اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 Jan 2018

Rasool ﷺ Se Aage Na Badho- Ye Sunnat Se Badhte Fasle


Assalaam alaikum Wa Rahamatullah Wa Barakatuhu

Allah swt Ne Hamein Ek Kamil Deen Diya Hai Jiski Ratein Bhi Din Ki Tarhan Roshan Hain. Allah SWT Ne Hamein Andhere Main Hargiz Nahin Chora. Hamara Yeh Iman Hai Ke Rasool ﷺ Deen Ki Har Choti Aur Badi Baat Bata Kar Gaye Hain Yaha Tak Ke Washroom me kaunsi dua padh kar jani hai yaha tak ke pahle right foot rakhna hai ye left foot itni choti si baat bhi Aur Agar Wo Naye Naye Kaam Jo Deen Ke Naam Par Kiye Ja Rahe Hai Uski Koi Asal Hoti To Kya Rasoolallah ﷺ Hame Na Bata Kar Jate. Ab Deen Main Na Koi Izafa Hoga Aur Na Hi Koi Kami Ho Sakti Hai Alhamdolillah Hamara Deen Mukammal Hai. Aur Yahi Hamara Eeman hai Aur Ek Muslim Ka Eeman Hona Chaiye!!

Lekin Dekhne Main Yeh Aaraha Hai Ki Aese Log Hote Hain Jinhe Shayad Nauzobillah Rasool ﷺ ki Batayee Huee Batein Kam Lagti Hain Isliye Woh Deen Ki Baton Main Izafa Karte Rahte Hain Jab ke Unki Batayee Baat Ka Saboot Na Quran Main Hota Hai Aur Na Kisi Saheeh Ahadees Main.

Deen Ki Har Baat Hamein Quran Aur Ahadees Main Milegi Agar Baat Quran Ahadees Se Sabit Hai To WOh Sar Ankho Par Lekin Logon Ki Banayee Huee Bataein Hargiz Deen Nahin Ban Sakti.

Hum Deen Ki Baton Ko Bahot Halke Main Lene Lag Gaye Hain Koi Bhi Aakar Kuch Bata Deta Hai Deen Ke Naam Par Aur Hum Aankhe Band Kiye Hue Use Qabool Kar Lete Hain Nahin Janne Ki Koshish Karte Hain Ke Jo Baat Batayee Gayee Woh Quran Ahadees Se Sabit Bhi Hai Ya Nahin.

Choti Si Baat Hi Lelijiye Namaz Aur Roze Ki Niyat Zaban Se Karna. Koee Bhi Aalim Mufti Kisi Bhi Hadees Se Yeh Sabit Nahin Kar Sakta Ke Rasool ﷺ Ne Zaban Se Niyat Karna Bataya Ho. Niyat Naam Hai Dil Ke Irade Ka Aur Yeh Baat Sab Mante Bhi Hain Sabko Patah Hai Ke Jo Zaban Se Niyat Ke Alfaz Kahe Jate Hain WOh Kisi Bhi Hadees Main Nahin. Yaha Tak Ke Log Likh Bhi Dete Hain Ke Niyat Dil Ke Irade Ka Naam Hai Lekin Zaban Se Karlo To Aur Acha Hai. Unse Poocha Jaye Ke Aapko Kaise Patah Ke Zaban Se Niyat Ki Jaye To Woh Achi Hogi? Aapko Kisne Bataya? Kya Ap Par Wahee Ayi Thi? Ya Aap Yeh Dawah Karte Ho Ke Nauzobillah Rasool ﷺ ko Yeh Baat Patah Nahin Thi Aur Aapko Patah Chal Gayee? Ya Aapka Yeh Dawah Hai Ke Rasool Allah ﷺ Sahaba Kiram Ko Nauzobillah Batana Bhool Gaye? Kis Base Par Aap Kah Dete Ho Ke Zaban Se Kaho To Aur Acha Hai? Jo Bhi Deen ki Baat Thi Rasool ﷺ Sab Bata Kar Gaye Hain To Kyon Hum Usi Main Razi Nahi Ho Jate Hain ? KYon Apni Taraf Se Izafa Karke Hum Rasool ﷺ Ki Mukhalfat Karte Hain ? AUr Jane Anjane Main Rasool ﷺ Ki Toheen Kar Beth Te Hain. Allah Ki Panah!!!

Woh Rasool-E-Aala ﷺ Jo Sare Ambiyan Main Sabse Afzal Hain Unki Baat Ke Ooper Apne Alimo Aur Ulmao Ki Baat Ko Tarjeeh Di Jane Lagi Hai. Hona To Yeh Chahiye Ke Jab Quran Ahadees Ki Sahee Baat Samne Aajaye To Hum Apne Aalim Mufti Ki Baat Ko Chordein Isliye Ke Hamne Kalma Mohammed Rasool Allah ﷺ Ka Parha Hai Na Ke Kisi Imam Mufti Ya Aalim Ka. Kabr Me Hame Hamare Rasool ke bareme pucha jayega na ki kisi Imam ya Maulana ya Molvi sahab ke bareme. Hamein Allah SWT Ne kulli taur par Rasool ﷺ Ki pairwi Karne Ka Hukum Diya Hai Kisi Imam, Mufti, Aalim Ke Peeche Chalne Ko Nahin Kaha.

Lekin Afsos Hum Dawah To Karte Hain Ke Hum Hi Sache Aashiq-E-Rasool Hain Lekin Hamara Amal Sunnaton Ke Khilaf Hota Hai isi liye Jo Aaj Sabse ZYada Aashiq-E-Rasool Hone Ka Dawah Karte Hain WOhi Sabse ZYada Shirk AUr Bidat Main Doobe Hue Hain.

Aur Yaad Rakhiye Jahan Bidat Aajati Hain Wahan Sunnat kabhi Nahin Rehti Hai Sunnat Aur Bidat Ek Jagah Reh Hi Nahin Sakti Hain jaise Aag aur Pani ek jagah nahi rah sakte hai. Isliye Bidato Ko chota Gunah Na Samjho Yeh Bahot Barha Fitna Hota hai. Dheere Dheere Yehi Bidate Deen Ka Hissa Banti Chali Jati Hain Logon Ki Nazro Main, Aur WOh Asal Deen Ki Baat Se Door Ho Jate Hain.

Yahan Par Bhi Bahot se Members Hain Jo Deen ki Batein Share Karte Hain Lekin Kitni Hi Batein Aisi Hoti Hain Jo Na Quran Se Sabit Na Ahadees Se. Aur AIse Logon Ka Honsla Hum AUr Barha Dete Hain Jab Reply Main Likhte Hain Ke Jazzak Allah Khair Nice Sharing. Sochiye Zara Hum Bhi Unki Jhooti Baat Ka Hissa Bante Chale Jate Hain .....

Isliye Har Ek Member Se Guzarish Hai Ke Plz Apni Zimmedari Samjhiye Tab Hi Aap Deen Ka Aur Tableegh Ka Sahee Huq Ada Kar Sakte Hain. Aur visitors Se Bhi Yehi Apeal Hai Ke Plz Jab Bhi Read Karein Apni Ankhein Khol Kar Read Karein Samajh Kar Read Karein Aur Aapko Lagta Hai ke Jo Share Kiya Gaya Hai WOh Quran Ahdees Ke Reference Ke Sath Nahin Hai TO Aap unse Poochiye Unse Ref. Mangiye ......!!

Allah SWT Ka Farman Suniye:

"Aye Logon Jo Iman Laye Ho Allah Aur Uske Rasool ﷺ Se Aage Na Badho."

Surah Hujrat Aayat-1.

Rasool ﷺ Ki Ata'at Karne Ka Hukum Diya Gaya Hai Rasool ﷺ Ki Itteba Ke Muqable Main Kisi Doosre Ki Ata'at Aur Itteba Karke Apne Aamaal Ko Barbad Na kijiye.

Irshad-E-Bari Ta'ala Hai :

"Aye Logo Jo Iman Laye Ho Allah Ki Ata'at Karo, Rasool ﷺ Ki Ata'at karo Aur Apne Aamaal Barbad Na Karo."

Surah Mohammed, Ayat-33.

Bidat Ko Choti Baat Na Samjhiye Yeh Ek Bahot Bada Gunah Hai Jisse Bachne Ka Hukum Rasool ﷺ Ne Diya Hai:

۩ Ayesha R.a. Riwayat Karti Hai Ki Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya Ki Jisne Hamare Is Deen Me Kuch Aisi Baat Shamil Ki Jo Usme Se Nai Hai Toh Wo Amal Mardud Hai.

Sahih Al Bukhari, Book Of Peacemaking ﴾53﴿, Hadees- 2697.

Ek Aur Hadees Hai " Deen ke Andar Nayee Nayee Cheeze Dakhil Karne Se Baaz Raho Bila shubha Har Nayee Cheez Bidat Hai Aur Har Bidat Gumrahi Hai ".

Sunan Abu dawud, Kitab Al Sunnah, hadith-7064.

Ummeed Hai Baat Clear Ho Gayee Hogi Aur Kisi Ko Koi Baat Buri Lagi Ho To uske Liye Ma'azrat Chahta Hoon. Bus Itni Koshish Thi Ke Hum Saheeh Deen Ki Baton Ko Apnalein Bidat Aur Gumrahee Se Bach Jayein.

Rasool ﷺ Se Sachi Mohabbat Hai To Aap ﷺ Ki Batayee Huee Baton Se Aage Barhne Ki Koshish Na Karein Aur Agar Abhi Bhi Usko Zidd ki Wajah Se Baat Samajh Na Ayi Ho To Wo Apna kal Is Hadith Ke aayine Me Dekh le:

۩ Sahl Bin Sa`d r.a. Riwayat Karte Hai Ke Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya,

(Qayamat Ke Din) Mere Kuch Saathi Hauz E Kausar Par Mere Saamne Laaye Jayenge Aur Mai Inhe Pahchan Lunga Lekin Fir Woh Mere Samne Se Hata Diye Jayenge. Mai Is Par Kahunga Ke Yeh Toh Mere Saathi Hai. Lekin Mujh Se Kaha Jayega Ke Aap Ko Maloom Nahi Ke Unhone Aap Ke Baad Kya Kya Nai Cheeze Ijaad Kar Li Thi.

Is Par Mai Kahunga Ke Dur Ho Woh Shakhs Jis Ne Mere Baad Deen Me Tabdeeli Kar Li Thi.

Sahih Al Bukhari, Kitab Ur-riqaaq, ﴾81﴿, Hadees- 6582,6584.

Allah SWT Hum Sabko Apne Deen Se Mohabbat Karne Wala Bana Dey Aur Hamein Us Deen Per Sabit Qadam Karde Jo Rasool ﷺ Hamein Dekar Gaye Aur Haq Baat Logon Ke Samne Kehne Ki Hamein Himmat de. Aameen!

•٠•●●•٠•