Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

2 Jan 2018

Namaz Ki Sunnato Ka Bayan


۞ Namaz Ki Sunnato’n Ka Bayan

Hurais bin Qabisah riwayat karte hai ki,

Mai Madeene aaya, mai ne kaha, Aye Allah mujhe nek aur saaleh sathi naseeb farma, chunanche Abu Hurairah r.a. ke paas baithna muyassar ho gaya, Maine un se kaha, 'Maine Allah se dua mangi thi ke mujhe nek sathi ata farma, toh Ap mujhse koi aisi hadees bayan kijiye, jise Ap ne RasoolAllah ﷺ se suni ho, shayad Allah mujhe isse faida pohnchaye.' Unhone kaha, Maine RasoolAllah ﷺ ko farmate suna hai, 'Qayamat ke roz bande se sab se pahle uski namaz ka hisab hoga, agar woh thik rahi to qamyab ho gaya, aur agar woh kharab nikli toh woh nakaam aur namuraad raha, aur agar uski farz namazo me koi kami aayi hogi toh Rab Azzawajal (farishto se) farmayega, dekho, mere is bande ke paas koi nawafil namaz hai? Chunanche farz namaz ki kami ki talaafi us nawafil se kar di jayegi, fir isi andaz se saare aamaal ka hisab hoga.'

Jamia Tirmizi, kitab as salaat ﴾2﴿, hadees- 413. Ise Imam Tirmirzi ne iski sanad ko hasan gareeb aur Darussalaam ne is hadees ko sahih karaar diya hai.


۞ Nafil Aur Sunnatei’n Ghar Mein Padhna Afzal Hai

Zaid bin Sabit r.a. se riwayat hai ki Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Farz namaz ke alawa baaqi namaz ghar mein padhna afzal hai.’

(Bukhari: 731 – Muslim: 781)

Abdullah bin Saad r.a. se riwayat hai ke main ne Rasool Allah ﷺ se daryaft kiya ke nafil namaz ghar mein padhna afzal hai ya masjid mein?
Aap ﷺ ne farmaya ke: ‘Kiya tum nahi dekhte ke mera ghar masjid ke kis qadr qareeb hai iske bawajood faraaez naamz ke alaawa mujhe ghar mein namaz padhna ziyada pasand hai.’

(Ibne Majah: Iqaamatis Salah 1378). Imam Buseeri aur Imam Ibne Khuzaima ne ise Saheeh kaha.

Nabi e Akram ﷺ ne farmaya: ‘Jab tum masjid mein namaz padho to namaz ka kuch hissa (nawaafil, sunnatei’n) apne gharo’n mein padho, Allah is namaz ke sabab ghar mein bhalaai dega.’

(Muslim: Salatul Musafireen 778)

Abdullah bin Umar r.a. se riwayat hai Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Apni namazo’n ka kuch hissa apne gharo’n mein padho (jaise qabrastan namaz se khali hote hain aise hi) apne gharo’n ko qabrastan na banaao.’

(Bukhari: 432 – Muslim: 777)


۞ Mokkedah Sunnatei’n – Bahisht Mein Ghar

Umme Habeeba r.a. kahti hai ke RasoolAllah ﷺ ko farmate hue suna, “Jis ne ek din aur raat me barah (12) rakat ada ki us ke liye un ke badle jannat me ek ghar bana diya jata hai.” Ap r.a. mazeed farmati hai, 'Jab se maine in ke bare me rasoolallah se suna, maine inhe kabhi ark nahi kiya'.

Sahih Muslim, kitab salat al musafireen wa qasar ﴾6﴿, hadees- 1694.

Abdullah bin Shaqiq r.a. riwayat karte hai ke maine Ayesha r.a. se Rasool Allah ﷺ ke nawafilo ka haal daryaft kiya toh Ayesha r.a. ne kaha, ‘Rasool Allah ﷺ mere ghar mein Zohar se pehle 4 rakate padhte the, fir Aap nikalte aur logo ke sath (zohar ke farz) padhte, fir (ghar me) dakhil hote aur 2 rakat namaz padhte. Aap logo ke sath maghrib ki namaz padhte, fir (ghar mein) dakhil hote aur 2 rakat (sunnat) padhte, fir Aap logo ke sath Isha ki namaz padhte, fir (ghar mein) dakhil hote aur 2 rakat namaz padhte aur raat ko Aap 9 rakat (Tahajjud ki) namaz padhte in me witr bhi hota tha aur jab subha namudaar hoti to (namaz e Fajr se pahle) 2 rakat (nawafil) padhte.’

Sahih Muslim, kitab salat al musafireen wa qasar ﴾6﴿, hadees- 1699.

Abdullah bin Umar r.a. farmate hain ke main ne Rasool Allah ﷺ se 10 rakatei’n yaad ki, Zohar se pehle 2 rakat, 2 rakat Zohar ke baad, 2 rakat Maghrib ke baad, 2 rakat Isha ke baad aur 2 rakat Fajr se pehle.

(Bukahri: al Tahajjud 1180 – Muslim: Salatul Musafireen 729)

Ummul Momineen Umme Habeeba r.a. se riwayat hai ki Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jis ne Zohar se pehle 4 rakat aur Zohar ke baad 4 rakat ki hifaazat ki is par jahannam ki aag haraam hai.’

(Abu Dawood: al Tatwoo 1269)

Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Raat aur din ki (nafil) namaz do (2) do (2) rakatei’n (padhi jaati) hain.’

(Abu Dawood: Abwab al Tatwoo 1295) Imam Ibne Khuzaima aur Imam Ibne Hibban ne ise Saheeh kaha.

Maloom hua ke 4 rakat sunna do (2) do (2) karke adaa karni chahiey.

۩ ASR SE PEHLE 4 RAKAT:

Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jo shaqs Asr se pehle 4 rakat (sunnat) padhe, Allah is par rahmat kare.’

(Tirmizee: al Salah 430 – Abu Dawood: Abwab al Tatwoo 1271) Ise Imam Ibne Khuzaima, Imam Ibne Hibban aur Imam Nawavi ne Saheeh kaha.

Ali r.a. se riwayat hai Rasool Allah ﷺ Asr se pehle 4 rakat padhte the aur 2 rakat ke baad tasshahud aur dua padh kar salam pherte the.

(Tirmizee: 429) Imam Tirmizee ne Hasan kaha.

۩ MAGHRIB SE PEHLE 2 RAKAT:

Abdullah al Maznee r.a. riwayat karte hain ki Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Maghrib ki (farz) namaz se pehle namaz padho, Aap ne 3 baar farmaya aur teesri baar kaha jiska dil chaahe, ye is liey farmaya ke Aap naapasand karte the ke log isko sunnat e mokkeda banaalei’n.’

(Bukhari: Abwab al Tahajjud 1183)

Sayyadna Anas r.a. se riwayat hai ke Madeena mein muezzin Maghrib ki azan kehta, ham sab sunnato’n ki taraf daudte aur 2 rakatei’n padhte. Log is kasrat se 2 rakatei’n padhte ke ajnabi ye guman karta ke Maghrib ki jamat ho chuki hai.

(Muslim: Salatul Musafireen 837)

Marsad bin Abdullahr.a., Oqba r.a. ke paas aae aur kaha: ‘Kya ye ajeeb baat nahi ke Abu Tameem r.a. Maghrib ki namaz se pehle 2 rakat padhte hain?
Oqba r.a. ne kaha ke ham bhi Rasool Allah ﷺ ke zamane mein padhte the. Inho’n ne poocha: Ab kyo’n nahi padhte?
Kehne lage ke masrufiyat (ki wajah se).’

(Bukhari: al Tahajjud 1184)


۞ Fajar Ki Sunnato’n Ki Fazeelat

Sayyada Aisha r.a. kehti hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Fajar ki 2 sunnatei’n duniya aur jo kuch duniya mein hai, is se behtar hain aur mujhe fajar ki 2 rakat (sunnatei’n) saari duniya se ziyada mehboob hain.’

(Muslim: Salatul Musafireen 1688)

Sayyada Aisha r.a. se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ Nawaafil (sunan) mein se kisi cheez par itni muhafizat aur mudawemat nahi karte the jis qadr Fajr ki 2 sunnato’n par karte the.

(Bukhari: al Tahajjud 1169 – Muslim: Salatul Musafireen 724)

Rasool Allah ﷺ jab Fajr Ki 2 sunnatei’n padhte to daei’n pehlu par let‐te the.

(Bukhari: al Azan 626 – Muslim: Salatul Musafireen 7366)

Hafiz ibne Hajar raheemaullah farmate hain ke salaf mein se baaz masjid ki bajaae ghar mein daei’n pehlu letna mustahab jaante the, kyo’nke Rasool Allah ﷺ se ye zikr nahi milta ke Aap masjid mein daei’n pehlu let‐te the. (Fathul Baari)


۞ Sunnato’n Ki Qaza

Ummul Momineen Umme Salma r.a. bayan karti hain ke main ne Rasool Allah ﷺ se suna ke Aap Asr ke baad namaz padhne se mana karte the phir main ne dekha ke Aap ne Asr ki namaz ke baad 2 rakatei’n padhei’n main ne aap se iski wajah poochi to Aap
ne farmaya: ‘Baat ye hai ke mere paas qabeela Abdul Qais ke log (ehkaam e deen seekhne ke liey) aae the inke sath (meri masroofiyat ne) mujhe Zohar ke baad ki 2 rakat sunnato’n se baaz rakha pas ye wo dono’n thei’n (jo main ne Asr ke baad adaa ki
hain)’

(Bukhari: al Sahoo 1233 – Muslim 834)

Fajr Ki Sunnatei’n Farzo’n Ke Baad Padh Sakte Hain:

Agar aap aise waqt masjid mein paho’nche ke jamat khadi hogai ho aur aap ne sunnatei’n na padhi ho’n to is waqt sunnatei’n mat padhei’n kyou’nke Rasool Allah ne farmaya: ‘Jab namaz ki aqaamat (takbeer) ho jaae to farz namaz ke alawa koi namaz nahi hoti.’

(Muslim: Salatul Musafireen 710)

Aisi soorat mein aap jamat mein shamil ho jaaei’n aur farz padh kar sunnatei’n padh lei’n. Chunache Rasool Allah ne 1 shaqs ko subha ki farz namaz ke baad 2 rakatei’n padhte hue dekh kar farmaya: ‘Subha ki (farz) namaz 2 rakatei’n hain (tum ne mazeed 2 rakatei’n kaisi padhi hain?). Is shaqs ne jawab diya. Main ne 2 rakatei’n sunnat (jo farzo’n se pehle hain) nahi padhi
thei’n. Inko ab padha hai. (ye sun kar) Aap ne farmaya: Phir koi harj nahi.’

(Abu Dawood: al Tatwee 1267 – Ibne Majja 1154 – Ibne Khuzaima 1116) Ise Imam Ibne Hibban, Imam Haakim V1 P274‐275 aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.

1 Shaqs masjid mein aaya Rasool Allah subha ke farz padh rahe the. Is ne masjid ke 1 kone mein do rakat sunnat padhi. Phir jamat mein shamil hogaya. Jab Aap ne salam phera to farmaya: ‘Tum ne farz namaz kis ko shumar kiya jo akele padhi thi is ko ya jo hamare sath jamat se padhi hai?’

(Muslim: Salatul Musafireen 712)

Maloom hua ke farz hote waqt sunnato’n ka padhna durust nahi hai.

•٠•●●•٠•

Post a Comment