اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 Jan 2018

Namaz Me Muktadi Ke Aage Se Guzarne Ke Ahkaam


Sawal- Jab koi shaks Masjid e Haram me namaz adaa kar raha ho, namaz farz ho ya nafil aur namaz adaa karne wala muqtadi ho ya munfarid, iske aage se guzarne ke baare me kya hukm hai?

Jawab:

Masjid e haram ya kisi bhi dusry jagah masjid me muqtadi ke aage se guzarne me koi harj nahi (kyun ke imaam ka sutrah unke liye sutrah hai). 

 Hazrat ibn e Abbas r.a. jab Nabi ﷺ ki khidmat me gadhe par sawar ho kar hazir hue  is haal me ke Aap ﷺ mina me logon ko kisi diwaar ki maujudgi ke baghair namaz padha rahe the, to Hazrat ibn e Abbas r.a. gadhe par sawaar, saff ke aage se guzar gaye aur kisi ne inhe mana na kiya.

(Narrated by al-Bukhaari, 472; Muslim, 504).


Imam Bukhari ne Is hadith ka baab “Sutrat al-Imaam sutrat man khalfahu" bandha hai jiska matlab "Imam ka sutrah un ke piche logo ka sutrah hai."

Lekin Namazi agar Imaam ya munfarid ho to is ke aage se guzarna jayez nahi, na masjid e haram me aur na kisi dusry jagah  kyun ke dalail ke umoom ka yahi taqaza hai aur aisy koi daleel nahi jis se ye maloom ho ke makkah ya masjid e haram me namazi ke aage se guzarne me koi nuqsaan nahi ya isse guzarne wala gunahgar nahi hota.

Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Agar namazi ke saamne se guzarne wale ko guzarne ki saza maloom hojae to ise ek qadam aage badhne ki bajae 40 tak waheei’n khade rahna pasand ho.

Abu an Nasr رضي الله عنه ne kaha ke mujhe yaad nahi raha ke Basar bin Saeed ne 40 din kahe ya 40 maheene ya 40 saal.’

(Bukhari: al Salah 510 – Muslim: al Salah 507).

Is topic ko detail me janne ke liye Sheikh Muhammed Salih Al-Munajjid ka fatawa padhe- http://islamqa.info/en/3404

Wallahu Alam

Allah hame Deen ki baarikhiya samajhne aur samjhane ki taufeek inayat farmaye. aameen.

•٠•●●•٠•