اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 Jan 2018

Namaz Me Aurat Ka Libas Kitna Hona Chahiye?


Namaz ke liye har wo libas sharai hain jo chehra aur hatheliyo ke alawa baki sare jism ke liye satar aur dhila dhala ho, jism ke kisi azu ko numaya na karta ho.

Namaz ke liye sare badan ko dhapne wale libas ki shart Umme Salma razi allahuanha ki riwayat main hain ke jab unse daryaft kiya gya ki aurat kis libas main namaz ada kary toh unhone jawab diya aurat ko namaz dupatte aur aese libas main ada karni chahiye jismain uski baho ka uper wala hissa bhi chip jaye.

Sunan Abu Dawood, hadith-639.

Aur fir RasoolAllah ﷺ ka farman hain Allah tala balig aurat ki namaz oudhni ke bagair qubul nahi farmata.

Sunan Abu Dawood hadith-641, Sunan Tirmizi hadith-377, Sunan ibne Majah 655.  Aur Allama Albani rehmatullah ne sahi al Jami hadith- 7747 me ise sahih qarar diya hain.

Chunache libas chehre ke alawa baqi sare badan ke liye satar hona zaruri hain aur ulema e kram ka ikhtilaf hain ki namaz main aurat ke liye hatheliya aur qadam chipana wajib hain ya nahi? Jamhuri ulema e ikram hatheliyo ko chipana wajib nahi samajhte, jab ki Imam Ahmad se iss bare main do riwayat hain aur sheikh ul Islam Ibne Taymiya rahematullah ne adam wajub ko ikhtiyar kiya hain aur "al-nasaf" main inhone ye bhi kah diya hain key yahi mokuf durust hain, jabki qadmo ke bare main jamhuri maliki, shafai, hambali inhe dhapne ke kayal hain, isi par. Daimah fatawa committee (6\178) ka fatwa hain.

Aur sheikh ibne Baaz rehmatullah alehe kahte hain, "Namaz main chehre ke alawa aurat ka sara jism satar hain, jab ki hatheliyo ke bare main ulema ikram ka ikhtilaf hain, baaz ulema ne inhe bhi chipana wajib qarar diya hain, aur baaz ne khula rakhne ki izazat di hain in shaa Allah is masle me bhi wus'at hain, lekin khula rakhne se chipana afzal hain, taaki is masle par ulema ikram ke ikhtilaf bacha jaye jabki jamuhri ahhle Ilm ke yaha namaz main qadmo ko chipana wajib hain" intahi.

Majmua Fatawi ibne baaz, (410\10).

Aur Imam Abu Hainfa, Imam Shuri, Mazni rahimeullah namaz main aurat ke kadmo ko khula rakhne ke kayal hain Sheikh ul Islam Ibne Taymiyya ne "al-nasaaf" main isi mauquf ko ikhtiyar kiya hai, Sheikh Ibne Uthaymeen rahimullah sharah al mumtaha (2\161) main khete hain.

Is masle main koi wajeh dalail nahi hain isilye Sheikh ul Islam ibne Taymiyya rehmatullah kahte hain "Azad aurat ko mukammal taur par satar hain sirf wo iza jo apne ghar main khule rakh sakti hain yani chehra,hatheliya aur qadam satar nahi." aur unhone ye bhi kaha hain ke RasulAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke daur main aurte gharo main kamiz pahna karti thi aur har aurat ke pass do kapde nahi thi isiliye jab use haiz ata toh toh wo usey dhoker us libas main bhi namaz ada karti thi toh is tarha qadam aur hatheliya namaz main satar nahi iska matlab ye nahi ki qadam aur haath par nazar dali ja sakti hain.

Aur is bina par ke is masle main koi aesi dalil nahi jis per nafs mutmain ho aur chahe aurat ka libas itna lamba ho ki wo zamin par lag raha ho lekin sajda karte waqt us ke pao ke niche ka hissa khul hi jayega.

"intahai mazid tafsil dekhne ke liye aap Al Mugni "(349\1) al majmua (171\3) bida al sanaah (121\5) al-nasaaf (452\1) aur majmua al fatawa ibne Taymiyya (114\22) dekhye.

Aur agar libas itna bark ho ke wo niche se badan ko zahir kare aur us ke niche jild ka rang zahir hota ho toh ye libas baa'as parda nahi hoga. "rozta al talibeen" Az:Nawawi (284\1) aur Al Mugni (286|2).

Is ki dalail Abu Huraira razi allahu anha bayan karte hain ki RasulAllah ﷺ ne farmaya jahannamiyo ki do kisme maine abhi tak nahi dekhi ek wo qoum jis ke pass gaaye ki dumo ki tarha durre honge wo isse logo ko marte honge aur dusri kism libas pehenne ke bawajud nangi aurte.

Sahih Muslim, hadis number-2128.

Hadis ke lafz "kasiyat aariyat" ke bary main imaam Nawawi rehmatullah " al majmua " (4\3998) main kahte hain iski wazahat ma kaha gaya hain ki "Wo itna barikh libas pahne jo uske badan ka rang waajeh kare" aur yahi ma'aane pasandida hain intihai.

Aur Ibn 'Abd al-Barr rahimullah "altamhid" (13\204) mai kahte hain hadis ke alfaz "kasiyat aariyat" ka mana ye hain ki RasoolAlah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke is jumle se murad wo aurate hain jo itna baarik libas pahenti hain jo un ke badan zahir kare aur chipaye na wo naam ke aetbaar se toh libas pahne hue ho lekin haqiqat main nangi hogi."

Aurat ka libas khula aur lamba chaura hone ki dalil Usama bin Zaid raziallahu anha ki hadis hain wo bayan karte hain ki Nabi ﷺ ne mujhe ek kabti libas pehenne ke liye diya jo unhe dahiy kalbi ne bataur hadiya diya tha chunanche maine wo libas apni biwi ko pahna diya toh RasulAllah ﷺ ne farmaya,"tum wo kabti libas kyu nahi pahente?", Toh maine arz kiya wo toh maine apni biwi ko de diya toh RasulAllah ﷺ ne farmaya,"Use kaho ke wo iske niche samiz pehne, mujhe khadsah hain ki wo is ke jism ki haddiyo ki sakht aur jama wazeh karegi."  ImamBaihaqi ne sunan al Kubra (2\234) me riwayat kiya aur Albani ne"jabab al muraat al Muslimah (131) me Hasan qarar diya hain.

Sheikh Saleh al Fauzan kehte hain,"Aesa tang libas jo jism ke aaza aur aurat ke jism aur uske sarin aur pichle hisse aur jism ke saare jodo ke hajm ko zahir kare pehenna jaiz nahi, tang aur chust libas na to mardo ke liye pehenna jaiz hain aur na hi aurto ke liye lekin aurto ke liye aesa libas pehenne ki mumaniyat zyada shadeed hain, kyuki unke sath fitna aur zyada hota hain.

Lekin aese libas main namaz ada karne ke mutalik ye hain ke agar kisi sakhs ne aese libas main namaz ada ki aur uska satar us libas main chipa hua ho toh us ki namaz sahih hogi kyuki satar chipa hua hain, lekin aesa tang libas pehenne par wo gunahgar hoga isliye ki libas tang hone ke binah par namaz ke kawanin main kuch khalal paida hoga ye toh ek janib se hain aur dusri janib se ye fitne ka bais bhi hain aur fir aese libas wale ki taraf nazre bhi uthne ka ba'ees banega khas kar jab aesa libas aurat pehen le toh aur bhi shadid fitne ka bais banegi. Isiliye aurat par wajib aur zaruri hain ki khula libas pehenne ki apne apko chipa kar rakhe, aur uske kisi bhi azu ka hajm zahir na hota ho. Aur nahi uska libas baarikh aur shafaq ho, balki aurat aesa libas zaib tan kare jo uske saare jism ke satar ko chupa kar rakhe.

Al mantaqi min fatawi al sheikh Saleh al Fauzan (454\3).
Unknown said...

Agar libaas ke aastin chote ho toh odhni se dhaanlle toh namaaz hogi?

Faisal Khan said...

Ji Ho jayegi bas is baat ka khayal rakhe ki wo odhni itni bareekh na ho ke jism ka hissa numaya ho. wa Allahu alam.