Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

8 Jan 2018

Roza Todne Wali Chize


Alhamdulillah,

Allah subhanwatala ne apni puri aur mukkamil hikmat se Roze mashru'u kiye hai, lehaza rozedaar ko hukm diya ke woh ayetedaal ke saath roza rakhe, naa toh roze se apne aapko zarar aur takleef de, aur na hi woh aisi cheez tanawwul kare jo roze ke muqalif ho, isiliye roza todne wali ashy'a ki do qisme hai :

۝ Pahli Qism :


Qism Istefiraagh aur Istekhiraaj hai, maslan jam'aa (intercouse), amadan qayi (deliberate vomiting) karna, haidh aur nifas aur Hijama. In sab chizo ke nikalne se jism kamzor hojata hai, isiliye Allah Tala ne inhe Mufsidaat-e-Saum yaani roza tordne wali ashy'a qarar diya hai, taake rozedaar me dono kamzoriyaan ek toh roze ki kamzori aur dusri in ashy'a ke nikalne ki wajah se paida hone wali kamzori jama hojaye toh rozedaar ko zarar aur nuqsaan ho aur iska roza ayetedaal se nikal jaye.

۝ Dusri Qism :


Woh no-e-imtela'a yaani andar daakhil hone aur pet bharne wali hai, maslan khana peena, isliye agar rozedaar khaye ya piye toh roze ki matluba hikmat ka husool nahi hota.

Dekhen Majmu'al Fatawa ( 25 / 248 ).

Allah Subhanwatala ne apne mundarja zail farman me roza tordne wali ashy'a ke usool jama kar diye hai :

Ab Tumhe Inse Mubashirat Karne Aur Allah Tala Ki Taraf Se Likhi Hui Cheez Ko Talash Karne Ki Ijazat Hai, Tum Khate Peete Raho Yahan Tak Ke Subah Ka Safed Dhaga Siya Dhage Se Zahir Hojaye, Phir Raat Tak Roze Ko Pura Karo .

 Al-Baqarah ( 187 ).

Toh Allah Tala ne mundarja bala ayat me roza tordne wali ashy'a ke usool bayan farmaye hai jo ke khana peena aur jama'a hai.
Aur roza tordne wali ashy'a ko Nabi ﷺ ne apni sunnat me mukammil taur par bayan farmaya hai.

Roze ko fasid karne aur todne wali saat ashy'a hain :

1. Jama'a aur hambistari (Intercourse)

2. Mashtzani (Masturbation)

3. Khana peena

4. Aur woh ashy'a jo khane peene ke ma'ane me ho

5. Singi waghaira lagwane se khoon nikalne ke bina par (Letting blood by means of cupping and the like)

6. Amadan qaye karne ki wajah se (Vomiting deliberately)

7. Aurat ka haidh aur nifaas ki wajah se khoon nikalna.

Zail (Niche) me ham inki tafseel zikr karte hai :

۝  Inme pahli cheez Jama'a hai jo ke roza wali ashy'a me sabse badi cheez hai.


Lehaza jo bhi Ramadan-ul-mubarak me din ke waqt amadan aur apne eqtiyaar se jama'a kare ke dono sharmgahen miljaye aur kisi ek me ghaib hojaye toh iska roza fasid hojayega chahe anzaal (ejaculation) ho ya na ho, ise is kaam par Allah Tala se tauba karni chahiye. Aur ise is din ka roza pura karna zaruri hai aur iske saath saath is roze ki qaza bhi hogi, aur is par kafarah maghluzah hoga, iski daleel mundarja zail hai :

Abu Hurairah raziAllahu tala anhu bayan karte hai ke ek shaks Rasool akram ﷺ ke paas aaya aur kahne laga : Aye Allah ke Rasool ﷺ Mai toh halaak hogaya, Nabi ﷺ ne isse pucha kis cheez ne tujhe halaak kardiya ?
Woh shaqs kahne laga : Mai Ramadan me roze ki halat me apni biwi se Jama'a kar baithha hoon, Nabi ﷺ isse farmane lage : Kya tum ghulam azaad karsakte ho ? Woh kahne laga mai isteta'at nahi rakhta.
Nabi ﷺ ne farmaya : Kya do(2) maah ke musalsal roze rakh sakte ho? Woh kahne laga mai iski bhi taqat nahi rakhta. Nabi ﷺ ne farmaya : Kya saat'th (60) miskinoun ko khana khila sakte ho ? Woh kahne laga nahi...

Narrated by al-Bukhaari, 1936; Muslim, 1111. 

Jama'a ke alawa kisi bhi cheez se roza tutne par kaffarah wajib nahi hota.

۝ Roza todne wali dusri cheez Mashzani (Masturbation) hai:


Mashtzani yeh hai ke haath waghairah me mani ka iqraaj kiya jaaye.

Mashtzani se roza totne ki daleel mundarja zail hadeeth qudsi hai :

Allah Tala ne Rozedaar ke baare me farmaya : "Woh apna khana peena aur shahwat meri wajah se tark karta hai".

Narrated by al-Bukhaari, 1894; Muslim, 1151.

Aur mani ka iqraaj bhi isi shahwat mai se hai jise rozedaar tark karta hai. Lehaza jisne bhi Ramadan--ul-Mubarak me din ko roze ki halat me mashtzani ki ise chahiye ke woh Allah Tala se tauba karne ke saath saath is din ko baghair khaye piye hi rahe aur baad me iski qaza bhi de.

Aur agar woh mashtzani shuru hi kare phir anzaal se qabl se ruk jaye aur anzaal (ejaculation) na hua ho toh iska roza sahih hai, anzaal na hone ki wajah se is par is roze ki qaza nahi.

Isiliye rozedaar ko chahiye ke har shahoot angez cheez se dur hi rahe, aur apne khayalaat ko galat aur raddi qism ke khayalaat se bacha kar rakhe.

Aur mazi ke baare me sahih yahi hai ke iske iqraaj se roza nahi toot'ta.

۝ Roza todne wali teesri cheez khana peena hai :


Muh ke raaste khana ya peena ma'ada me pahunchane ko kaha jata hai.

Aur isi tarha kisi ne naak ke raaste apne ma'ada me koi cheez daaqil ki toh woh bhi khane peene ke hukm me hi hoga.

Isiliye Nabi ﷺ ne farmaya hai :

Naak ke andar paani chardhhane me mubalegah karo lekin roze ki halath me aisa na karo. Dekhen Sunan Tirmizi Hadith no. 788.

Allama Albani Rahmatullah Tala ne ise Sahih Sunan tirmizi (631) me sahih qarar diya hai.

Isliye agar naak se paani ka ma'ada me daaqil hona roze par asarandaaz na hota toh Nabi ﷺ naak me paani chardhhane se mana na farmate.

۝  Roza todne wali chouthhi cheez :


Woh ashy'a jo khane peene ke hukm me ho :

Yeh do ashy'a par mushtamil hai :

1. Rozedaar ko khoon lagana, maslan agar kisi ka khoon beh jaye toh ise khoon diya jaye toh iska roza toot jayega, kyunki khoon khane peene se bhi intehaayi zyada ghiza hai.

2. Ghizayi injection : Jinke lagane se khane peene se mustafni hua jata hai, maslan drip waghairah taqat ke injection lagana, kyunki yeh khane peene ke qayam muqaam hai. Dekhen : Shaykh Ibn ‘Uthaymeen, Majaalis Shahr Ramadaan, p/ 70. 

Lekin woh injection jo khane peene ke hauz me nahi aur naa hi iske qayam muqaam ho lekin sirf ilaaj mualeja ke liye ho toh iski wajah se roze ko koi nuqsaan nahi hota. Maslan Pencillin aur Insulin waghairah ke tike roze ko koi nuqsaan nahi dete chahe woh nas me lagaye ya phir gosht me.

Dekhen Fataawa Muhammad ibn Ibraaheem, 4/189.

Ehtiyaat aur behtar yeh hai ke yeh sab kuch raat ke waqt hi kiya jaaye aur roze ki halath me istemaal se bacha jaaye.

Gurde wash karna (Dialysis) se Roza tutna shumaar hoga.

Dekhen Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah, 10/19. 

۝  Roza todne wali paanchvi cheez :


Singi waghairah se khoon ka iqraaj [Cupping]

Iski daleel Nabi ﷺ ka mundarja zail farman hai : Singi lagane aur lagwane wala dono ka roza toot jata hai." 

Sunan Abu Dawud, Hadith no. 2367. 
Allama Albani Rahmatullah Tala ne Sahih Abu Dawood (2047) me ise sahih qarar diya hai.

Aur isi tarha khoon ka atiyah dena (Donating blood) bhi singi lagwane ke hukm me aata hai kyunki ye bhi singi ki tarha badan par asarandaaz hota hai.

Lehaza is bina par rozedaar ke liye atiyah dena jaiz nahi lekin agar koi majboor ho toh iske liye atiyah karna jaiz hai, lekin atiyah dene wale ka roza toot jayega. Ise iski qaza me roza rakhna hoga.

Dekhen Ibn ‘Uthaymeen, Majaalis Shahr Ramadaan, p. 71. 

Jiska khoon naak se beh jaaye iska roza sahih hai kyunki isme iska koi ikhtiyaar nahi. Dekhen Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah, 10/264.

Aur woh khoon jo daant nikalne ya phir zakhm ke fatne aur khoon ki tehlil waghairah ki bina par niklane wale khoon ki wajah se roza nahi toot'ta, kyunki woh na toh singi hai aur na hi iske ma'ane me aata hai, aur phir ye singi ki tarha badan par asarandaaz nahi hota.

۝ Roza todne wali chhat'ti cheez :


Jaanbujh kar qaye karna :

Iski daleel Nabi ﷺ ka mundarja zail farman hai : "Jis par qaye ghalib hojaye toh is par roze ki qaza nahi, aur jo amadan qaye kare is par roze ki qaza hogi.

Sunan Tirmizi Hadith no- 720.
Alama Albani rahmatullah Tala ne Sahih Tirmizi ( 577 ) me ise sahih qarar diya hai.

Ibne Munzir Rahmatullah Tala kahte hai :

Ulama-e-karaam ka ijma'a hai ki jo bhi jaanbujh kar amadan qaye karega iska roza baatil hai.  Dekhen Al-Mughni Ibn e Qadamah ( 4 / 368 ).

Lehaza jisne bhi jaanbujh kar apni ungli muh me daal kar ya phir pet ko daba kar ya phir kisi cheez ki taraf dekhta rahe jis se qaye aati ho qaye kardi toh ispar roza ki qaza hogi.

Aur jab ma'ada kharab hokar upar ko aaye toh is par qaye rokna lazim nahi kyunki aisa karna iske liye nuqsaandah hai.
Dekhen :Majaalis Sharh Ramadaan, Ibn ‘Uthaymeen, p. 71. 

۝ Roza todne wali saat'vi cheez :


Haiz aur Nifaas ke khoon ka iqraaj :

Iski daleel Nabi ﷺ ka mundarja zail farman hai : Kya aisa nahi ke jab tum me se kisi ek ko haiz aata toh na woh roza rakhti hai aur naa hi namaz pardhti ha.

Sahih Bukhari, Hadith no. 304.

Lehaza jab bhi aurat Haiz ya Nifas ka khoon dekhe iska roza faasid hojayega, chahe ghurub-e-shams se chand lamhaat qabl hi kyun na aajaye.

Lekin agar aurat haiz ke khoon ke inteqaal ko mehsus karle lekin khoon ka ikhraaj ghurub shams ke baad ho toh woh roza sahih hoga aur is din ke roze se kifayat karega.

Haiz ya Nifaas wali aurat ka khoon agar raat ko khatam hojaye aur isne roza rakhne ki niyat karli lekin ghusl karne se qabl hi tul'oo fajr ho gayi toh sab ulma'a ka maslak yahi hai ke iska roza sahih hoga.

Dekhen Al-Fath ( 4 / 148 ).

Afzal aur behtar toh yehi hai ke aurat apni tab'yi halat par hi rahe aur Allah tala ki raza par raazi rahe, aur Haiz ko rokne ke liye koi cheez istemaal na kare, Ise bhi qubool karna chahiye ke Allah Tala ne halath Haiz aur nifaas me roza na rakhna qubool kiya hai aur baad me iski qaza me roze rakhe , Umhaatul Momineen aur salaf Salaheen ki auratien bhi aisa hi karti thi.

Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah, 10/151.

Is ke alawa yeh bhi ke medically taur par bhi haiz rokne ke ashy'a ke istemaal karne ke bahot se zarar-o-nuqsanaat paida hote hain, Aur iske istemaal se bahot si aurtoun ko mahawari me dushwari pesh aane lagi hai , lekin agar woh mani'e haiz ashy'a istemaal kare aur ise khoon na aaye toh woh paak saaf hone ki wajah se agar roza rakhe toh iska roza kaafi hoga.

Yeh sab muftaraat-ul-saum yaani roza todne wali ashy'a thi haiz aur nifaas ke alawa baaqi sab ashy'a me teen shuroot (condition) paayi jaaye toh inse roza tootega :

1. Ise ilm ho aur jahil na ho.

2. Ise yaad ho aur bhool kar aisa na kare.

3. Apne eqtiyaar se kare aur majboor na ho.

Zail me ham baaz in ashy'a ka zikr karte hai jinse roza nahi toot'ta :

۩ Enaema karwana aur aankh aur kaam me katre daalna, daant nikalwana, aur zakhmoun ki marham patti karwana, in sab kaamoun se roza par kuch asar nahi hota.

Majmoo’ Fataawa Shaykh ibn Taymiyya, 25/233; 25/245 .

۩ Seene ke marz (asthma attacks) ke liye woh goliyaan waghairah jo zubaan ke neeche rakhi jaati hai lekin halaq me jaane wali koi cheez nigli na jaaye.

۩ Raham (vagina) me daaqil ki jaane wali ashy'a ya tibbi check up ke liye daaqil ki jaane wali cheezien aur doorbeen waghairah.

۩ Mard-o-aurat ki peshab ki nalli me baarik naali ya doorbeen, ya phir dawa aur mashanah saaf karne wala mahlool dakhil karna.

۩ Daant ki khoot bharna, ya daadh nikalna, ya miswak aur brush se daantoun ki safayi karna, jabke halaq me pahunchne wali cheez nigalne se bacha jaaye.

۩ Kulli, garara, aur muh ke ilaaj ke liye spray ka istemaal karna jabke halaq me jaane wali cheez nigalne se bacha jaaye.

۩ Oxygen aur behosh karne wali gas, jab tak ke mariz ko drip waghairah aur ghizayi ashy'a na di jaaye.

۩ Jild ke masamu ke zarye jism me jazb hokar daaqil hone wali ashy'a maslam tel, marham, aur jildi amraaz ke ilaaj ke liye pattiyaan jin par Kemiya ya dawayi muaad laga ho ka istemaal karna.

۩ Tasweer ya dil aur dusre aaza'a ke ilaaj ke liye sharyanu me baarik tube daaqil karna.

۩ Pet me jild ke zarye antediyoun (Intestine) ke check up operation ke liye doorbeen daqil karna.

۩ Jigar ya dusre aaza'a ke test ke liye namuna hasil karna lekin yeh is surat me ho ke jab iske liye kisi qism ka mahlool na diya gaya ho.

۩ Ma'ada me test ke liye munzaar daaqil karna jab tak ke koi mahlool ya dusra muaad daqil na hua ho.

۩ Dimaagh waghairah me koi alaa ya ilaaj ke liye koi muwaad daqil karna.

Wa Allahu Tala Aalam

See Majaalis Ramadaan by Shaykh Ibn ‘Uthaymeen, and the booklet Sab’oona Mas’alah fi’l-Siyaam.

Read this article in

۩ Urdu
۩ English