Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

8 Jan 2018

Roza Kholne Ki Dua


۩ Marwan Ibn Salim Al-muqaffa r.a. Kahte Hai Maine Abdullah Bin Umar R.a. Ko Dekha, Wo Apni Dadhi Ko Mutthi Me Pakadte Aur Jo Mutthi Se Zyada Hoti Use Kaat Dete. Ibn Umar R.a. Kahte Hai Ki Rasoolallah ﷺ Jab Iftar Karte Toh Ye Dua Padhte The,

ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ (pic)

“Zahabaz-zama o Wabtallatil ‘urooq Wasabatal ajru In Shaa Allah". 

"Pyaas Khatm Ho Gai, Ragen Tar Ho Gai Aur Sawaab Pakka Ho Gaya Agar Allah Ne Chaha".

Sunan Abu Dawood, hadees- 2357; Al-daaraqutni, 25. Ibn Hajar Said In Al-talkhees Al-habeer (2/202): Al-daaraqutni Said, Its Isnaad Is Saheeh.

Note: Ye dua Roza Kholne Ke Baad Padhni hai na ki Pahle.

۩ Ek Dusri Bhi Dua Hamare Muashre Me Mashhoor Hai,

“Allaahumma Laka Sumtu Wa ‘ala Rizqika Aftartu"

Sunan Abu Dawood, Hadith- 2358.

Lekin Ye Dua Usool E Muhaddiseen Ke Nazdeek Mursal Hai Jis Wajah Se Ye Hadith Zaif Ho Jati Hai. Ye Hadith Isliye Musral Hai Kyuki Isme Mu'adh Ibn Zuhrah r.h. Jo Ki Ek Tabaeen Hai Wo Direct Nabi ﷺ Se Is Hadith Ko Bayan Kar Rahe Hai Bina Ye Bataye Ki Unhone Kis Sahaba Se Huzur ﷺ Ki Is Hadith Ko Suni. Is tarha ki Hadith ko Ulema e Muhaddiseen ne Mursal kaha hai aur is par Zaif ka hukm lagaya hai. Isliye ye hadith qabil e amal nahi ho sakti Deen ki roshni me.

Shaitan Ke Taraf Se Ye Bhi Was-wasa Aa Sakta Hai Ki Hadith Ke Alfaz Me Toh Kuch Galat Nahi Hai Fir Isme Kya Problem Hai Toh Iske Liye Ek Logical Answer Hai:

Sahih Al Bukhari, Kitabul Wuzu, Hadith No. 247 Hai, Ye Ek Thodi Lambi Hadith Hai. Is Hadith Ki Arabic Pesh E Khidmat Hai,

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ مُقَاتِلٍ، قَالَ أَخْبَرَنَا عَبْدُ اللَّهِ، قَالَ أَخْبَرَنَا سُفْيَانُ، عَنْ مَنْصُورٍ، عَنْ سَعْدِ بْنِ عُبَيْدَةَ، عَنِ الْبَرَاءِ بْنِ عَازِبٍ، قَالَ قَالَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم ‏"‏ إِذَا أَتَيْتَ مَضْجَعَكَ فَتَوَضَّأْ وُضُوءَكَ لِلصَّلاَةِ، ثُمَّ اضْطَجِعْ عَلَى شِقِّكَ الأَيْمَنِ، ثُمَّ قُلِ اللَّهُمَّ أَسْلَمْتُ وَجْهِي إِلَيْكَ، وَفَوَّضْتُ أَمْرِي إِلَيْكَ، وَأَلْجَأْتُ ظَهْرِي إِلَيْكَ، رَغْبَةً وَرَهْبَةً إِلَيْكَ، لاَ مَلْجَأَ وَلاَ مَنْجَا مِنْكَ إِلاَّ إِلَيْكَ، اللَّهُمَّ آمَنْتُ بِكِتَابِكَ الَّذِي أَنْزَلْتَ، وَبِنَبِيِّكَ الَّذِي أَرْسَلْتَ‏.‏ فَإِنْ مُتَّ مِنْ لَيْلَتِكَ فَأَنْتَ عَلَى الْفِطْرَةِ، وَاجْعَلْهُنَّ آخِرَ مَا تَتَكَلَّمُ بِهِ ‏"‏‏.‏ قَالَ فَرَدَّدْتُهَا عَلَى النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم فَلَمَّا بَلَغْتُ ‏"‏ اللَّهُمَّ آمَنْتُ بِكِتَابِكَ الَّذِي أَنْزَلْتَ ‏"‏‏.‏ قُلْتُ وَرَسُولِكَ‏.‏ قَالَ ‏"‏ لاَ، وَنَبِيِّكَ الَّذِي أَرْسَلْتَ -‏"‏‏

Is Hadith Me Ek Sahabi Ko Rasoolallah Ne Ek Sone Ke Waqt Ki Ek Dua Taleem Farmayi Jisme Alfaz The "Bina-biyika-l Ladhi Arsalt" Jiska Matlab Hota Hai Ki "Mai Eeman Laya Us Kitab Par Jo Tune Apne Nabi Ke Sath Nazil Ki". Lekin Us Sahabi Ne Dua Me Padh Diya "Wa-rasulika" Iska Matlab Hota Hai "Mai Eeman Laya Us Kitab Par Jo Tune Apne Rasool Ke Sath Nazil Ki".

Gaur Kare, Us Sahabi Ne Bas Itna Kiya Tha Ki Nabi Ke Alfaz Ko Usne Rasool Ke Sath Badal Diya Tha, Jab Ki Rasool Ka Alfaz Nabi Ke Alfaz Se Bade Darje Pe Fai'iz Hai. Lekin Rasoolallah ﷺ Ne Fauran Us Sahabi Ko Kaha "Nahi, Lekin Wahi Kaho Jo Maine Taleem Farmayi Hai." Yaani Nabi Ko Nabi Hi Kaho Rasool Mat Kaho Is Dua Me. Toh Ap Zara Bataye Jab Is Tarha Ki Alfaz Badalne Se Rasoolallah Ne Mana Farmaya To Fir Us Alfaz Ka Kya Muqam Hoga Jo RasoolAllah Ne Kaha Hi Nahi. Lekin Nasihat Se Toh Aql-wale Hi Fayda Uthate Hai. Allah Pak Quran Me Farmate Hai,

"Wo (Jahannami) Kahenge, Kaash Ham Unki Baat Sun Lete Aur Apne Aql Ka Istemal Karte Toh Ham Dozakhyo Maise Na Hote."

Surah Mulk (67), Ayat- 10.

Allah Se Dua Hai Ki Wo Hame Deen Ko Samajhne Ki Aur Us Par Amal Karne Ki Taufeek De. Aameen.

•٠•●●•٠•