Abu Huraira r.a. se riwayat hain ke ek Qabeela ke do shaqs ek saath Musalman hue, in mein se ek Jihad fi sabeelillah mein shaheed hogaya aur doosra ek saal ke ba’ad faut hua. Talha r.a. kahte hain ke mai ne khuwab me dekha ke wo sahab jin ka ek saal baad inteqal hua is shaheed se pahle Jannat me daakhil hogae. Mujhe bada ta’ajjub hua ke shaheed ka rutba toh bohot buland hai is liye Jannat me ise pahle daakhil hona chahiye tha. Main ne khud hi RasoolAllah ﷺ ki khidmat mein arz kiya (ya’ani is taqdeem o taqhair ki wajah poochi),
Toh Aap ﷺ ne farmaya: Jis shaqs ka ba’ad me inteqaal hua kya tum is ke nekiya’n nahi dekhte kis qadr zyada hogaei’n? Kya is ne ek Ramadan ke roze nahi rakhe? Aur (saal bhar ki farz namazo’n ki) 6 hazar aur itni itni raka’atei’n ziyada nahi padhei’n? (in namazo’n aur rozo’n ki barkat se wo jannat mein pehle chala gaya).
Musnad Imam Ahmad Volume-2 Page-333, 838. Imam Munzari V-1, Page-244 aur Imaam Haisimi V-10, Page-207 ne ise Hasan kaha hai.
Yahi kissa Talha bin Abdullah r.a. khud zara tafseel se bayan karte hain ke ye qissa kis darja eeman afroz aur namaz ki raghbat dilaane wala hai. Talha r.a. kahte hai ke main ne subha logo’n ko apna khwab sunaya. Sab ko is baat par ta’ajjub hua ke shaheed ko (jannat jane ke) ijaazat ba’ad mein kyou’n mili? Halaa’nke ise pahle milni chahiye thi. Logo’n ne Rasool Allah ﷺ se dariyaft kiya, Aap ﷺ ne farmaya: ‘Is me ta’ajjub ki koi baat nahi hai, Bataao! Kya ba’ad wale shaqs ne ek saal ibaadat (ziyada) nahi kiya ? Is ne ek Ramadan ke roze nahi rakhe? Is ne ek saal ki namazo’n ke itne itne sajde zyada nahi kiye?
Sab ne arz kiya. Jee haan Allah ke Rasool ﷺ! Toh Aap ﷺ ne farmaya: Fir to in do’no ke darmiyan zameen o asmaan ka farq hogaya.’
Sunan Ibn Majah, Hadith- 3925, Ibn e Hibban aur Sheikh Zubair Ali Zai ne is hadith ko Sahih kaha.
Allah se dua hai ki wo hame aesi umr ata kare jisme ham ache se ibadat kar sake. aameen.
Post a Comment