubool kar leta hai.’

Sahih Muslim: al Janaaez, hadith- 948.

۩ Rasool Allah ﷺ  ne farmaya: ‘4 Musalman jis Musalman ki ta’areef karei’n aur acchi shahadat dei’n, Allah usko Allah Jannat mein dakhil kar dega.

Ham ne arz kiya: ‘aur 3’? Aap ne farmaya: 3 bhi.

Ham ne arz kiya: ‘aur 2’? Aap ne farmaya: 2 bhi.

Fir ham ne 1 ke bare mein nahi poocha.’

Sahih al Bukhri: al Janaaez, hadith- 1368.

Yahaa’n in musalmano’n ki gawaahi se muraad hai jinka Aqeedah aur amal aur akhlaaq aur kirdaar kitaab aur sunnat ke mutabik ho.

Namaaz e janaaza padhne ke liye maiyyat ki chaarpaai is tarha rakhei’n ke mayyat ka sar shimaal (T: North) ki taraf aur paou’n Junoob (T: South) ki taraf ho, fir baawazu hokar safei’n baandhei’n.

۩ Anas bin Maalik r.a. ne 1 mard ka janaaza padhaya to wo (iske) sar ke saamne khade hue, phir 1 aurat ka janaaza laaya gaya to wo iske darmiyaan khade hue aur farmaya ke Rasool Allah ﷺ aisa hi karte the.

Jamia Tirmizee: al Janaaez, hadith-1034 – Abu Dawood: al Janaaez, hadith- 3194. Imam Tirmizee aur Shaykh Zubair Ali Zai ne ise Hasan kaha.

Fir dil mein niyat karke dono’n hath kandho’n ya kano’n tak uthaei’n aur Fir takbeer kah kar Surah Fatiha padhe.

۞ Janaaza Mein Surah Fatiha:

۩ Abu Umamah bin Sahal r.a. se riwayat hai ke namaz janaaza mein sunnat tareeqa ya hai ke pahle takbeer kahi jaae, fir Surah Fatiha padhi jaaye, phir Nabi e Rahmat par Durood aur maiyyat ke liye Dua (ki jaae) is ke baad salaam (fera jaae).

Musannaf Abdur Razzaq: hadith- 6428. Hafiz ibn e Hajar ne ise Saheeh kaha.

۩ Talha bin Abdullah bin 'Auf r.a. kahte hain ke main ne Ibn e Abbas r.a. ke peeche namaz e Janaza padhi to Ap r.a. ne Surah Fatiha padhi aur farmaya: Main ne ye is liye kiya taake tum jaan lo ke ye sunnat hai.

Sahih al Bukhari: al Janaaez, hadith- 1335.

Is se jahri qiraa‐at bhi sabit hui, tajjub hai jo log uth‐te baith‐te ‘Fatiha’ ka naam lete hain lekin wo namaz e janaaza mein ise padhte hi nahi.

۩ Talha bin Abdullah r.a. kahte hain ke main ne Ibn e Abbas ke peeche namaz e Janaza padha inho’n ne Surah Fatiha aur 1 aur Surah padhi aur buland awaaz se qirat ki hatta ke ham ne suna, jab Ibn e Abbas farig hue to farmaya ke ‘Ye sunnat aur haq hai’.

Sunan Nasai: al Janaaez, hadith- 1987. Imam Ibn e Turkamaani ne is hadith ko Saheeh kaha.

۞ Namaz e Janaza Ka Padhna Sunnat Hai:

۩ Abu Umamah bin Sahal r.a. se riwayat hai ke namaz e Janaza me sunnat tareeka ye hai ke Imam pahli takbeer ke baad surah Fatiha sirran (quitely) padhe fir 3 takbeerat kahe aur aakhri takbeer ke sath salam fera jaye.

Sunan Nasai, al Janaaez, hadith-1989.  Imam Ibne Hajar ne ise Saheeh kaha.

Buland aawaaz se bhi Janaza padhaya jaa sakta hai, chunanche Aouf bin Maalik r.a. farmate hain, Nabi ﷺ ne namaz e janaza mein 1 dua padhi jo main ne yaad karli aur mai ne tamanna ki kaash ke ye mera Janaza hota.

Sahih Muslim: al Janaaez, hadith- 963.

۞ Janaaza Ki Takbeerat:

۩ Abu Huraira r.a. se riwayat hai ke beshak Nabi e Rahmat ﷺ ne Najjashi ke janaaze mein 4 takbeerat kahi.

Sahih al Bukhari: al Janaaez, hadith- 1333 –  Sahih Muslim: al Janaaez, hadith- 951.

۩ Zaid bin Arqam namaz e janaza par 4 takbeerat kahte. 1 Janaaza par inho’n ne 5 takbeerat kahe aur farmaya ke RasoolAllah ﷺ is tarha bhi karte the.

Sahih Muslim: al Janaae, hadith-957.

Maloom hua takbeer e oola ke baad Surah Fatiha ka padhna sunnat hai. Surah Fatiha aur doosri Surah padh kar Imam ko dusri takbeer kahni chahiey. Fir namaz waala Durood (T: Darood e Ibraheemi) padhei’n. Iske baad teesri takbeer kah kar in duao’n mein se koi dua padhei’n:

۩ Pahli (1) Dua:

Abu Huraira r.a. se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne 1 janaaza par ye dua padhi:

اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِحَيِّنَا وَمَيِّتِنَا وَصَغِيرِنَا وَكَبِيرِنَا وَذَكَرِنَا وَأُنْثَانَا وَشَاهِدِنَا وَغَائِبِنَا اللَّهُمَّ مَنْ أَحْيَيْتَهُ مِنَّا فَأَحْيِهِ عَلَى الإِيمَانِ وَمَنْ تَوَفَّيْتَهُ مِنَّا فَتَوَفَّهُ عَلَى الإِسْلاَمِ اللَّهُمَّ لاَ تَحْرِمْنَا أَجْرَهُ وَلاَ تُضِلَّنَا بَعْدَهُ-

Allahumaghfir lihaiyyina wa Maiyyitina wa Sagheerinina wa Kabeerina wa Zakarina wa Unshaana wa Shaahidina wa Ghaaibina Allahumma Man Ahyaitahu Minna Faiahyihee A’alal Eemani waman Tawaffaitahu Minna Fatawaffahu A’alal Islaami Allahuma Laa Tahrimna Ajrahu walaa Tuzillana Ba’adahu –

Aey Allah! Hamare Zinda Aur Murde Ko, Chote Aur Bade Ko, Mard Aur Aurat Ko, Haazir Aur Gaib Ko Baksh de. Aey Allah! Ham Mein Se Jis Ko Tu Zinda Rakhe Ise Eman Par Zinda Rakh Aur Ham Mein Se Jisko Tu Faut Kare Ise Islam Par Faut Kar. Aey Allah! Hamei’n is (Maiyyat) Ke Ajar Se Mehroom Na Rakh Aur Iske Baad Hamei’n Gumrah Na Kar!

Sunan Abu Dawood: al Janaaez, hadith- 3201. Ise Imam Ibne Hibban ne Saheeh kaha.

۩ Dusri (2) Dua:

Auf bin Malik se riwayat hai Rasool Allah ﷺ ne janaaza mein ye dua padhi:

اللَّهُمَّ اغْفِرْ لَهُ وَارْحَمْهُ وَعَافِهِ وَاعْفُ عَنْهُ وَأَكْرِمْ نُزُلَهُ وَوَسِّعْ مُدْخَلَهُ وَاغْسِلْهُ بِالْمَاءِ وَالثَّلْجِ وَالْبَرَدِ وَنَقِّهِ مِنَ الْخَطَايَا كَمَا نَقَّيْتَ الثَّوْبَ الأَبْيَضَ مِنَ الدَّنَسِ وَأَبْدِلْهُ دَارًا خَيْرًا مِنْ دَارِهِ وَأَهْلاً خَيْرًا مِنْ أَهْلِهِ وَزَوْجًا خَيْرًا مِنْ زَوْجِهِ وَأَدْخِلْهُ الْجَنَّةَ وَأَعِذْهُ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ أَوْ مِنْ عَذَابِ النَّارِ-

Allaahum-maghfir lahu warhamhu, wa 'aafihi, wa'fu 'anhu, wa 'akrim nuzulahu, wa wassi' mudkhalahu, waghsilhu bilmaa'i washshalji walbaradi, wa naqqihi minal-khataayaa kamaa naqqaytath-sawbal-'abyadha minad-danasi, wa 'abdilhu daaran khayran min daarihi, wa 'ahlan khayran min 'ahlihi, wa zawjan khayran min zawjihi, wa 'adkhilhul-jannata, wa. 'a'izu min 'azaabil-qabri wa 'azaabin-naar.

Aye Allah! Ise Maaf Farma, Is Par Raham Farma, Ise A’afiyat Mein Rakh, Is Se Darguzar Farma, Iski Behtareen Mehmaani Farma, Iski Qabar Faaqh (spacious) Farma, Iske (Gunah) Paani, Olo’n (hail) aur Barf Se Dho Daal, Ise Gunaho’n se Is Tarha Saaf Karde Jaise Tu Safed Kapde Ko Mail Se Saaf Karta Hai. Ise Iske (Duniya waale) Ghar Se Behtar Ghar, (Duniya ke) Logo’n se Behtar Log Aur Iski Beewi Se Behtar Beewi Ataa Farma, Ise Jannat Mein Dakhil Farma, Azaab e Qabar Aur Azaab e Jahannam Se Bachaa.

Sahih al Muslim: al Janaaez, hadith- 963.

۩ Teesri (3) Dua:

اللهُـمِّ عَبْـدُكَ وَابْنُ أَمَـتِك، احْتـاجَ إِلى رَحْمَـتِك، وَأَنْتَ غَنِـيٌّ عَنْ عَذابِـه، إِنْ كانَ مُحْـسِناً فَزِدْ في حَسَـناتِه، وَإِنْ كانَ مُسـيئاً فَتَـجاوَزْ عَنْـه-

Allahumma abduka wabnu amatika, ihtaaja ilaa rahmatika, wa anta ganiyyu a’an a’azaabihi, in kaana muhsinan fazid fee hasanaatihi, wa in kaana musiaan fatajaawaz a’anhu.

Aye Allah! Tera ye banda, teri bandi ka beta, teri rahmat ka mohtaaj hai, Tu ise azaab na de toh Tujhe kya parwah. Agar ye nek tha to iski nekiyo’n mein izaafar farma aur agar gunahgaar tha to ise maaf farma.

Al-Haakim Vol-1, P-359. Imam Zahabi ne ise Saheeh kaha. See also Al-Albani's Ahkamul-Jana'iz, p-125.

۞ Janaaza Ke Masaael

۩ Nabi e Rahmat ﷺ ne farmaya: ‘Jab tum janaza dekho to khade ho jaaeo aur jo shaqs janaaz ke sath jaae is waqt tak na baithe jab tak janaza na rakha jaae.’

Sahih al Bukhari: al Janaaez, hadith- 1310 – Sahih Muslim, hadith- 959.

۩ Jab Saad bin abi Waqqas r.a. ka inteqal hua to Aisha r.a. ne farmaya ke inka janaza Masjid mein laao taake main bhi namaz e janaaza mein shareek ho jaaou’n, logon ne taamul kiya (T: People were confused weather to bring the janaza inside the masjid or not) to inho’n ne farmaya ke Allah ki qasam Rasool Allah ﷺ ne Sohail r.a. aur inke bhai ki namaz Janaza Masjid me padhai thi.

Sahih Muslim: al Janaaez, hadith- 973.

۩ Siddiq e Akbar (Abu Bakr r.a.) ki namaz Janaza bhi Masjid me padhi gai, nez Farooq e Azam (Umar r.a.) ki namaz e janaza Soheb r.a. ne masjid mein padhai thi.

Sunan Kubra Baihaqi, Vol-4, Page- 52.

Jis janaaze ke sath khilaaf sharai kaam ho’n iske saath jaana mana hai.

۩ Abdullah bin Umar r.a. farmate hain ke ‘Rasool Allah ﷺ ne is janaze ke sath jaane se mana farmaya jis ke sath noha aur maatam karne waali auratei’n ho’n.’

Sunan Ibn e Majah: Al Janaaez, hadith-1583.

۩ Mughaira bin Shoba r.a. se riwayat hai Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Sawaar janaaze ke peeche rahe aur paidal chalen waale janaze ke kareeb rahte hue aage, peeche, daaei’n aur baei’n chal sakte hain.

Sunan Abu Dawood: al Janaaez, hadith- 3180. Imam Tirmizee ne Hasan Saheeh kaha.

۞ Ghaaebaana Namaaz e Janaaza (T: Namaaz e Janaaza in Absence of the deceased)

Jis din Najjashi (King of Habsha, who accepted Islam) faut hue. Rasool Allah ﷺ Sahaaba ke sath nikle, saf bandi ki aur 3 takbeerat ke sath (namaz e janaaza) adaa ki.

Sahih al Bukahri: al Janaaez, hadith- 1254 – Sahih Muslim: hadith- 951.

Aur Farmaya ke ‘Apne bhai ki namaz e janaza adaa karo, kyou’nke ye arz e ghair (land other then yours) mein faut hue hai.’

Sunan Ibn e Majah: al Janaaez, hadith- 1537. Classed as Sahih by Shaykh Zubair Ali Zai.

Oqba bin Aamir r.a. se riwayat hai ke ‘Rasool Allah 1 din baahar nikle aur Ohad ke shohada ke liye is tarha namaz padhi jaise maiyyat par namaz padhte hain.’

Sahih al Bukahri: hadith-1343. – Sahih Muslim: al Fazaael, hadith- 2296.

Is se maloom hua ka maiyyat ki gayebaana namaz e janaaza padhi jaa sakti hai Imam Shafai aur Imam Ahmad bin Hambal ki yahi raaye hai.

Magar Sahaaba Ikram aur Tabaeen mein gayebaana namaz e janaaza ke mamool na hone ki sab se badi daleel ye hai ke Khulafaa e Rashideen ki gayebaana namaz e janaza puri Islami mamlekat mein adaa ki jaati. Magar aisa kisi se bhi manqool nahi hai.

Imam Ibn e Qaiyyim, Ibn e Taimiyya, Allama Naasiruddin Albaani aur Muhakkikeen ki 1 Jamaat gayebaana namaz e janaaza adaa karne ke qayel nahi hai.

Haafiz Ibn e Abdul Barr farmate hain: ‘Agar ghaib par namaz e janaaza jaaez hoti to Nabi e Rahmat apne Sahaaba ki gayebana namaze janaza adaa karte isi tarha sharq o gharb (T: east & west) mein rahne waale Musalman, Khulafaa e rashideen ki bhi ghaaebaana namaz e janaaza padhte, magar aisa kisi se bhi manqool nahi hai.’

Ibne Qayyim ne farmaya: ‘Musalmano’n mein bahot se aise log faut hue jo Nabi e Rahmat se ghaib the magar Aap ne in mein se kisi ki gayebaana janaza adaa nahi ki.’

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame sunnat ke tarike se namaz e janaza padhne aur padhane ki taufeek ata kare. aameen.

Post a Comment