Darj e zel riwayaat ko Azeem Muhaddis Allama Muhammad Nasir Uddin Albaani r.h. ne Zaeef qaraar diya hai.
۩1. Anas r.a. se riwayat hai ke: ‘Nabi e Akram ﷺ jab baitul khulaa mein daaqhil hote to apni a’nghutee utaar dete.’
(Abu Dawood: 19 – Tirmizee: 1746).
Ye riwaayat zaeef hai is mein Ibne Juraij Mudallis hai aur wo A’an se riwaayat karta hai.
۩2. Ummal Salma r.a. se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ se sawaal kiya gaya ke kya aurat kurte aur odhnee mein namaz padhle jabke tehband na ho? Aap ﷺ ne farmaya: ‘Haa’n! agar kurta lamba hai aur qadmo’n ki pusht ko dhaa’npta hai.’
(Abu Dawood: 640)
Iski sanad mein Muhammad bin Zaid bin Qanfaz ki Maa’n Umme Haraam Majhool hai, lehaza ye hadees Marfoo aur
Mauqoof dono’n Zaeef hain.
۩3. Abu Huraira r.a. se riwayat hai Rasool ﷺ Allah ne farmaya: ‘Jab koi namaz padhe to apne saamne koi cheez rakhe, agar iske paas (rakhne ke liey) a’asaa (T: walking stick) na ho to khat (T: line) khee’nchey phir job hi iske aage se guzrega nuqsaan na dega.’
(Abu Dawood: a689)
Ye riwayyat Zaeef hai, is mein Abu Omru bin Muhammad bin Harees aur iska dada dono’n Majhool hain.
۩4. Ibne Umar r.a. se riwayat hai Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Haaeza aur Jumbi Quraan e Majeed na padhei’n.’
(Tirmizee: 131)
Ye riwaayat Zaeef hai. Ismael bin Ayaash Ahle Hijaaz se Munkar riwayaat bayan karta hai. Iska ustaad Musa bin Oqba Hijaazi hai.
۩5. Abu Huraira ra. se riwayat hai Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Har baal ke neeche janaabat hai, pas balo’n ko dho aur badan ko paak karo.’
(Abu Dawood: 248)
Is riwaayat mein Haaris bin Wajeeya hai jo Zaeef hai.
۩6. Rasool Allah ﷺ kulli karne ke liey aur naak mein paani daalne ke liey alag alag paani lete.
(Abu Dawood: 139)
Ye riwaayat Zaeef hai, is mein Lais bin Abi Saleem Haneef Mudallis hai aur wo A’an se riwaayat karta hai.
۩7. Oqba bin Amir al Jani r.a. Rasool Allah ﷺ se riwayat karte hain ke: ‘Jis ne acchi tarha wazu kiya phir apni nigaah asmaan ki taraf uthaa kar shahadatain padaha is ke liey jannat ke aatho’n darwaze khol diey jaate hain.’
(Abu Dawood: 170)
Ye riwayat Zaeef hai, kyou’nke Abu Aqeel ka chachaa zaad bhai Majhool hai.
۩8. Abu Huraira r.a. riwayat karte hain ke: ‘Koi shaqs wazu ke baghair azaan na de.’
(Tirmizee: 200,201)
Is silsile ki dono’n riwayaat Zaeef hain, ek riwayat mein Muaviya bin Yahya al Sadfi hai jo Zaeef hai aur doosri riwayat Muqate hai, kyou’nke Ibne Shahaab Zohri ki Abu Huraira se samaa‐at saabit nahi.
۩9. Ziyaad bin Haaris r.a. Sadaai bayan karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jo shaqs azaan kahe wohi takbeer kahe.’
(Tirmizee: 199 – Abu Dawood: 514)
Abdur Rahman bin Ziyaad al Afriqee ke Zoa’af ki binaa par ye riwayat Zaeef hai.
۩10. Bilaal r.a. ne aqaamat kahi, jab Qad Qaamatis Salah kaha to Rasool Allah ﷺ ne Aqaamallah wa Adaamahaa kaha.
(Abu Dawood: 528)
Ye riwayat Zaeef hai is riwayat mein Rajul Min Ahlis Shaam ‐ Majhool hai aur Muhammad bin Saabit Zaeef hai.
۩11. Hazrat Ali r.a. se riwayat hai ke sunnat ye hai ke haath naaf ke neeche rakhe jaei’n.
(Abu Dawood: 756)
Ye riwaayat Zaeef hai, kyou’nke Ziyaad bin Zaid Majhool hai aur Abdur Rahman bin Ishaaq al Koofi ko jamhoor muhaddiseen ne Zaeef kaha hai.
Dalail: [http://asmaur-rijaal.blogspot.com/2013/02/abdur-rahmaan-bin-ishaaq-bin-al-haarith.html]
۩12. Abu Huriara r.a. farmate hain ke ‘Namaz mein hath naaf se neeche rakho.’
۩12. Abu Huriara r.a. farmate hain ke ‘Namaz mein hath naaf se neeche rakho.’
Is riwaayat mein bhi Abdur Rahman bin Ishaaq al Koofi hai, jo Zaeef hai.
Dalail.
[http://asmaur-rijaal.blogspot.com/2013/02/abdur-rahmaan-bin-ishaaq-bin-al-haarith.html]
۩13. Sayyadna Ali r.a. se riwayat hai, Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Namaz mein apni ungliyo’n ko na chatqhaao.’
[http://asmaur-rijaal.blogspot.com/2013/02/abdur-rahmaan-bin-ishaaq-bin-al-haarith.html]
۩13. Sayyadna Ali r.a. se riwayat hai, Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Namaz mein apni ungliyo’n ko na chatqhaao.’
(Ibne Majja: Iqaamatis Salah 965)
Iski sanad mein Haaris bin Abdullah al Oud hai aur wo Zaeef hai.
۩14. Abu Huraira r.a. se riwayat hai Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jo shaqs Watteeni waz Zaitoon ki tilaawat karte hue Alaisallahu Bi Ahkamil Haakimeen kahe to ise caahiey ke kahe Balaa wa Anaa A’alaa Zaalika Minash Saahideen aur jab Surah Qiyaama ki tilaawat karte hue ye aayat Alaisa Zaalika Biqaadir A’alaa Ai’n Yuhyil Mauta padhe to jawaab mein kahe Balaa.’
(Abu Dawood: 887 – Tirmizee: 3347)
Abu Huraira r.a. se sunne wala Eraabi Majhool hai, lehaaza riwaayat Zaeef hai.
۩15. Abdullah bin Masood r.a. se riwayat hai Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jo koi rukoo mein 3 baar Subhaana Rabbiyal Azeem kahe to iska rukoo poora hoga aur ye adna darja hai aur jo koi sajda mein 3 baar Subhaana Rabbiyal A’aala kahe to iska sajda poora hogaya aur ye adna darja hai.’
(Tirmizee: 261 – Abu Dawood: 886)
Riwayat Zaeef hai, kyou’nke Oun bin Abdullah ki Ibne Masood r.a. se mulaqaat saabit nahi, lehaaza sanad Munqata hai aur Ishaaq bhin Yazeed Majhool hai.
۩16. Wael bin Hajar r.a. se riwayat hai: ‘Rasool Allah ﷺ jab sajda karte to apne ghutne apne hatho’n se pehle rakhte aur jab saja se uth‐te to hatho’n ko ghutno’n se pehle uthaa‐te.’
(Abu Dawood: 736,838,839 – Tirmizee: 268)
Iski 1 sanad mein Abdul Jabban bin Wael hai, jis ne apne waalid se kuch nahi suna, doosri sanad mein Shareek Al Qaazi hai jo Zaeef aur Mudallis hai aur A’an se riwayat karta hai.
۩17. Abdullah bin Zubair se riwayat hai ke ‘Rasool Allah ﷺ (tashahud mein) apni ungli ko harkat nahi dete the.’
(Abu Dawood: 989)
Muhammad bin A’ajlaan Mudallis hai aur A’an se riwaayat karta hai.
۩18. Abdullah bin Masood r.a. riwayat karte hain ke: ‘Rasool Allah ﷺ 2 rakato’n ke baad (tashahud mein) is tarha baith‐te goya garam pattahr par baithe hue hain, yaha’n tak ke khade hojaate.’
(Abu Dawood: 995 – Tirmizee: 366)
Iski sanad Munqate hai kyou’n ke Abu Obaidah ne apne waalid se kuch nahi suna.
۩20. Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jab tumhei’n namaz mein shak ho ke 3 padhi hain ya 4 aur ziyaada gumaan 4 rakat ka ho to samal ferne se pahle 2 sajde karo, phir tashahud padhi phir salaam phero.’
(Abu Dawood: 1028)
Riwaayat Zaeef aur Munqate hai, Qhaseef Zaeef hai aur Abu Obaidah ne apne baap se kuch nahi suna.
۩21. Abu Huraira r.a. se riwayat hai Rasool Allah ﷺ ne farmaya ke: ‘Farz namaz har musalman ke peeche waajib hai caahe nek ho ya bad aur caahe wo kabeera gunah kare.’
(Abu Dawood: 594)
Riwaayat Zaeef hai kyou’nke Makhool ne Abu Huraira se kuch nahi suna.
۩22. Saaeb bin Yazeed r.a. se riwayat hai ke ‘jab Rasool Allah ﷺ juma ke din mimbar par baith‐te to masjid ke darwaze par azaan di jaati.’
(Abu Dawood: 1088)
Is riwayat mein Muhammad bin Ishaaq Mudallis hai aur A’an se riwayat karta hai, alaawa azee’n ye mimbar ke paas azaan dene ki mefooz riwayat (Tibraani V7 P146) ke khilaaf bhi hai.
۩23. Abu Huraira r.a. bayan karte hain: Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Juma is shaqs par farz hai jo juma padh kar raat ko waapas apne ahel o ayaal me aasake.’
(Tirmizee: 502)
Abdullah bin Saeed al Maqbari Matrook, Hajjaj bin Sasar aur Ma‐aarak bin Abaad Zaeef hain.
۩24. Abdullah bin Umar r.a. se riwayat hai ke ‘Juma is shaqs par laazim hai jo azaan ki awaaz sune.’
(Abu Dawood: 1056)
Is riwayat mein Abu Salma bin Nabiya aur Abdullah bin Haroon Majhool hain.
۩25. Abu Huraira r.a. se riwayat hai ke ‘Eid ke din barish thee is liey Rasool Allah ﷺ ne masjid mein namaz Eid padhaai.’
(Abu Dawood: 1160)
Is riwaayat mein Isa bin Abdul A’aala Majhool hai.
۩26. Takbeerat Eid ke alfaaz:
Allahu Akbar Allahu Akbar, Laailaaha Illallahu Wallahu Akbar Allahu Akbar wa Lillahil Hamd ke masnoon hone ki koi daleel nahi hai. Daarequtnee mein in alfaaz ki saraahat aai hai lekin Imam Zahabi ne ise Saqht Zaeef balke Mauzoo kaha hai.
۩27. Buraida r.a. se riwayat hai Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Witr haq hai jo witr na padhe wo ham mein se nahi, Aap ne 3 baar farmaya.’
(Abu Dawood: 1419)
Is mein Abdullah bin Abdullah al Munkee al Maruzee Zaeef hai.
۩28. Aisha r.a. bayan karti hain ke Rasool Allah ﷺ witr ki 2 rakat par salam nahi pherte the.
(Nasai: 1698)
Is mein Qataada Mudallis hai jo A’an se riwaayat karta hai.
۩29. Aisha r.a. se riwayat hai ke ‘Rasool Allah ﷺ ne safar mein Qasr kiya aur poori namaz bhi padhi.’
(Shareh As Sunnah – Daarequtnee – Baheqhee)
Ek sanad mein Talha bin Umroo hai jo Zaeef hai, Doosri sanad mein Saeed bin Muhammad bin Tawaab hai jiski Jarah o Ta’adeel maujood nahi.
۩30. Abdullah bin Abi Oofi r.a. kehte hain ke Rasool ﷺ Allah ne farmaya: ‘Jis shaqs ne Allah Ta’ala se ya kisi insaan se haajat ho to wuzu kare phir 2 rakat padhe aur phir ye dua kare.’
(Tirmizee: 479 – Ibne Majja: 1384)
Is mein Faaed bin Abdur Rahman Matrook hai.
۩31. Ma’aqal bin Yasaar r.a. se riwayat hai Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Apne murdo’n par Surah Yaseen padho.’
(Abu Dawood: 3121)
Abu Osmaan aur iska waalid Dono’n Majhool hain.
In tamam riwayaat pe jo comments kiye gaye hai wo Sheikh Albani ke hai jo ki boht bade Muhaddith hai. Zaif raawio par Muhaddiths ke comments padhne ke liye Asmaa ur Rijaal ki site dekhe: http://asmaur-rijaal.blogspot.com/
Post a Comment