Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

6 Jan 2018

Qayamat Ke Din Ke Panch (5) Sawal


Alhamdulillah..

Quran aur sunnat se ye baat sabit hai ke jab ek shaks faut hota hai to use apne har chote-bade gunah ka hisab dena hota hai jo usne is dunya me kiye, chahe wo khair ka kaam ho ya bura kaam. Use nek amal ke liye jaza e khair diya jayega aur bure kaamo ke liye saza diya jayega. 

Uske hisab-kitab ki pahli manzil kabr hai. Kabr me usse sawal kiye jayenge. In sawalat ko detail me janne ke liye ye article padhe: KABR ME SAWAL JAWAB AUR AZAB-E-KABAR KA BAYAN

Fir Qayamat ke din bhi use apne aamaal ka hisab-kitab dena padega, chahe wo chote amal ho ya bade, iske ba-wujud ke usse kabr me sawaal ho chuka hai. Sabse pahli jis chiz ki puch hogi wo hogi uski namaz ke bareme.

Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Amal me Sabse Pahli chiz jiske bare Qayamat me sawal hoga wo hogi, 'Namaz'. Allah Tala Farishto se farmayega, jabki use sabse zyada ilm hoga, 'Mere bande ki namaz dekho, Kya wo muqammal hai ya usme kami hai?' Agar wo muqammal hui to use muqammal darj kardi jayegi, lekin agar usme koi kami hui to Allah kahega, 'Dekho kya (mere bande ki) koi nawafil (sunnate, witr,etc) namaze maujud hai.' Agar uski nawafil namaze maujud hongi to Allah kahega, '(Mere bande ke) Farz namaz ki kami ko nawafil namaz se puri kardi jaye.' Aur fir baaki aamaal ka hisab bhi isi tarha hoga."

Narrated by Abu Dawood, 864; classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh Abi Dawood, 770.

Note: Arabic me nawafil ka matlab farz ke alawa, gair-farz (ibadat) hoti hai jaise sunnate, witr, wagaira.

Qayamat ke din aur bhi aamalo ki puch hogi, inko milakar:

Ibn Mas’ood r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Adam ki aulad ko apne jagah se jaane nahi diya jayega jab tak ke usse ye panch (5) sawalaat na puch liye jaye: uski zindagi ke bareme aur usne ye kaise bitayi, uski jawani ke bareme aur usne ise kaise istemal kiya, uske maal ke bareme- usne kaise ise kamaya aur kaha kharch kiya, aur usne apne ilm par kitna amal kiya."

Narrated by al-Tirmidhi, 2422; classed as hasan by al-Albaani in Saheeh al-Tirmidhi, 1969.

Aur Allah pak farmate hai,

Aur us din (ka zikr karo) jab unhe bulaya jayega aur pucha jayega, "Tumne apne Rasool (ke pukar ka) kya jawab diya tha?"

al-Qasas 28:65.

•٠•●●•٠•

Ye kuch sawalaat hai jinki puch hogi qayamat ke din. Allah se dua hai ki hame wo itni hidayat, ilm aur amal de jisse ham in sawalo ka jawab de sake. aameen.