اقرأ باسم ربك الذي خلق

6 Jan 2018

Rafa Yadain Par 10 Sahaba E Karaam Ki Gawahi


Alhamdulillah wassalato wassalaam ala RasoolAllah..

Hairani ki baat hai ki ek sunnat jis par ek groh ko chhor kar puri ummat ka ijma hai ki ek amal sunnat hai. Is baat ki haqiqat khulne ke baad lamha e fiqriya hai unlogo ke liye jo is sunnat par amal khud bhi nahi karte aur dusro ko bhi rokte hai aur wo is sunnat ka inkaar karte hai. Namaz me Ruku se pahle aur Ruku ke baad ke Rafa yadain karne par Puri Ummat ka ijma hai chahe wo jis bhi maslak, mazhab, jamaat ya firqe se jude ho. Balki is sunnat par ahle Tashayyo (shiya) bhi amal karte hai, Jabki unki hadith ki kitab hi alag hai hamare hadith ki kitabo se. To ab iske baad lamha e fiqriya hai, lamha e fiqriya hai, lamha e fiqriya hai Hanafi mazhab manne walo ke liye ke unke alawa puri ummat is sunnat par amal karte hai aur sirf wahi mahroom hai is sunnat se.

Pichle kuch articles me rafa yadain par tafseel se zikr kiya gaya tha. Is article me Rafa Yadain par 10 sahabao ki gawahi mai logo ke zahen me laana chahta hu. Unme bade bade sahaba the aur Abu Qatadah bin Ribi r.a.jaise bade sahaba bhi is majlis me the. Ye waqya RasoolAllah ﷺ ke wafat ke takreeban 25-30 saal ke baad ka hai kyuki jo Tabayee is hadith ko bayan kar rahe hai wo samaa ke kabil hi us waqt hue hai jab RasoolAllah ke wafat ke 30 saal guzar chuke the aur hadith ke alfaz se ye aur bhi waazeh ho jaega ki ye RasoolAllah ki wafat ke baad ka zikr hai:

Muhammad Bin Amr Bin Ata' (tabaee) Riwayat Karte Hai Abu Humaid As-saidi Se Ki Unhone Rasool Allah ﷺ Ke 10 Sahaba Ki Majlis Me Kaha Ki Mein Tum Sab Se Zyadah Rasool Allah ﷺ Ki Namaz Ke Tariqe Ko Janta Hoon. Sahaba Kiram r.a. Ne Kaha: Apko To Hamse Baad Me (RasoolAllah ki) Sohbat Mili Hai Aur Naa Hi Ap RasoolAllah Ki Sohbat Me Hamse Zyada Rahe Hai. Toh Unhone Kaha, "Fir bhi". Fir Sahaba Kiram r.a. Ne Kaha (hamare Rubaru Rasool Allah Ki Namaz Ka Tarika) Bayan Karo.Abu Huamaid r.a. Ne Kaha: Jab Rasool Allah ﷺ Namaz Ke Liye Khade Hote (toh) Apne Dono Haath Kandho Ke Barabar Uthate Fir Takbeer Kahte Fir Qirat Karte Fir (ruku Ke Liye) Takbeer Kahte Aur Apne Dono Haath Kandho Ke Barabar Uthate Fir Ruku Karte Aur Apne Hatheliyaan Ghutno Par Rakh Dete Goya Ki Unhe  Pakda Ho, Fir (ruku Ke Doran) Kamar seedhi Rakhte, Pas Na Apna Sar Jhukate Aur Na Buland Karte. (yaani Peeth Aur Sar Hamwaar Rakhte) Aur Fir Apna Sar Ruku Se Uthate Aur sami Allahu Liman Hamidah Kahte, Phir Apne Dono Haath Kandhon Ke Barbar Uthate Aur Seedhe Khade Ho Jate, Fir (Allahu Akbar) kahte, Fir Zameen Ki Taraf Sajde Ke Liye Jhukte Pas Apne Dono Haath (baazu) Apne Dono Pahloow, (raano Aur Zameen) Se Door Rakhte Aur Apne Dono Paaw Ki Ungliyaan Kholte (is Tarah Ke Ungliyaan Ke Sirey Qibla Rukh Hote) Fir Apna Sar Sajde Se Uthate Aur Apna Baayan Paaw Modhte (yaani Bichaa Lete) Phir Us Par Bethte Aur seedhe Hote Yaha Tak Ki Har Haddi Apni Jagah Par Aajati. Fir (dusra) Sajda Karte, Fir (Allahu Akbar) Kahte Aur Uthte Aur Apna Baaya Paaw Mod Kar Us Par Bethte Aur Is Qadar Itminan Se (Jalsa e Istrahat me) Baithe Rahte Ki Har Haddi Apni Jagah Par Aajati, Fir Khade Hote Aur Isi Tarah Dusri Rakat Me Karte. Fir Jab Do Rakat Padh Kar Khade Hote Toh Takbeer Kah Kar Aur Dono Haath Kandho Ke Barabar Uthate Jaise Namaz Ke Shuru Me Takbeer Awlaa Ke Waqt Kiya Tha. Fir Isi Tarah Apni Baaqi Namaz Me Karte Yaha Tak Ki Jab Woh Sajdah Hota Jiske Baad Salam Ferna Hota Toh Ap ﷺ Tawarruk Karte (Yaani Apna Baaya Paaw daaye Pindli Ke Neeche Se Baahar Nikal Kar Baaye Sire (Kuleh) Par Beth't Jaate, Aur Daaye Paao Ke Panje Ko Qibla Rukh Kar Lete), Daaye Hath Ko Daaye Ghutne Aur Baaye Hath Ko Baaye Ghutne Par Rakhte aur Shahadat Ki Ungli Se Ishara Farmate, Aur Fir Salaam Ferte The. (Yeh Sun Kar ) Un  Sahabao Ne Kaha (ae Abu Huamaid Sa’adee) Apne Sach Kaha Rasool Allah ﷺ Isi Tarah Namaz Padha Karte The.

Sunan Tirmidhi, Hadith-304; Sunan Abu Dawud, hadith-730 and 734; Sunan Ibn Majah, hadith 1061. Classed as Hasan Sahih by Imam Tirmidhi.

Is Hadith ke aakhir me Sahaba kahte hai ki RasoolAllah aese hi namaz padha KARTE THE (na ki padhte hai). Iska matlab ki us waqt RasoolAllah ki wafat ho chuki thi.

Zaruri baat ye hai ki  Imam Muhammad Gazali r.h. ne apni kitab Kimiya-yi Sa'ādat me aur Sheikh Abdul Qadir Jilani r.h. ne apni Kitab Ghunyat ul Talibeen ne bhi Namaz ka Yahi Takika likha hai.

Ab kuch bhaiyo se arz hai ki Aapke Ghyarwi wale peer ne bhi isi tarah namaz padhne ka zikr kiya hai apne kitab me. Hamari nai to kamas kam apne Peer ki to maan le ap log. Ya fir unhe bhi nahi pata tha ki ye Wahabio ya ahle hadeeso ka namaz ka tarika hai, ya fir Rafa yadain Mansukh ho gaya tha, ya fir Mecca ke namazi Aap ﷺ ke time par But rakh kar aate the isliye rafa Yadain kiya jata tha us time. Kya waaqai me aapke Peer ko ye sab nahi malum tha, agar aesa hai ki unhe koi ilm hi nahi tha toh apne unhe apna peer hi kyu mana hua hai aur unhe Gaus e Aazam ya Puri Dunya ke Shaykh ka laqab kis binah par diya hai. Jo log apni nisbat Sheikh Abdul Qadir Jilani ke taraf karte hai to unke tarike par namaz bhi to padhe.

Kuch log bahane karte hai ki wo Hambli the, wo shafai the, isliye is tarha padhte the. Khuda ke liye! Ye kaha likha hai unhone ki wo Hambli the, ya wo shafai the, isliiye wo is tariqe se namaz padhte the, Wo To Nabi ﷺ ke Tarike se aur upar wali hadith ke reference se wo ye Namaz ka Tarika bata rahe hai.

Aur mai is par ek aakhri baat kahna chahta hu ki AGAR AP HAMBLI HO KAR RAFA YADAIN KARNE KO SAHIH SAMAJHTE HAI TO HAME MUHAMMADI HO KAR RAFA YADAIN KARNE DE, ﷺ , HAMARI NISBAT BOHT BADI HAI ALHAMDULILLAH!!!

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame logo ke Imamo ke bajaye Imam ul Ambiya ke tarike se namaz padhne ki taufeek ata kare. aameen.