Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 Jan 2018

Namaaz Ke Arkaan, Wajibaat Aur Sunnate

✺ ARKAAN E NAMAZ

Arkaan e namaaz mei se kisi ke chhutne par namaz ya wo rakaat baatil hojayegi, chahe jaan bujh kar chhode ya bhool kar, aur wo kul choudha(14) aamaal hai.

۩1. Takbeer e tehrima-(Allahuakbar kahkar namaaz ki ibteda karna).

(Sahih al Bukhari 793, sunan Tirmizi 3)

۩2. Qayaam(khade hona).

(al-baqrah, 238, Sahih Bukhari, 1115, 1117).

Al-batta maazuri wa majboori ki surat me baith kar hatta ke let kar padhne ki ijazat hai, jaisa ke peeche guzar chuka hai, aur sawaab qayaam ke baraabar milega.

(Sahih al Bukhari, 2996) 

Nafl namaaz mei qayaam ki taaqat rakhne ke bawajood baith kar padhne ki ruqsat hai magar sawaab qayaam ke nisf (aadha) milega.

(Sahih al Bukhari, 1115)

۩3. Har rakat mei surah fatiha padhna.

(Sahih al Bukhari, 756)

۩4. Har rakaat mei ruku karna.

(al-hajj 77, Sahih al Bukhari)

۩5. Ruku se uthna.

۩6. Phir seedha khade hona.

۩7. Har rakaat mei do martaba sajdah karna.

۩8. Sajde se uthna aur dono sajdoun ke darmiyaan baithna.

۩9. Itminaan se ada karna.Mazkoora amaal ke liye daleel dekhein(Sahih al Bukhari, 793)

۩10. Tashahud me "attahiyat...."(Sahih Muslim, as-salah baab at-tashahud fis-salah)

۩11. Aakhri tashahud ke liye baithna.

(Sunan Nisai, as-sahoo, baab ejaab at-tashahud)

۩12. Aakhri tashahud mei durood-e-ibrahim padhna.

(Sahih al Bukhari, 3370)

۩13. Tamaam arkaan tarteeb se ada karna.

(Sahih al Bukhari, 793)

۩14. Salaam Ferna.

(Sunan Tirmizi, 3) 

✺WAJIBAAT E NAMAZ

Jaan bujh kar (amadan) wajibaat maise koi wajib chhodne par namaaz baatil ho jayegi, aur agar bhool kar choot jaye toh sajdah sahoo karle aur iski namaz dusrust hogi aur wo kul aanth(8) hai:

۩1 Takbeer-e-Tehrima (rukun) ke alaawa baqia takbeerat-e-namaaz waajib hai.

(Sahih al Bukhari, 733)

۩2 Munfard aur Imaam ke haq me "سمع الله لمن حمده" "sami allahu-liman hamida" kahna waajib hai.

(Sahih Muslim : as-salah baab at-tasmi wa at-tahmeed wa ta'ameen)

۩3 Rabbana wa laka’l-hamd kahna.

۩4 Ruku mei kam-az-kam ek baar " سبحان رببى العظيم" "subhaana rabbi al-azeem" ya iske alawa jo duaein masnoon hai, kahna wajib hai.

(Sunan Abu Dawood, 868, Sunan Ibn Majah 887).

۩5 Sajde mei kam-az-kam ek baar "سبحان رببى الاعلى" "subhaana rabbi al-aala" ya iske alawa jo duaein masnoon hai kahna waajib hai.

(Sunan Abu Dawood 769, Sunan Ibn Majah 778).

۩6 Dono sajdoun ke darmiyaan “Rabb ighfir li" dua padhni wajib hai.

(Sahih Muslim, az-zikru wad-dua'a, baab fazal at-tahleel wa tasbeeh, Sunan Abu Dawood 858).

۩7 Tashahhud awwal ke liye baithna waajib hai.

(Sahih al Bukhari, 1224).

۩8 Tashahhud awwal "اتتحيات لله وصصلوات " " attahiyatu lillahi was-salawatu......" padhna waajib hai.

(Sahih al Bukhari 830)


✺ NAMAZ KI SUNNATE

Namaaz ke arkaan wajibaat ke alawa baaqi aamaal Sunnat ka darja rakhte hai. In sunan mai se kisi sunnat ke chhootne par namaaz batil na hogi, chaahe jaan bujh kar chhode ya bhool kar ya jahaalat mei, albatta namaaz me kami waqe hojayegi, aur wo shaqs is sunnat ke sawaab se mehroom rahega. Lekin agar koi shaqs inme se sunnat ka sire se inkaar kare ya mazaaq udaye ya maslaki tassub ki bina par jaan boojh kar ispar amal na kare tou masla na sirf muqalifat e Rasool ﷺ ka balke kufr tak pahunch jayega.

RasoolAllah ﷺ ne mukammal namaaz yaani arkaan, wajibaat aur sunan ke saath padhi hai aur farmaya "Sallu kama ra-aitumuni usalli"(Sahih al Bukhari, 631) :yaani "waise hi namaaz padho jaise mujhe padhte hue dekha hai".

Is waaste namaaz mei jo kaam sunnat ki haisiyat rakhte hai inka bhi ehtemaam karna chahiye. Aur agar kisi society mei log in sunnatoun se nawaaqif hai, toh inhe aagah karna aur wahan in sunnatoun ko zindah karna bahot zyada ajar wa sawaab ka baaes hai. Aur galti par khamoosh rahna Allah ke nazdeek qaabil mawaqizah hai.

Pas takbeer tahrima se lekar salaam ferne tak ke jo aamaal sunnat kar darja rakhte hai inmei se chand ka zikr kiya jaa raha hai, taake masla in sunnatoun ki paabandi karke apne liye zaqeera aaqirat jama kar sake.

۩ Duae Isteftah (duaye sana) padhein.

(Sahih al Bukhari, 744)

۩ Qirat se pehle " ﺃﻋﻮﺫ ﺑﺎﻟﻠﻪ ﻣﻦ ﺍﻟﺸﻴﻄﺎﻥ ﺍﻟﺮﺟﻴﻢ" (auzbillahi min ash-shaitaan nir-rajeem) aur " ﺑِﺴْﻢِ ﺍﻟﻠﻪِ ﺍﻟﺮَّﺣْﻤﻦِ ﺍﻟﺮَّﺣِﻴﻢِِ " (bismillah hir-rehmaan nir-raheem) kahe.

(Surah al-Nahl, 98)

۩ Daayein haath ko baayein baazu par rakh kar seene par baandhein.

(Sahih al Bukhari 740, Sunan Abu Dawood 759, Musnad Ahmed 226/5).

۩ Imaam aur muqtadi sabke liye zahri qiraat mei surah fatiha ke baad buland aawaaz se aameen kahna.

(Sahih al Bukhari 780, 781, 782)

۩ Pahli aur dusri rakaat mei surah fatiha ke baad koi aur surah padhein.

(Sahih al Bukhari, 776)

Albatta teesri wa chouthi rakaat mei irf surah fatiha padhi jayegi.

۩ Namaaz me chaar(4) muqamaat par Rafa yadain karna masnoon hai : shuru namaz mei, ruku me jate waqt, ruku se uthte waqt, aur jab teesri rakaat ke liye khade ho.

(Sahih al Bukhari 736, 737,738,739)

Albatta sajde ke liye rafedain karna durust nahi.

(sahih bukhari 835, sahih muslim 390)

۩ Poori namaaz mei sajde ki jagah nazar rakhni chahiye.

(Sunan Baihaqi 283/2, Sahih ibn Khuzaima 105/2, Musnad ahmed 248/6)

۩ Ruku mei dono haathou ki ungliyan phelakar ghutnoun ko pakadna masnoon hai.

(Sahih al Bukhari 731, 790)

۩ Ruku mei haath ko pahlu se alag rakhna masnoon hai.

(Sunan Abu Dawood 734, Sunan Tirmizi 260)

۩ Ruku mei peith aur sar baraabar rakhna masnoon hai.

(Sahih al Bukhari, baab astawa az-zuhar fi ar-ruku wa eza, Sunan Tirmizi 304)

۩ Ruku wa sajde me ek baar se zyada dua padhna masnoon hai.

(Sunan Tirmizi, 261)

۩ Sajde mei raan ko peet se alag rakhna sunnat hai.

(Sunan Abu Dawood 735)

۩ Sajde mei saatoun aaza zameen par rakhna sunnat hai.

(Sahih al Bukhari 133,137)

۩ Sajde me haath ke kohniyou ko pahlu se alag rakhna sunnat hai.

(Sahih al Bukhari 807, Sunan Abu Dawood 730, Sunan Tirmizi 304)

۩ Sajde mei pair ki ungliyoun ko qible ki taraf karna sunnat hai.

(Sahih al Bukhari, 828)

۩ Sajde me dono haath kandhe ke baraabar rakhna sunnat hai.

(Sunan Abu Dawood, 734; Sunan Tirmizi, 260)

۩ Jalsa-e-Isterahat yaani dusre sajde ke baad halka baith kar phr dusri ya teesri rakaat ke liye khade hona sunnat hai.

(Sahih al Bukhari, 823)

۩ Pahle Tashahud me dayein pair ko khada karna aur bayein pair ko bicha kar uspar baithna sunnat hai.

(Sahih al Bukhari, 828)

۩ Tashahud mei daayein haath ki ungliyoun ko halqa banakar shahaadat ki ungli ko harkat dena sunnat hai.

(Sahih Muslim, Sunan Abu Dawood, 987)

۩ Aakhri Tashahud mei baaye pair ko dayein pair ke neeche se nikaal kar surain ke bal baithna sunnat hai.

(Sahih al Bukhari, 828)

۩ Tashahud ke aakhir mei durood ke baad duayein padhna sunnat hai.

(Sahih bukhari, 835).

Post a Comment